Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Polling Of The Februruary A'shaar Competition

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Polling Of The Februruary A'shaar Competition

    Asalam-o-Alikum

    Is Maah Ki Pooling Hazir Hai jo Bhi Aap ko Passand Ho Us Ko Vote Kijye :rose


    Participant 1



    Yeh jo zindagee ki kitaab hai,

    Yeh kitab b kiaa kitab hai,

    Kahin ek haseen saa khwaab hai,

    Kahin jaan-levaa azaab hai,

    Kabhi kho liyaaa,

    Kabhi paa liyaa,

    Kabhi roliyaa ,

    Kabhi gaa liyaa,

    Kahin rehmaton ki hai barishein,

    Kahin tishnagi b-hisaab hai,

    Kahin chaaon hai ,

    Kahin dhoop hai,

    Kahin aur hi koe roop hai,

    Kahin cheen lethi hai har khooshi,

    Kahin mehroban be-hisaab hai,

    Yeh jo zindagee ki kitaab hai,

    Yeh kitaab bhe kiaa kitaab hai.

    2nd Entry

    tumhain daikh k lagta hai k tum meri ZINDAGI ho
    mager main tumhain apni ZINDAGI kahon tu kesay kahon k
    ZINDAGI nay tu aik din khatm ho jana hai
    aur main nay apny RAB say teri abdi heyat mangi hai

    tera cherah chand ki tarh khubsorat hai
    mager main tumhain chand kahon tu kesay kahon
    chand nay bhi tu dhal jana hai
    main nay apny RAB say teri ta qiyamat chamknye ki doa mangi hai


    teri a'ankhon main masti hai sherabon c
    mager main tujhay sherab kahon tu kesay kahon
    sherab ka nashah arzi hai
    aur main nay apny RAB say teri a'ankhon main sada mast rehny ki doa mangi hai


    tu hai merye sath saye ki tarah
    mager main tujhay saya kahon tu kesay kahon
    andehra hoty hi saye nay chup jana hai
    aur main nay humesha terye sath rehny ki doa mangi hai


    haan!

    meri jaan main kahon tujhay tu apni ROOH kahon
    k rooh hi asal haqeqat hai
    k ek lamhy k liye bhi mujh say door ho gai tu
    meri sans ruk jaye gi.....

    3rd Entry


    Radi k bhao baychnye niklay hoye hain loog
    yeh ZiNdAgI phera hoa akhbar hi tu hai...


    4th Entry


    yeh ZiNdAgI barri ajeeb c
    kabhi gulzar c
    kabhi bezar c
    kabhi khushi humary sath sath
    kabhi ghumon ki bersat c
    kabhi tofano main bhi hain rasty
    kabhi manzillon ka patta nahi
    kabhi do qadam pay zInDaGi
    kabhi sadiyon tak ka intezar c
    kabhi her pal imtehan hai
    kabhi kuch bhi nahi
    kabhi sab kuch c
    yeh ZINDAGI barri ajeeb c...

    5th Entry

    ek din ZINDAGI nay mujh say sawal kiya
    k
    tum apny dost ka sath kab tak chahty ho?
    main nay ek a'ansoo samnder main girra diya
    aur kaha
    jab tak tum is ko dhond na lo...

    Participant 2

    Na Koi Meri Manzil Hai Na Kinara
    Tanhai Meri Mehfil Aur Yaadein Mera Sahara
    Unse Bichad Kar Kuch Yun Waqt Guzra
    Kabhi Zindagi Ko Tarse Kabhi Maut Ko Pukara

    2nd Entry

    zindagi too ne mujhe qabr se kam dii hai zamiiN
    paaNoN phailaaooN to diivaar meiN sar lagta hai

    3rd Entry
    zindagii to bevafaa hai ek din Thukaraaegii
    maut mahabuubaa hai apane saath lekar jaaegii
    mar ke jiine kii adaa jo duniyaa ko sikhalaaegaa
    vo muqaddar kaa sikandar jaaneman kahalaaegaa....

    4th Entry

    ziNdagi aamad baraaye baNdagii
    ziNdgi be-baNdagii, sharmiNdagii

    Participant 3



    2nd Entry


    3rd Entry


    4th Entry



    5th Entry


    participant 4


    2nd Entry




    Participant 5



    2nd Entry
    khaboown ka janssown main aa kay ansoown chupa lae ta hown
    zindgi teri khatar main kitnay gum autha lay ta hown
    tu aa kay dil hi tor ja mera hi maray humnasheen
    iss tunhai main bas yea hi duha laboown pay sjjaa lay ta hown
    kayin maloom na per jayay maray dil ki haqeeqath iss dunia ko
    yea hi sooch kay meri jann main muskra l ay ta hown
    mitnae hi nahi dae ta teri yadoown ko main aur mera awara mann
    her din teri yadoown ka nia kanwal khelaa lae ta hown
    ho teare gumoown ka rajj sagar kay zindgi pay
    teri damin main hown khushyain duha kae liay haath autha lae ta hown

    3rd Entry



    PArticipant 6

    zindagi tujh say ummid-e-wafa kia rakhoon
    jab mujhey chor gayey dost puraney merey

    zindagi zinda-dili ka naam hai
    murda dil kia khak jiya kertey hein


    zindagi youn hue basar tanha
    qafla saath aur safar tanha


    zindagi thi kise bazar ka manzir jaisey
    hum bhi mathey pey sajaye huey qeemat nikley

    zindagi shaman ki manid jalata hoon Nadeem
    bujh to jayon ga magar subha to ker jayon ga
    9
    Participant 1
    22.22%
    2
    Participant 2
    0.00%
    0
    Participant 3
    11.11%
    1
    Participant 4
    11.11%
    1
    Participant 5
    44.44%
    4
    Participant 6
    11.11%
    1
    Participant 7
    0.00%
    0
    Participant 8
    0.00%
    0
    Last edited by La'hasil; 29 February 2008, 10:22.
    Zindagi Thak Gaye ..!!

