Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

~~*.....chao tumko batatay hain.....*~~

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ~~*.....chao tumko batatay hain.....*~~

    chalo tumko batatay hain
    k tumko daikh kar dil nay kaha
    tum rishta-e-jaan say bhi barh kar ho
    dua ki sarhadon par jo adhuri hay
    meri aisi tamanna ho
    meray dil ka muqaddar ho
    k tum ik roshni ban kar .........shifa lay kar
    kisi dast-e-masiha ki terhan
    utray howay har zakham-e-dil pay ho
    chalo tumko batatay hain k tum emaan hamara ho
    saraaye dehar main andaisha-e-zindagani main
    tum hi dil ka sahara ho
    jo roh-e-aasman pay jagmagaya hay mohabbat say
    suhani shaam ki chahaton ka
    pehla tarah ho........wafa ka isti'aarah ho
    tumharay qurb ki khushbu say
    pathar ki terhan hamnay
    sulagti dhoop main phailaao paya hay
    tumharay payar k rangeen kanwal
    thandi hawa say sarsaraty hain...k
    ham sawan k bhigay pairon ko chu lain tu
    tumharay lams ki khushbu k lamhay jagmagatay hain
    chalo tumko batatay hain
    k hamnay zindagi k sab oraaq lay kar
    sabhi satron man likhli hay tamanna tumko panay ki
    zamanay bhar main shayad kaatib-e-taqdir k hathon
    meray dilnay likhli hay tumhari chah ki khawahish
    tumhari aarzoo ka jo ik idraak hay mujhmain
    kisi main ho nahi sakta
    tumhari muskurahat ka jo ik armaan hai dil main
    kisi main ho nahi sakta
    chalo tumko batatay hain.....:rose
    :rosetujhay bhoul janay ki koshishain
    kabhi kaamyaab na ho sakien.....
    teri yad shakh-e-gulaab hay ......
    jo hawa chali tu mehak uhti......:rose

  • #2
    Re: ~~*.....chao tumko batatay hain.....*~~

    v.nice!keep sharing~
    ISHQ HAQEEKI HO YA MAJAZI,
    NACHATA ZAROR HY.....!!:rose

    Comment


    • #3
      Re: ~~*.....chao tumko batatay hain.....*~~

      Zaberdast

      Comment


      • #4
        Re: ~~*.....chao tumko batatay hain.....*~~

        bauaht hi acchi nazam hai...:rose

        Comment


        • #5
          Re: ~~*.....chao tumko batatay hain.....*~~

          very nice

          Comment

          Working...
          X