tumhain kiya yaad hay hamdam
kaha tha tum nay ye ik din
zameen jab rakh ho jay
falak bhi chak ho jay
udasi har taraf phelay
hayat rusta bhatak jay
gulon say titlean bhagain
chaman bus khak ho jaye
muhabat myri amar ho gi
muhabat myri amar ho gi
tumhary door janay say
mujhay itna rulanay say
zameen ab raakh hay mujh par
falak bhi chalk hy mujh par
udasi hamsafar mayri
chaman bas khak hay mujh par
na titlee main wo rangat hay
qayamat hi qayamat hay
lahoo say bhar gayeen aankhaiy
bas ab aik ye chahat hay
kahan ho tum chalay aao
mujhy aa kar bata jao
muhabat kab amar ho gi
muhabat kab amar ho gi
kaha tha tum nay ye ik din
zameen jab rakh ho jay
falak bhi chak ho jay
udasi har taraf phelay
hayat rusta bhatak jay
gulon say titlean bhagain
chaman bus khak ho jaye
muhabat myri amar ho gi
muhabat myri amar ho gi
tumhary door janay say
mujhay itna rulanay say
zameen ab raakh hay mujh par
falak bhi chalk hy mujh par
udasi hamsafar mayri
chaman bas khak hay mujh par
na titlee main wo rangat hay
qayamat hi qayamat hay
lahoo say bhar gayeen aankhaiy
bas ab aik ye chahat hay
kahan ho tum chalay aao
mujhy aa kar bata jao
muhabat kab amar ho gi
muhabat kab amar ho gi