Assalam-o-Allaikum sab doston ko umeed hai sab khairiyat se khush baash hon gey duaa bhi yahi hai :dua
tumhein hum yaad aain gey!!
tumhein hum yaad aain gey!!
yakayak khud hi jab ghabra ke tum parda uthao gey
mujhe iss aalam fani mein ikk din jab na paao gey
kabhi jab aalam takheel mein tum doob jao gey
kabhi jab apni tanhayi pay khud ansoo bahao gey

tumhein hum yaad aain gey
tumhein hum yaad aain gey!
tumhein hum yaad aain gey!
nishaan pucho gey jab pamaal-o-boseda mazaron se
pata pucho gey jab mera falk ke chaand taaron se
tasawur mein jo guzro gey kabhi dilkash nazaaron se
pahaaron ,waadiyun se, nadiyun se aabsharon se
pata pucho gey jab mera falk ke chaand taaron se
tasawur mein jo guzro gey kabhi dilkash nazaaron se
pahaaron ,waadiyun se, nadiyun se aabsharon se
tumhein hum yaad aain gey
tumhein hum yaad aain gey!!
tumhein hum yaad aain gey!!
kabhi jab dilnashen kaliyan behm shadi rachaain gi
chaman mein raks ko jab teetliyan saj dhaj ke aain gi
ye kaliya, haan, ye do shezaain jab shadi rachain gi
hawaain jab koi bhula huaa naghma sunain gi
chaman mein raks ko jab teetliyan saj dhaj ke aain gi
ye kaliya, haan, ye do shezaain jab shadi rachain gi
hawaain jab koi bhula huaa naghma sunain gi
tumhein hum yaad aain gey
tumhein hum yaad aain gey!!
tumhein hum yaad aain gey!!
banane ke liye betho gey jab phoolun ka ikk gajra
yakayak khud hi jab har baar dhaga toot jaye ga
nazar mein khaar ho jayen gey jab gulhaye husn afzaa
pehnaye ga tasawur jab mere ashkon ki ikk mala
yakayak khud hi jab har baar dhaga toot jaye ga
nazar mein khaar ho jayen gey jab gulhaye husn afzaa
pehnaye ga tasawur jab mere ashkon ki ikk mala
tumhein hum yaad aain gey
tumhein hum yaad aain gey!!
tumhein hum yaad aain gey!!
sada khush rehye
ameen sum ameen
ameen sum ameen
Comment