Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mozo No 4.....Khuwab..!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

    na sadaf bane na gohar hue yon hi jalti bhujti basar hue
    mere zindage ke chiraagh ki na hi shub dhali na sehur hue
    mere khamooshi mere KHAWAB the in hi ahton ka sarab the
    kaye raston main bikher ke bhi chah jin ki gard e safar hue

    Comment


    • #17
      Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

      Khvaabo.n me.n tere gar merii Khvaahish nahii.n hogii
      mujhase terii aa.Nkho.n kii parastish nahii.n hogii

      aavaaz merii baiTh to sakatii hai thakan se
      lahaje me.n agar mere guzaarish nahii.n hogii

      ho fikr jise Khud vo meraa haal parakh le
      mujhase to mere Gam kii numaaish nahii.n hogii

      maane ke na maane mujhe 'Shehzaad' zamaanaa
      ye tai hai ke mujh se koii saazish nahii.n hogii
      Visit My Early PS Work
      You Are Welcome To Comment

      Comment


      • #18
        Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

        Yay kesy khaab sy jage hain aankhain
        kise manzer per dil taharta naheee

        Comment


        • #19
          Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

          Na wo aankh hi teri ankh thi' na wo khwab hi tera khuwab tha
          Dil-e-muntazir' to yeh kis liyeh tera jaghna' ousey bhool ja
          sigpic

          Comment


          • #20
            Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

            mujhe tabeer ki takmeel ka fun ata hai
            bas itna kare koi sunehra KHAWAB de day

            Comment


            • #21
              Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

              Aankh khulty he mere neendain uranay lag ja'ain
              khwaab churyon ki tarah shor machany lag ja'ain

              Comment


              • #22
                Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

                Yeh aaj raah bhool key aaey kidher sey aap
                yeh khawaab main ney raat hi dekha tha khawaab mein
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment


                • #23
                  Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

                  kuchh din to baso merii ankhoon main
                  phir Khvaab agar ho jaao to kyaa

                  koii rang to do mere chehare ko
                  phir zaKhm agar mahakaao to kyaa

                  Comment


                  • #24
                    Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

                    main neend main sahi jaag to raha hon magar
                    khuli jo ankh to khawabon ke silsale toote

                    Comment


                    • #25
                      Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

                      Khawaab
                      Attached Files
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment


                      • #26
                        Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

                        khawaab hoty hain daiknay ky liay
                        in main ja ker lakin raha na keroo

                        Comment


                        • #27
                          Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

                          mere ungli paker lena mujhe tunha nahi kerna
                          yhe dunyia aik mela hia tumhain khone se derti hoon
                          jab se yeh KHAWAB dekha hai mujhe tum chor jao
                          main ab khawabon se derti hon main ab sone se derti hon

                          Comment


                          • #28
                            Re: Mozo No 4.....Khuwab..!!

                            Sochte rehte hon aankhain band ker ky din raat
                            mai ny dekha jo khule aankhon sy vo kesa khaab tha

                            Comment

                            Working...
                            X