Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

SADAFASLAM ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: SADAFASLAM ki Choice

    very nice collection dear

    Comment


    • Re: SADAFASLAM ki Choice

      buhat acha intakhab haai...keep rocking:salam:

      Comment


      • Re: SADAFASLAM ki Choice

        Originally posted by SADAFASLAM View Post
        >>Ussay Kahna<<


        Ussay Kahna
        Kisi bhi sham main milnay chalay aaye
        Mujhay aik nazm likhni hay
        Sunahri Dhoop k jaisa tere rang-o-Roop ujla sa
        Dhulay Barish se dekho to haseen piyaray nazaray hain
        Falak k isteaaray hain
        Yah Teri aankh jaisay hain
        So in sab par
        Mujhay aik nazm likhni hay
        Ussay kahna Murree ki jhoomti chanchal hawaoon si
        Teri in shokh zulfoon par
        Mujhay kuch shair kahnay hain
        Nasheeli ankhon main Teri sharaboon ki si masti hay
        Teri narm palkoon par yah jitney bhi sitaray hain
        Mujhay in sab KO choona hay
        Teray in band honton main chupi Jo muskurahat hay
        Yahi to shairi hay bas
        Mujhay aik nazm likhni hay
        Ussay kahna
        Teri aankhain bohat kuch bolti hain
        Teri batain shehad SA gholti hain
        Yah phoolon par giri shabnam teray galoon k jaisi hay
        Chamakti chandni jaisi Teri roshan jabeen par bhi
        Mujhay aik
        nazm likhni hay
        Ghani shakhoon k Patton main chupa woh chand piyara SA
        Teray chahray k jaisa hay
        Teray is chand chahray par mujhay kuch shair kahnay hain

        Ussay kahna mujhay aik nazm likhni hay
        Bahot khoob siss nice sharing :rose
        sigpic

        Comment


        • Re: SADAFASLAM ki Choice

          ....salamz kia haal hain kafi time k bath ider ana howa so patta he nhi lag raha koun se new hain koun se old...hehehe...khair last wali read keti a main ho achi c..:P
          sigpic

          Comment


          • Re: SADAFASLAM ki Choice

            bahut acha kalam hai


            --------------------------
            woh maza diya tarap nay kay yeh aarzo hai yah rab
            meray dono pehlo'on mein dil_e_beqarar hota

            Comment


            • Re: SADAFASLAM ki Choice

              Originally posted by SADAFASLAM View Post


              ahal-e-dil aur bhi hain ahal-e-vafaa aur bhi hain
              ek ham hii nahi duniya se Khafa aur bhi hain

              kya hua ger merey yaaron ki zabaanein chup hain
              mere shahid mere yaaron ke sivaa aur bhi hain

              hum pe hi Khatam nahi maslak-e-shoriidaa_sarii
              chaak-e-dil aur bhi hai chaak-e-qabaa aur bhii hain

              sar salaamat hai to kya sang-e-malaamat ki kami
              jaan baaqi hai to paikaan-e-qazaa aur bhi hain

              munsif-e-shahar ki vahadat pay na harf aa jaaye

              log kahate hain ke arabaab-e-jafaa aur bhi hain
              Pyar kay deep jalanay walay khuch khuch pagal hotay hain
              apni jaan say jaan sey walay khuch khuch pagal hotay hain

              Hijar kay gehray zakham milay to mujh ko yeh ehsaas hua
              pagal ko samjhaanay walay khuch khuch pagal hotay hain

              jaan say piyare logoon say bhi kuch kuch pardah lazim hai
              saari baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

              khaaboon main bhi piya milan ke sapne dekhtay rehte hain
              neendoon main muskaney wale kuch kuch pagal hotay hain

              iss jhooti naggri main hum nay yehi hameshaa dekhaa hai
              sachi baat bataanay waalay khuch khuch pagal hotay hain

              piyaar jinhain ho jaaye un ko chain bhalaa kab miltaa hai?
              shab bhar ashk bahane walay kuch kuch pagal hotay hain

              apni zaat se ujhray gulshan se wo piyar kahan karte hain?
              auroon ko mehkanay walay khuch khuch pagal hotay hain

              us kay ishq main bheeg kay 'wasiq' hum ko yeh ehsas hua
              Dil ki baat main aane walay khuch khuch pagal hotay hain

              Comment


              • Re: SADAFASLAM ki Choice

                Main jahaa'n tum ko bulaata hoon wahaa'n tak aao
                meri nazaro'n se guzar kar dil-o-jaan tak aao

                phir ye dekho ki zamaane ki hawa hai kaisi
                saath mere, mere firdaus-e-jawaa'n tak aao

                teg ki tarah chalo chhod ke aagosh-e-niyaam
                teer ki tarah se aagosh-e-kamaa'n tak aao

                phool ke gird phiro baag mein maanind-e-naseem
                misl-e-parvaana kisi shaam-e-tapaa'n tak aao

                lo wo sadiyo'n ke jahannum ki hadein khatm huee
                ab hai firdaus hi firdaus jahaa'n tak aao

                chhod kar veham-o-gumaa'n husn-e-yaqee'n tak pahuncho
                par yaqeen se bhi kabhi veham-o-gumaa'n tak aao.

