Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

bhol jaieN ab tu behter hay

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • bhol jaieN ab tu behter hay

    :salam:
    Click image for larger version

Name:	johua11rc.gif
Views:	1
Size:	128.6 KB
ID:	2456150
    :lpop:
    You'll never fail if you never quit.....

  • #2
    Re: bhol jaieN ab tu behter hay

    sorry is ka title ghalat likh diyaaa....
    :lpop:
    You'll never fail if you never quit.....

    Comment


    • #3
      Re: bhol jaieN ab tu behter hay

      Very Nice Poetry Online Ji.........

      Comment


      • #4
        Re: bhol jaieN ab tu behter hay

        main nay Dekha hai yahan sab nay apni collection banai hoi hay.....tu is thread ko apni collection bana laiti hoon...:)
        :lpop:
        You'll never fail if you never quit.....

        Comment


        • #5
          Re: bhol jaieN ab tu behter hay

          udaas raaton main teiz coffee ki talkhiyon main
          woh kuch zaida hi yaad aata hai sardiyon main

          ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

          tum apney dukh per akailay nahi ho afsurda
          tumharey chahney waley bhi saug kertey hain

          ~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~`


          kabhi raton ko uth uth kar buhat bechain hote hon
          agar jo laitna chahen to bass takiye bhigotey hon
          koi roothi hui sab neend ki parian bulata hai
          mujhe woh yad ata hai

          kabhi jab titlion ke pankh bhi be rang ho jayen
          meri sari baharen bhi khizan ke sang ho jayen
          tabhi ik aas ka panchhi dar- e -dil khatkatata hai
          mujhe woh yad ata hai

          kabhi ziddi si koi yaad daaman tham baithey to
          kabhi kaga hamari chhat pe subh o sham baithey to
          kabhi bhatka koi wada jo darwaza bajata hai
          mujhe woh yad ata hai

          :lpop:
          You'll never fail if you never quit.....

          Comment


          • #6
            Re: bhol jaieN ab tu behter hay

            Ahl-e-dil aur bhee hain ahl-e-vafa aur bhee hain
            aik hum hee naheen duniya say khafa aur bhee hain

            kiya hua gar miray yaaron kee zubaanain chup hain
            mairay shaahid miray yaaron kay siwa aur bhee hain

            hum pay hee khatm naheen maslak-e-shoreeda-saree
            chaak-e-dil aur bhee hay chaak-e-qaba aur bhee hain

            sar salaamat hay to kiya sang-e-malaamat kee kamee
            jaan baaqee hay to paikaan-e-qaza aur bhee hain

            munsif-e-shehar kee vehdat pay na harf aajaye
            log kehtay hain kay arbaab-e-jafa aur bhee hain
            :lpop:
            You'll never fail if you never quit.....

            Comment


            • #7
              Re: bhol jaieN ab tu behter hay

              Aab Kay Yoon Dil Ko Saza Di Hum Nay
              Us Ki Her Baat Bhula Di Hum Nay

              Eik , Eik Phool Bohat Yaad Aaya
              Shakh-E-Gul Jab Woh Jala Di Hum Nay

              Aaj Tak Jis Pay Woh Shermatay Hain
              Baat Woh Kab Ki Bhula Di Hum Nay


              Sheher-E-Jahan Rakh Say Abad Hua
              Aag Jab Dil Ki Bujha Di Hum Nay


              Aaj Phir Yaad Bohat Aaya Woh
              Aaj Phir Us Ko Dua Di Hum Nay


              Koi To Baat Hia Us Main Faiz
              Her Khushi Jis Pay Luta Di Hum Nay
              :lpop:
              You'll never fail if you never quit.....

              Comment


              • #8
                Re: bhol jaieN ab tu behter hay

                mere saath tum bhi dua karo yun kisi ke haq mein bura na ho
                kahin aur ho na ye hadsa koi raaste mein judaa na ho

                mere ghar se raat ki sej tak vo ik aansu ki lakir hai
                zaraa barh ke chand se puchna vo isi taraf se gayaa na ho

                sar-e-shaam Thehari hui zamin, aasman hai jhuka hua
                isi mod par mere vaaste vo chiragh le kar khada na ho

                vo farishte aap hi Dhoondiye kahaniyon kii kitaab mein
                jo buraa kahein na buraa sunay koi shaKhs un se Khafa na ho

                vo visaal ho ke firaaq ho teri aag mahakegii ek din
                vo gulaab ban ke khilegaa kyaa jo chiragh ban ke jalaa na ho

                mujhe yun lagaa ki Khaamosh Khushbu ke hont titali ne chu liye
                inhi zard patton ki oT mein koi phool soyaa huaa na ho

                isii ehatiyaat mein main rahaa, isi ehatiyaat mein vo rahaa
                vo kahan kahan mere saath hai kisi aur ko ye pata na ho
                :lpop:
                You'll never fail if you never quit.....

                Comment

                Working...
                X