Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"meri palkon ko kitna chahte ho tum"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • "meri palkon ko kitna chahte ho tum"


    Assalam-o-Allaikum dosto umeed hai aap sab khushbash aur khairiyat se hun gey aor duaa bhi yahi hai naaaaa meri....:dua

    lijiye appki khidmat main aik poem paishenazar hai ..umeed rakhti hun pasand karen gey.....:)



    "MERI PALKON KO KITNA CHAHTE HO TUM "

    buht hi pyaar se tum ne
    mera bheegha hua anchal
    mere shaano pay phela kar kaha hai
    "toot-te taaron ka manzar khushnuma hai
    par tumhari narm palkon par hansi khilne ka jo mousam
    abhi kuch rooz mein utray ga
    wo us se kahin bharh kar haseen ho ga"
    "suno!
    saanson ki sarhad se udhar
    ikk shehre rang-o-noor basta hai
    ke jiss par aaj hum tum chal rehe hain
    ye ussi waadi ka rasta hai
    issi raste ke ikk roshan, suhnehri mour par
    main bhi tumhari raah dekhon ga
    suna to hai
    shaban-e hijar ka rukh un fazaaon mein
    zyaada dair taaq taaban nahin rehta
    ke subhah-e-wasaal ke sab baab
    uss baagh-e haseen ki simt khilte hain
    jahaan par maawarai ghum
    gulle marium ki bheeghi khushboun ki aot mein
    ikk khaanaye zarain humara muntazar hai
    aor wohin uss baagh-e kousar mein
    shuaahe mehr se labraiz ikk jaame muhabbat hum ko peena hai
    sada thehre hue lamhon ki jannat mein
    humein taaumar jeena hai"

    meri palkon ko kitna chahte ho tum

    tumhari chahton ko dekhti hun to
    neyaa ikk dhokh mere dil ki zameen abaad karta hai
    kahin se phir koi bhula huaa ikk hijar mujh ko yaad karta hai ...

    :(:(:(

    SADA KHUSH REHYE
    AMEEN SUM AMEEN :dua
Working...
X