Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
SADAFASLAM ki Choice
Collapse
X
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho
Kuch Duniya Se Ghabraye Hue
Jaise Bohat Sataye Hue
Kuch Gumsum Gumsum Lagte Ho
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho
Chehre Pe Khushi Ki Kiran Nahi
Na Honton Pe Muskaan Haseen
Kyun Preshaan Tumhari Batein Hain
Kyun Hairaan Tumhari Aankhen Hain
Kyun Khud Se Hi Batein Karte Ho
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho
Lehje Main Tere Na Aas Koi
Kar Gaya Tumhein Udaas Koi
Kyun Gehre Halke Aankhon Main
Kyun Jaagte Tanha Raton Main
Kya Sapno Se Tum Darte Ho
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho
Kya Sapne Tumhare Toot Gaye
Ya Apne Saare Rooth Gaye
Kya Gum Ho Beete Saalon Mein
Kis si Bewafa Ka Khayalon Mein
Tum Khoye Lagte Ho
Kyun Tanha Tanha Phirte Ho
Kyun Uljhe Uljhe Rehte Ho
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Unka Humse Milna Pal Do Pal Ka Hasna,
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona,
Unka Hamein Gale Lagana Aur Phir Kehna Ho Jaye Ab Juda,
Unka Hasna Unki Baatein Kyon Is Jahan se Juda?
Unka Hamein Betabi Se Milna Aur Phir Muskurana,
Unka Har Baar Mein Gazab Karna Aur Hamara Bas Unpe Mar Jana,
Unka Humse Baatein Karna Aur Apna HaQ Jatana,
Unka Hamein Khilona Samajhkar Har Baar Tod Jana,
Apne Dilko Yun Samjhana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Waada Kiya Tha Nibhana Tha, Hum Intezaar Karte Rahe,
Apni hasti Mitane Ke Liye Jazbaat Hamare Tadpa Gaye,
Unki Khatir Muskurana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Unhone Kiya Haal-E-Dil Bayan, Hazar Zakhm Mehek Uthe,
Unko Haal-E-Dil Sunana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Unka Humse Milna Pal Do Pal ka Hasna
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona..........
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Woh jazboon ki tejarat thi
yeh dil kuch aur samjha tha
usay hasny ki adat thi
yeh dil kuch aur sumjha tha
mujhy us nay kaha
"A'o nai duniya basaty hain"
usay sojhi shahrat thi
yeh dil kuch aur sumjha tha
humesha us ki a'ankhon main
dhanak say rang hoty thy
yeh us ki aam halat thi
yeh dil kuch aur sumjha tha
mery kandhy pay sir rakh k
khain pay kho gya tha Woh
yeh ek waqti enyat thi
yeh DIL KUCH AUR SUMJHA THA
KHUSH FEHMI!!Last edited by SADAFASLAM; 29 June 2008, 13:22.
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
kabhi chanda ki nagri say koi pegham aye to
kabhi taroon ka honton per kisi ka naam aye to
kabhi tareek shab main koi jugno jagmagata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab saans say uthta dhuan mehsoos hota ho
ajab si aanch pe haar karuan mehsoos hota ho
to uss ki pyar ki barish main tan man bheg jata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi raaton ko uth uth kar bohat bechain hoti hoon
agar jo letna chahon to bas takiye bhigoti hoon
koi ruthi hui shab neend ki pariyan bulata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
kabhi jab titliyon k pankh bhi be rang ho jayen
meri saari baharain bhi khizan k sang ho jayen
tabhi ek aas ka panchi dar e dil khatkatata hai
MUJHE WO YAAD ATA HAI........
wo jiss k dhyan ki kirnain hamain har subh jagati hain
usi ki yaad k saye main shamin muskurati hain
mujhe chu kar jo har shab sang say hera banata hai
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Adhoory khwaab k ander
Kabhi Palken bichana mat
Adhoory khwab ankhon ko bohat takleef dety hain
Adhoori yad ko dil ki zamee'n main tum nahi bona
Adhoori yad dharkan main bohat chubhti, sisakti ha
khalish ban ker khatkti ha
Lahoo main bijlian ban ker bhatk'ti ha
Adhoory Pyar ko....Lakin chalo jany do is ko tum
Muhabat, Pyar, Chahat, Ishq hoty hi Adhoory hain..
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Mohabbat main itna door nikal jayenge
Kabhi socha na tha
Hum wafa karke bhi bewafa kehlaayenge
Kabhi socha na tha
Zamane se tanha hi takrayen ge
Kabhi socha na tha
Hum to Pyaar ke naam se hi na aashna the
Chahat ki itni bari saza payenge kabhi socha na tha
Us ka her andaaz doorson se judda lagta hai
Uske rang main hum rang jayenge kabhi socha na tha.....!!!!!!!!!
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
Tujhey khabr hay tujhey soochney ki khatir
bohat sey kamm muqadar pey taal rukhtey hain
koi bhi faisla hum soch kar nhn kartey
tumharey naam ka sikka uchaal rukhtey hain
tumharey baad yeah adat si ho gai apni
bikhartey sookhtey puttey sanbhaal rukhtey hian
khushi si milti hay khudd ko azyatein dey kar
soo jan bojh kar khud ko nadhal rukhtey hain
tumharey hijr main yeah haal ho gya apna
ksi ka khutt ho, usey bhi sanbhaal rukhtey hain
KHUSHI miley tu terey baad khush nhn hotey
hum apni ankh main her dum malaal rukhtey hain
kuch is liyey bhi to bey haal ho gayey hum log
tumhari yadd ka bey hadd khayal rukhtey hain
Comment
-
Re: SADAFASLAM ki Choice
aankhon mein mere khawaab sajati hogi
Wo jo har waqt khayaalon mein basi rehti hai
Kabhi to meri bhi socho mein kho jaati hogi
Wo jiski raah mein palkein bichhi rehti hai
Kabhi mujhe bhi apne paas bulati hogi
Labon par rehti hai wo har pal hansi bankar
Tasawar se mere, wo bhi muskuraati hogi
Wo jo shaamil hai mere geet mere naghmo mein
Kabhi tanhai mein mujhko gun gunaati hogi
Jiske liye mera dil beqaraar rahta hai
Mere liye apna chain bhi gawanti hogi
Jisse izhaar-e-wafa har pal karna chahoon
Kabhi iqraar to wo bhi karna chahti hogi
Jiske liye meri har raat hai karwat karwat
Kabhi to use bhi neend na aati hogi
Jiski ulfat ki shama se hai mera dil roshan
Meri chahat ke wo bhi deep jalati hogi
Ghame-e-firaaq mera hi muqadar hai ya phir
Meri judaai use bhi yuhi rulati hogi
Comment
Comment