Dost Ban Kar Bhi Nahin Saath Nibhaanevaala
dost ban kar bhi nahin saath nibhaanevaala
vahi andaaz hai zaalim kaa zamaanevaala
dost ban kar bhi nahin saath nibhaanevaala
vahi andaaz hai zaalim kaa zamaanevaala
ab ise log samajhate hain giraftaar mera
saKht nadeem hai mujhe daam mein laanevaala
kya kahein kitane maraasim the hamaare is se
wo jo ik shaKhs hai muunh pher ke jaanevaala
tere hote hue aa jaati thi saari duniya
aaj tanha hoon to ko_ii nahiin aanevaala
muntazir kis ka hoon Tuuti hu_ii dahaleez pe main
kaun aayega yahaan kaun hai aanevaala
main ne dekha hai bahaaron mein chaman ko jalate
hai ko_ii Khvaab ki taabeer bataanevaala
kya Khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
hai vahi mujh ko sar-e-daar bhi laane vaala
tum taqalluf ko bhi iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
dost hotaa nahin har haath milaanevaala
Comment