ASSALAMO ALLAIKUM
AIK AOR POEM MERI AOR SE UMEED HAI PASAND AAYE GI...
MUHABBAT DIARY HARGIZ NAHIN HAI
muhabbat diary hargiz nahi hai
jiss mein tum likho
ke kal kiss rang ke kapray pehnene
koun si khushboo lagani hai
kise kya baat kehni, koun si kiss se chupani hai
kahan kiss pairh ke saaye tale milna hai
mil ker pochna hai
kyaa tumhein mujh se muhabbat hai ?
ye farsoda sa jumla hai
magar phir bhi yahi jumla
darichon aanganon sarkon
gali kuchon mein chobaron mein
chobaron ki tooti sehriyun mein
har jaga koi kisi se keh raha hai
kya tumhein mujh se muhabbat hai
muhabbat diary hargiz nahi hai
jiss mein tum likho
kiss se, kiss jaga milna hai, kiss ko chorh jana hai
kahan par kiss tarah ki guftagoo karni hai
ya khamosh rehna hai
kahan aankhen milana hai, kahan palken jhukana hai
yaa ye likho ke abb ki baar jab wo milne aaye ga
to uss ka hath apne hath mein leker
dhanak chehre pay roshan, jugmagati raks karti
uss ki aankhon mein utar jain gey
aor phir gulshan-o-sehra ke bechoun beich
dil ki sultnat mein khaaq uraain gey
buht mumkin hai wo ajlat mein aaye
aor tum iss ka hath ,
hathon mein na le paao
na aankhon hi mein jhaanko aor na dil ki sultnat jo fatahwar pao
jahaan par guftago karni hai
tum khamosh ho jao
jahan khamosh rehna hai
wahan tum bolte jao
naye kapray pehn ker ghar se niklo
maile ho jao
koi khushboo lagane ka iraada ho
to shishi hath se gir jaye
tum wehraan ho jao
saffar karne se pehle be-saromaan ho jao
MUHABBAT diary hargiz nahi hai
aab jo hai
jo dilon ke darmiyan behti hai
khushboo hai
kabhi palkon pey leheraaye to aankhen hansane lagti hain
jo aankhon mein utar jaye to manzar aor
pasmanzar mein
shamain jalne lagti hain
kisi bhi rang ko chuh le
wohi dil ko guwaara hai
kissi mitti mein ghul jaaye
wohi mitti sitaara hai

Comment