  • #2
    Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

    Participnat 7

    Dard se aashna tha dil jab,
    Zindagi bemaza thi mere liye,
    Go ke maseeha nahi tha woh phir bhi,
    Us ke haathon shifa thi mere liye,
    Raas aa jati hai aksar ko magar,
    Aashqi ek saza thi mere liye,
    Meharbaan tha sabhi per woh lekin,
    Us ki fitrat juda thi mere liye,
    Woh to DIL he na raha us k paas werna,
    Us me jagah thi mere liye,

    2nd Entry

    Hum ne kuch Is tarhan Mohabbat Ki hai
    Ke Mohabbat me Tumhari parstish Ki hai
    Tumhare baghair Zindagi ka Koi tasawar nahi
    Mai ne kuch is tarha Se Tumhari tamanna Ki hai
    Meri Zindagi Ki Khushiyan Tum Se Hi Hain Wabasta
    Mai Ne RUB Se Tumhe paanay Ki Duaa Ki hai
    Mai Tumhe Chheen Lon ga Duniya Ki rasmon Se
    Mai Ne Tumhare Liye Zamanay Se Baghawat Ki hai

    3rd Entry

    Ghum-e-zindagi teri rah me, shab-e-aarzo teri chah me
    Jo ujar gaya woh basa nahi, jo bichar gaya woh mila nahi
    Jo Dil-o-nazar ka saroor tha mere paas reh kar bhi door tha
    Wohi ek gulaab umeed ka meri, Shaakh-e-jaan pe khila nahi

    4th Entry

    Hume kahin na kahin to bichar hi jaana tha
    Ye haadsa bhi meri zindagi me aana tha
    Woh ek shakhs mujhe saari zindagi tarsay ga
    Naseeb me uske , mujh ko ganwana tha

    5th Entry

    Zindagi ke bhaid ko mere Siwa jaane ga koun
    Zindagi Kuch bhi nahi teri TAMANNA k siwa

    Participant 8


    her dua ma app ke khushi mangi ha....
    app ka leya sitaroon sa roshni mangi ha.....
    na ho jis ma koi be gham.....
    khuda sa app ka leya wo zindgai mangi ha...

    2nd Entry

    kaya mangoon khuda sa app ko panay k bad
    kis ka karu intazar app ka anna k bad
    keyu dostoon k liya zindgi luta datay haan loog
    mujay maloom hua tujhay dost banane ka bad

    3rd Entry

    tari yaad ma bahot pagham likhtay haan
    tari yaad ma guzri zindgi ke sham likhtay haan
    wo kalam be devana ho jata ha
    jis sa hum app ka nam likhtay haan

    4th Entry

    her aaine ke kismat ma tasver nahi hoti
    her kesi ke aik jasi raqdir nahi hoti
    aur be haan hum jasay zindgi sa bazar loog
    jin ka hathoon me mohabat ke lakeer nahi hoti

    5th Entry

    sapnay saray toor ka bathay haan
    dil ka arman chor kar bathay haan
    na ke jiya hum sa zandgi ke bataain
    hum abi abi dil ka tukray jor k bathay haan
    Zindagi Thak Gaye ..!!

    Comment


    • #3
      Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

      Koi Bhi Participant Khud ko Vote Nahin Kar Sakhta

      Polling ki Last Date 5th March Hai

      Khush Rahiye

      Wa,Salaam
      Zindagi Thak Gaye ..!!

      Comment


      • #4
        Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

        Poll to Open kar dein
        Allah

        Comment


        • #5
          Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

          Opened
          Allah

          Comment


          • #6
            Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

            Voted :rose
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

              Wo Net hi Mar Gaya tha :(
              Zindagi Thak Gaye ..!!

              Comment


              • #8
                Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                mein ne to 6 entry ki thi ....chalein kulcha wali hata k 5 bunti he yaha sirf 4....aisa kyun.....

                Comment


                • #9
                  Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                  :S Galti Se ho gaya Aisa :s
                  Zindagi Thak Gaye ..!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                    meri entry delete ker dain .............main iss main particepate nahi kerna chatti ......kuin kay msood web site chor cukae hain

                    Comment


                    • #11
                      Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                      voted....

                      lekin mein agur khud ko vote nahi do ga to mujhay koun de ga...?????

                      Comment


                      • #12
                        Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                        Masood Kahin Nahin Ja Rahay Sanam Aur Dose Baat Del nahin Ho Gi Ab :)


                        LoL MSA koi tu Dey hi Dey ga :p
                        Zindagi Thak Gaye ..!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                          voted

                          Comment


                          • #14
                            Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                            voted

                            Comment


                            • #15
                              Re: Polling Of The Februruary A'shaar Competition

                              Originally posted by La'hasil View Post
                              LoL MSA koi tu Dey hi Dey ga :p
                              mujhay to aisi koi umeed nazr nahi arahi...:donno::donno:

                              Comment

                              Working...
                              X