Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

SADAFASLAM ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: SADAFASLAM ki Choice

    BAray mukhtasar se huroOof mai


    BAray mukhtasar se huroOof mai mujhe gehri baat bata gaya
    KEh khuwab sa koii shakhs tha jo sehar se pehlay jaga gayaa

    Kisi meharbaan ki duaaon se safar tamam howaa meraa
    JInhein rehbarii ka ghuroor tha, unhien raston nai mita diyaa

    HAmay aasman se gilaa nahi teri rehmaton pai yaqeen hai
    Jahan zindagi nai shikast di wahan mojzon nai bacha liyaa

    Hamay zinda rehnay ka hosla teri aarzoOo nai ata kiaa
    BAray geray zakham thai waqt nai jinhien rafta rafta bujha diya

    Comment


    • Re: SADAFASLAM ki Choice

      nice sharing sister
      sigpic

      Comment


      • Re: SADAFASLAM ki Choice

        thnx Wasi bhai

        Comment


        • Re: SADAFASLAM ki Choice

          Aye Chand
          USai Kehnaaa

          WO jo DoOor Boat DoOor BASta hai
          USai koii yaad karta hai
          AUr
          BAI hisaab karta hai

          USAI kehna
          JAb Wo kisi aur k sang hansta hai
          TO DoOor Bohat door kisi kaa dil dharakta hai
          AUR

          WO JAb udaaas hota hai
          PAss uske naa koii ghum shanas hota hai
          TO phir dOor Bohat DoOor
          KIsi ki aankhon se LAhoOo BArasta hai

          AYE Chand usai kehna
          JIse wo Chor aaya tha
          JIse Wo Tor Aaya tha
          WOo aj bhi tere Aas pas basta hai
          Tere pas pas basta hai...

          Comment


          • Re: SADAFASLAM ki Choice

            Nice Sharing Sadaf jee

            Comment


            • Re: SADAFASLAM ki Choice

              shukriya g

              Comment


              • Re: SADAFASLAM ki Choice

                Originally posted by SADAFASLAM View Post
                Khuwaab toot jaate hain

                bheer main zamaane ki
                haath choott jaate hain
                bheer main zamaane ki,
                dost daar lehjon main silwaten si parti hain
                ik zara si ranjish se
                shaakh ki zard tehni per phool badgumaani k
                is tarah se khilte hain
                zindagi se pyaare bhi ghair ban ke milte hain,
                umar bhar ki chahat ko aasra nahi milta
                khamoshi ke waqfon main
                baat toot jaati hai aur sira nahi milta,
                maazrat ke lafzon ko roshni nahi milti
                lazzat-e-pazeeraai phir kabhi nahi milti
                phool rang waadon ki manzilen sukarti hain
                raah murne lagti hai
                faasle ki einton se eeint jurne lagti hai,
                khaak urne lagti hai
                khuaab toot jaate hain
                aik zara si rangish se
                saath choott jaate hain
                bheer main zamane ki
                haath choott jaate hain

                khuaab toot jaate hain.!
                buht khoob!! :thmbup:
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • Re: SADAFASLAM ki Choice

                  thnx Hala g

                  Comment


                  • Re: SADAFASLAM ki Choice

                    Apni muhabbat k afsaane kab tak raaz banaaoge!
                    Ruswaayi se darne waalo baat tumhi phelaaoge.

                    Us ka kya hai tum na sahee to aur buhat,
                    Tark-e Muhabbat kerne waalon tum tanha reh jaaoge.

                    Hijr k maaron ki khush-fehmi, jaag rahe hain pehron se,
                    Jese shab yun kat jaayegi, jab Tum aajaaoge.

                    Chhoro ahd-e wafa ki baatain, kyun jhoote iqraar karain?
                    Kal main bhi sharminda hoonga, Kal tum bhi pashtaaoge.

                    Rehne do ye pind-o naseehat hum bhi Faraz' se waqif hain,
                    Jis ne khud so zakham sahe hoon us ko kya samjhaaoge.

                    Comment


                    • Re: SADAFASLAM ki Choice

                      Nice sharing sister
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: SADAFASLAM ki Choice

                        MUHABBAT RAIT JASI THE.

                        Main shayed ye samjhta tha
                        Muhabbat dhair saari the
                        main dono hathon main bhar ker
                        umer sari sambhalun ga
                        kabi khonay nahi dunga
                        Muhabbat khone k dar say
                        Mutthiyan bheench le main nay
                        mager jub mutthiyan kholeen
                        to dono hath khaali thy
                        mujay tab he yaqeen aya

                        MUHABBAT RAIT JASI THE..!!

                        Comment


                        • Re: SADAFASLAM ki Choice

                          Bohat Umdah.
                          aay gham-e-hijr-e-yaar,ye tu bata
                          kia tujhay koe kaam kaaj nahi!

                          Comment


                          • Re: SADAFASLAM ki Choice

                            Originally posted by SADAFASLAM View Post
                            Apni muhabbat k afsaane kab tak raaz banaaoge!
                            Ruswaayi se darne waalo baat tumhi phelaaoge.
                            .
                            buhat umda :rose

                            Comment


                            • Re: SADAFASLAM ki Choice

                              so nice................

                              Comment


                              • Re: SADAFASLAM ki Choice

                                Ab tu mumkin hi
                                nahi un se mulaqat
                                Wasi

                                ab to urooj pe
                                pahunchi hai us ki
                                zaat Wasi

                                wohi wade hain aur
                                rasmon ki
                                zanjeeren baqi,

                                kab badlti hain
                                zanane ki riwayat
                                Wasi

                                ek wo din thy k ek
                                doosre ko sochte
                                thy hum,

                                ab tu milte nahi dono
                                k khayalat
                                Wasi

                                meri her subha ka
                                aaghaz tere naam
                                se ho,

                                teri yadon mein
                                katti meri her ek
                                raat Wasi

                                tum kahan aur
                                mere piyar ka
                                miyar kahan,

                                wo kitni sadgi se
                                ker gya yeh baat
                                Wasi

                                Comment

                                Working...
                                X