                [AHMED NADEEM QASIMI]

                Comment


                • Re: SADAFASLAM ki Choice

                  KAHAN SE SEEKH LI TUMNE

                  Kabhi tum loat k aao
                  mujhe itna samjhaao
                  KAhan se seekh li tum ne
                  Ada mujhko bhulane ki

                  Tumhe mujhse shikwa tha
                  Yaa koii shikayat thi
                  ZEhmat tou zara si thi
                  Naa ke koshish batane ki

                  Bhala koii youn chor kar apna
                  Koii Apne ko jata hai
                  Musalsal dukh ki barish mai
                  JEewan bhar rulata hai


                  Abhi tou rait geeli hai
                  Abhi sab nakshs baaki hien
                  GAye qadmon pai lout aao
                  mujhe bas itna samjhaao

                  KAHAN SE SEEKH LI TUMNE
                  Ada mujhko bhulane ki

                  Comment


                  • Re: SADAFASLAM ki Choice

                    Batao Dil Ki Bazi Main Bhala Kya Bat Gehri Thi?
                    Kaha Youn Tu Sabhi Kuch Theek Tha Per Maat Gehri Thi,

                    Suno Barish ! Kabhi Khudh Say Bhi koi Barh K Deakha Hai?
                    Jawab Aya Un Aankhon Ki Mager Barsat Gehri Thi,

                    Suno Pitam Nay Hoole Say Kaha Tha Kya Batao Gay?
                    Jawab Aya Kaha Tu Tha Mager Wo Baat Gehri Thi,

                    Diya Dil Ka Samandar Us Nay Kya Kiya Is Ko?
                    Hamain Bus Doob Jana Tha K Wo Soghat Gehri Thi,

                    Wafa Ka Dasht Kaisa Tha Batai Tum Pay Kya Beeti?
                    Bhatak Jana He Tha Ham Ko Wanha Per Raat Gehri Thi,

                    Tum Us K Zikar Pay Kion Doob Jatay Ho Khayalon Main?
                    Rafaqat Or Adawat Apni Us K Sath Gehri Thi,

                    Nazar Aya Tumhain Us Ajnabi Main Kya Batao Gay?
                    Suno Qatil Nigahon Ki Wo Zalim Ghaat Gehri Thi..!!

                    Comment


                    • Re: SADAFASLAM ki Choice

                      waah siss bahot achi choice hai aap ki
                      sigpic

                      Comment


                      • Re: SADAFASLAM ki Choice

                        app ki sub collection buaht achi ha but agar poet name bi sath lakh daa tu its best
                        :baby:

                        Comment


                        • Re: SADAFASLAM ki Choice

                          kaho to laut jate hain

                          abhi to baat lamhon tak he, salon tak nahi aai

                          abhi muskanon ki nobat bhi nalon tak nahi aai

                          abhi to koi majborri khiyalon tak nahi aai

                          abhi to gard peron tak he. Balon tak nahi aai

                          kaho to laut jate hain

                          chalo ek faisla karne shajar ki aut jate hain

                          abhi kajil ki dori surkh galon tak nahi aai

                          zuban datoon talak hai zehr piyalon tak naheen aai

                          ibhi to musk-e-kustori ghazaloon tak nahin aai

                          ibhi rodad-e-beunwan humaray darmian he, duniyan walloon tak nahin aai

                          kaho to lout jatan han

                          chalo ik faisala karnay sharjer ki out jatan han



                          abhi nazdeek han ghar aur manzil door he apni

                          mubada nar ho jayay ye hesti noor hai apni

                          kaho to lout jatay han

                          chalo ik fasala karnay shajar ki out jatan han.

                          Ye rasta piyar ka rasta,

                          rasan ka dar ka rasta,

                          bohat dushwar he jana

                          keh is rastay ka her zarra bhi ik kohsar he jana.

                          Kaho to lout jatay han

                          chalo ik fasala karnay shajar ki out jatan han.

                          Maray baray na kuch socho

                          mujhay to sath tumharay amer hounay ki hasrat he

                          mujhay tay karna ata he rasan ka dar ka rasta

                          ye asaboon bhara rasta

                          ye andhi ghar ka rasta

                          tumhary gaisooun ki chaoon mil jayay to suraj se ulajhna bat he kia he

                          udha lo apna saya to meri ouqat hi kia he

                          tumhara narm o nazuk hath mere hath man ho to me ye samjho

                          ke jasay do jahan ho mari muthi me

                          tumhara kurb ho to mushkilan kafoor ho ja yan

                          ye undhay ur kalay rastay pur noor ho ja yan.

