Mujhe koi shaam udhar do
Tumhe jab kabhi milen fursaten mere dil se bojh utaar do
mai bohot dino se udaas hoon mujhe koi shaam udhar do
Mujhe apne rup ki dhup do ke chamak saken mere khaal o khad
mujhe apne rang me rangg do mere saare zangg utar do
Kisi aur ko mere haal se na gharaz hai na koi waasta
mai bikhar gaya hoon samet lo mai bigad gaya hoon sanwar do
Wahan ghar me kaun hai muntazir ki ho fikr der saver ki
badi mukhtasir si ye raat hai isi chandni me guzar do
Koi baaat karni hai chaand se kisi shaakhsaar ki ot se
mujhe raaste me yahin kahin kisi kunje gul me utaar do
Meri wehshaton ko badha diya hai judaiyon ke azaab ne
mere dil pe haath rakho zara meri dhadkano ko qaraar do
Tumhe subha kaisi lagi kaho mere khwahishon ke dayar ki
jo bhali lagi to yahin raho ise chahaton se nilkhaar do

Comment