Suno Mere Sajna
Suno mere sajna:
jo kal mein tumhe kahin idhar udhar dikhayi na don nazr na aon
tujhe teri hi kasam zara sa bhi koi tum ghum na karna,
suno mere sajna:
agar anderon mein main kahin door bouhat door kho jaon
tujhe pyar ki kasam palkein apni bilqul bhi nam na karna,
suno mere sajna:
meri jo yaad sataye our main mil kar bhi us gharhi mil na paon
tujhe dosti ki kasam mann ko apne chaak e zakhm na karna,
suno mere sajna:
dil jo tera tadpe our mere liye our main behla na paoon
tujhe dil ki kasam dil ke kisi kone mein koi weham na karna,
suno mere sajna:
jo zindagi se ghabra jao or main gale se laga na paon,
tujhe zindagi ki kasam housla meri jaan kam na karna,
suno mere sajna:
duniya jo chalne lage apni chaal our main bacha na paon
tujhe duniya hi ki kasam pamaal ulfat ka bhrm na karna,
suno mere sajna:
yeh meri dadhkn teri amant hai ise jo dadhka na paon
tujhe dadhkn ki kasam chota umeed ka damn na karna,
suno mere sajna:
tu pukare mujhko ho kar beqraar our main sun hi na paon
tujhe apni chaht ki kasam hoke mayoos awaz madhm na karna,
suno mere sajna:
mere sare sapne hai tere naam magr jo main inhe bun na paon
tujhe khwabon ki kasam mere raste se rasta apna gum na karna,
suno mere sajna:
raza e elahi jo main gehri neend so jaon or jaag na paon
tujhe meri kasam ehsaas e jeewan apne liye kam na karna.....

Comment