"YE MUHABBAT HAI".
Azl se hai muhabbat maavraa lafzon ki maala se
mager ye bhi haqeeqat hai
muhabbat soch k aakash per baadal ki soorat main
sada perwaaz kerti hai
kabhi baarish ki boondon main simat ker dil ki dherti per
utarti hai bikharti hai
ada le ker saba se ye,gulabon se mehak le ker
dhanak se rung le ker aur sitaaron se chamak le ker
haseen aanchal banati hai
isi aanchal se phir khwabon k kachhe gher banati hai
muhabbat aazmaati hai
kabhi ye shair ban ker lafz ki hurmat barhaati hai
kabhi ye saaz ban ker dheere dheere gungunaati hai
saraapa aankh ban jaati hai ye mehboob ko paa ker
anokha lams ban jaati hai ye koi gaar main jaa ker
na jaanae kon sa manter ye perh ker holay holay se
kisi ki band palkon main bina dastak diye yak dam
uter ker gher banati hai muhabbat muskuraati hai
ye khushboo hai hamesha phool ki saanson main hoti hai
bana de chand , teera shab ko jo ye aisa moti hai
kasak hai daayimi ismain , buhat be naam lazzat hai
muhabbat ki yehi tareef hai k ............

Comment