Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Shatooo Ki Pasand

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ''haan Dil Ko Muhabbat Hai Tum Sey''

    first of all welcome on board.............. :) inspirational poetry............... keep sharing.....

    Comment


    • #17
      Itna to haq chahat ka tum adaa kardo..

      Chalo tum hi muhabbat ki ibteda kardo.
      Nafraton ke is dorr me mojza kardo.
      Mujh ko loata do ek baar mera dil.
      Ya khud ko meri saanson se juda kardo.
      Beet chukey hen keyi baras tujhe dekhey bagher.
      Phir se chaley aao bechain fiza kardo..
      Ya phir rehne do tanha mujhey mere haal pe.
      Itna to haq chahat ka tum adaa kardo..

      Comment


      • #18
        Re: Itna to haq chahat ka tum adaa kardo..

        Ya phir rehne do tanha mujhey mere haal pe.
        Itna to haq chahat ka tum adaa kardo..

        nice...........:)

        Comment


        • #19
          Re: Itna to haq chahat ka tum adaa kardo..

          --------------------------------------------------------------------------------

          rab teri dunia mian rahna girahn ho gia hi
          lagta hi zindgi ka her mousam khazan ho gia hi
          mugh sae bichar kae kia guzree tugh pae nahi jantae
          per suna hi taeri ankhoown say pani rawaan ho gia hi
          terae chahnae waloon pay tang ker dee hi zameen
          kitna khuni sa meray rab yea jahann ho gia hi
          abb bi kabi dunia puchti hi tera sagar abbasi
          wo awara ajnabi sa shakhas kahaan kho gia hi

          Comment


          • #20
            Re: Itna to haq chahat ka tum adaa kardo..

            Chaoo Na Itna Kissi Ko Zmane Main
            Kay Ik Mati Kae Putlay Ko Tum Khuda Ker Do
            Tor Diaey Tu Nae Mohabath Kae Sarae Sazz
            Abb Yadoown Ki Sirgum Ko Migh Sae Juda Ker Do

            Comment


            • #21
              Tujhey ek shakhs ne chaha bohat hai...

              Muhabbat ka gumaan hota bohat hai..
              Ke ab yeh lafz bhi Ruswa bohat hai.
              Udaasi ka sabab me kia bataun.
              Gali kouchon me sannataa bohat hai..
              Na milney ki qasam kha kar bhi mene
              Tujhey harraah men dhoonda bohat hai..
              Yeh aankhen or kia dekhen kisi ko.
              In aankhon ne tujhey dekha bohat hai..
              Na jaaney kion bachaa rakhey hen aansoo
              Abhi shayad mujhey rona bohat hai..
              Tujhey maloom to hoga mere hamdam.
              Tujhey ek shakhs ne chaha bohat hai...

              Comment


              • #22
                One Of The Best From Ibn-e-insha

                Dil ishq mein be-payan, sooda ho to aisa ho
                Dirya ho to aisa ho, sehra ho to aisa ho

                Hum se nahi Rishta bhi, hum se nahi milta bhi
                [Hai paas wo beitha bhi, dhooka ho to aisa ho

                Wo bhi raha begana, hum ne bhi na pehchana
                Haan ay dil-e-deewana, apna ho to aisa ho

                Hum ne yehi manga tha, us ne yehi bukhsha hai
                Banda ho to aisa ho, data ho to aisa ho

                Is daur mein kiya kiya hai, ruswai bhi lazzat bhi
                Kanta ho to aisa ho, chubhta ho to aisa ho

                Ay Qais janoo peisha, Insha ko kabhi dekha
                Wahshi ho to aisa ho, ruswa ho to aisa ho
                Last edited by shatooo; 21 February 2008, 21:22. Reason: missing

                Comment


                • #23
                  Re: One Of The Best From Ibn-e-insha

                  Main ney aap sey iltimaas ki hai keh har aik sharing key liye alag sey threads na lagaein, next time your threads will be deleted!
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment


                  • #24
                    Re: One Of The Best From Ibn-e-insha

                    Originally posted by Masood View Post
                    Main ney aap sey iltimaas ki hai keh har aik sharing key liye alag sey threads na lagaein, next time your threads will be deleted!
                    ok it wont happens again

                    Comment

                    Working...
                    X