salam
meri favourite poems mein se aik aap ke paish-e- khidmat hai
is poem ka naam mujhe yaad nahin is liye muafi chahti hoon .apni taraf se aik naam de rahi hoon
usse apne farda ki fikar thi
woh jo mera wakif-e-haal tha
woh jo us ki subah-e-urooj thi
wohi mera wakt-e-zawal tha
mera haal kaise janta
meri baat kaise manta
woh jo khud fana k safar mein tha
usse rokna bhi to mahaal tha
kahan jao ge mujhe chor kar
mein pooch pooch k thak gayi
woh jawab mujh ko na de saka
woh jo khud sarapa-e-sawal tha
woh barson baad bhi mila mujh se to
mere lab pe koi gila na tha
usse meri chup ne rula diya
jisse guftagoo mein kamal tha
meri favourite poems mein se aik aap ke paish-e- khidmat hai
is poem ka naam mujhe yaad nahin is liye muafi chahti hoon .apni taraf se aik naam de rahi hoon
usse apne farda ki fikar thi
woh jo mera wakif-e-haal tha
woh jo us ki subah-e-urooj thi
wohi mera wakt-e-zawal tha
mera haal kaise janta
meri baat kaise manta
woh jo khud fana k safar mein tha
usse rokna bhi to mahaal tha
kahan jao ge mujhe chor kar
mein pooch pooch k thak gayi
woh jawab mujh ko na de saka
woh jo khud sarapa-e-sawal tha
woh barson baad bhi mila mujh se to
mere lab pe koi gila na tha
usse meri chup ne rula diya
jisse guftagoo mein kamal tha
"last one is my favourite it's touching what do u think"
Comment