Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

SADAFASLAM ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Hoti kiya hai kaanh ki guryaa!

    buhat khoob............



    Comment


    • Re: Hoti kiya hai kaanh ki guryaa!

      nice sharing janabbbb
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment


      • Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili

        Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili
        haan jaise chaahte thhey wo qurbat nahi mili

        milne ko zindagi mein kaee humsafar mile
        lekin tabiyato'n se tabiyat nahi mili

        chehron ke har hajoom mein hum dhoondhte rahe
        soorat nahi mili kabhi seeerat nahi mili

        wo yak-bayak mila to bahot derr tak hamein
        alfaaz dhoondhne ki bhi mohlat nahi mili

        iss ka gila raha ke tawajjo na di usse
        lekin hamein khud apni rafaaqat nahi mili.

        Comment


        • Re: Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili

          Bahoot khoob Sadaf nice sharing
          my fav gazal hai ye
          sigpic

          Comment


          • Re: Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili

            zabardast.........:thmbup:



            Comment


            • Re: Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili

              Bohat achi ghzal hay yah SADAF - keep sharing :)
              Allah

              Comment


              • Re: SADAFASLAM ki Choice

                Izzaton sy barh ker to aur kuch nahi hota
                Chahton ki doori bhi,
                Torna hi parti hai
                Manzilon ki kashti bhi,

                Morna hi parti hai
                Bhoolna hi parta hai,
                Khud se piyare logon ko

                Aur dil k aangan main,
                Naqsh un ki tasweerain
                Kuch haseen lafzon ki,
                Kuch haseen tehreerain

                Paaoon jin main jakrain hon,
                Kholna hi parti hain
                Khoobrurat aankhon main basne wale khawbon ko
                Nochna hi parta hai
                Dil se milta her rishta torna hi parta hai
                kyun k..
                Izzaton se barh ker to aur kuch nahi hota.

                Comment


                • Re: Aisa nahi ke hum ko mohabbat nahi mili

                  nice
                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • Re: Kesey bhuladoon?

                    nice
                    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                    Comment


                    • Re: Kesey bhuladoon?

                      nice .
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • Re: Kesey bhuladoon?

                        nice .
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • Re: Kesey bhuladoon?

                          wha wha very nice:rose
                          sigpic

                          Comment


                          • Re: SADAFASLAM ki Choice

                            Hijr Mausam me ye Barish ka Barasna kaisa...
                            Aik Sehra se Samander ka Guzerna kaisa ?

                            Aey mere Dill na Pareshan Ho, Tanha Ho ker...
                            Wo Tere Sath Chala Kab Tha, Bicharna Kaisa ?

                            Log Kihte Hein, Gulshan ki Tabahi Dekho...
                            Mein Toh Veeran Sa Jungle Tha, Ujarna kaisa ?

                            Dekhne Mein Toh Koi Dard Nahi, Dukh Bhi Nahi...
                            Phir Ye Ankhon Mein Yun Ashqon Ka Ubharna Kaisa ?

                            Bewafa kihne ki Jurrat Bhi na karna Usko...
                            Usne iqrar kiya kab Tha, Mukarna Kaisa ?

                            Comment


                            • kon rok sakta hai???

                              KON ROK SAKTA HAI??????
                              lakh zabt-e-khawahish k
                              be-shumaar iraady hon
                              usko bhool janay k
                              be-panah iraady hon
                              aur is muhabbat ko tark ker k jeenay ka
                              faisla sunanay ko
                              kitney lafz sochain hon
                              dil ko us ki aahat per
                              bermala dharaknay se kon rok sakta hai
                              phir wafa k sehra me
                              us k narm lehjy aur sogwaar aankhon ki
                              khushbu'on ko chhunay ki
                              justjoo me rehnay se
                              rooh tak pighalney se
                              nangay paaun chalney se
                              kon rok sakta hai
                              ansoun ki barish me
                              chahay dil k hathon main
                              hijar k musafir k
                              paaun tak bhi chhoo aaun
                              jis ko lot jana ho
                              usko door janay se

                              rasta badalnay se
                              door ja nikalnay se
                              kon rok sakta hai?????? :rose

                              Comment


                              • Re: kon rok sakta hai???

                                buhat zaburdust....


                                yeh kis shair ki he???

                                wasi shah???

                                Comment

                                Working...
                                X