                          Mujhe maloom he itna keh dayem zandagi posheeda he in char kadmoon me

                          bohat si ra-hatan muzmir han in dushwar rastoon man

                          meray baray na kuch socho

                          tum apni bat batlaoo

                          kahoo to charltay rahtay han

                          kahoo to lout jatay han.

                          Comment


                          • Re: SADAFASLAM ki Choice

                            Originally posted by SADAFASLAM View Post
                            kaho to laut jate hain


                            abhi to baat lamhon tak he, salon tak nahi aai

                            abhi muskanon ki nobat bhi nalon tak nahi aai

                            abhi to koi majborri khiyalon tak nahi aai

                            abhi to gard peron tak he. Balon tak nahi aai

                            kaho to laut jate hain

                            chalo ek faisla karne shajar ki aut jate hain

                            abhi kajil ki dori surkh galon tak nahi aai

                            zuban datoon talak hai zehr piyalon tak naheen aai

                            ibhi to musk-e-kustori ghazaloon tak nahin aai

                            ibhi rodad-e-beunwan humaray darmian he, duniyan walloon tak nahin aai

                            kaho to lout jatan han

                            chalo ik faisala karnay sharjer ki out jatan han



                            abhi nazdeek han ghar aur manzil door he apni

                            mubada nar ho jayay ye hesti noor hai apni

                            kaho to lout jatay han

                            chalo ik fasala karnay shajar ki out jatan han.

                            Ye rasta piyar ka rasta,

                            rasan ka dar ka rasta,

                            bohat dushwar he jana

                            keh is rastay ka her zarra bhi ik kohsar he jana.

                            Kaho to lout jatay han

                            chalo ik fasala karnay shajar ki out jatan han.

                            Maray baray na kuch socho

                            mujhay to sath tumharay amer hounay ki hasrat he

                            mujhay tay karna ata he rasan ka dar ka rasta

                            ye asaboon bhara rasta

                            ye andhi ghar ka rasta

                            tumhary gaisooun ki chaoon mil jayay to suraj se ulajhna bat he kia he

                            udha lo apna saya to meri ouqat hi kia he

                            tumhara narm o nazuk hath mere hath man ho to me ye samjho

                            ke jasay do jahan ho mari muthi me

                            tumhara kurb ho to mushkilan kafoor ho ja yan

                            ye undhay ur kalay rastay pur noor ho ja yan.

                            Mujhe maloom he itna keh dayem zandagi posheeda he in char kadmoon me

                            bohat si ra-hatan muzmir han in dushwar rastoon man

                            meray baray na kuch socho

                            tum apni bat batlaoo

                            kahoo to charltay rahtay han


                            kahoo to lout jatay han.

                            Bahot khoobsurat sharing my fav
                            thanx 4 sharing :phool:
                            sigpic

                            Comment


                            • Re: SADAFASLAM ki Choice

                              Khuwaab toot jaate hain
                              bheer main zamaane ki
                              haath choott jaate hain
                              bheer main zamaane ki,
                              dost daar lehjon main silwaten si parti hain
                              ik zara si ranjish se
                              shaakh ki zard tehni per phool badgumaani k
                              is tarah se khilte hain
                              zindagi se pyaare bhi ghair ban ke milte hain,
                              umar bhar ki chahat ko aasra nahi milta
                              khamoshi ke waqfon main
                              baat toot jaati hai aur sira nahi milta,
                              maazrat ke lafzon ko roshni nahi milti
                              lazzat-e-pazeeraai phir kabhi nahi milti
                              phool rang waadon ki manzilen sukarti hain
                              raah murne lagti hai
                              faasle ki einton se eeint jurne lagti hai,
                              khaak urne lagti hai
                              khuaab toot jaate hain
                              aik zara si rangish se
                              saath choott jaate hain
                              bheer main zamane ki
                              haath choott jaate hain
                              khuaab toot jaate hain.!

                              Comment


                              • Re: SADAFASLAM ki Choice

                                Us simat chalay ho to bas itna use kehna

                                Us simat chalay ho to bas itna use kehna,
                                Ab koi nahi hurf-e-tamanna use kehna!.

                                Us ne hi kaha tha to yaqeen main ne kiya tha,
                                Umeed pe qaaim hai yeh duniya use kehna!.

                                Duniya to kisi haal main jeene nahi deti,
                                Chahat nahi hoti kabhi ruswa use kehna!.

                                Zarkhez zameenain kabhi banjar nahi hotien,
                                Darya hi badal lete hain rasta use kehna!.

                                Wo meri rasaayi main nahi hai to ajab kya,
                                Hasrat bhi to hai ishq ka lehja use kehna.

                                Us simat chalay ho to bas itna use kehna!!!

                                Kuch log safar ke liye mozoo nahi hote,
                                Kuch raaste kat-te nahi tanha ......Use Kehna.!!

                                Comment

                                Working...
                                X