Wahi galiyan ,wahi kochay ,wahi sardi ka mosam hay
Osi andaaz say apna nizam-e-zeest barham hay
Yeh husn-e-ittifaq aisa k bikhri chaandani bhi hay
Wahi har simt wairaani ,udasi,tishnagi bhi hay
Wahi hay bheer sochon ki,wahi tanha'eeyan pher say
Mujhay sab yad hay .....kuch saal pehlay ka hi qissa hay
Wo lamha tu wairaanay ka ik abaad hissa hay
Meri wairaan aankhon mian wo abaad lamha...mojoud ab bhi hay
Kisi nay raat ki tanha'eeyoun main sargoshiyaan ki theen
Kisi ki naram guftari nay dil ko loriyaan di theen
Kisi nay meri tanha'ee ka sara karb baanta tha
Kisi nay raat ki chunri main roshan chaand taanka tha
Chamaktay jugnu'oon ka sail ik bakhsha tha raaton ko
Dharakta sa naya unwaan diya tha meray khawaboon ko
Meray shairon main wo ilhaam ki surat main utra tha
Ma'ani ban k jo lafzon main pehli baar dharka tha
Wo jis k honay say yeh zindagi nagma siraa'ee hay
Osay kehna....!k bheegee january pher lout aaee hay .....!:rose

Comment