Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashar Related To the Topic Nov 2007

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ashar Related To the Topic Nov 2007

    Asalam-o-Alikum


    Khair Say Kafi Logo'n Nay Particpate kia hai Dua Say Related Ashar , Nazm Y Ghazal Share karney thay .. Tu Aiye Dekhtey Hain Jeet Kis ki hoti hia :)




    Auqari Ist Entry

    Millain aker isi mor pr phr duaa krnaa
    wohi dua bhi ,wohi hasil-e-duaa bhi hai


    2nd Entry


    aayeh hath uthein hum bhi
    hum jinhein rusm-e du'aa yaad nahin
    hum jinhein soz-e muhabat ke siwa
    koi buth, koi khuda yaad nahin

    aayeh urz guzarein keh nigar-e hustee
    zehar-e imroz mein shirenya furda bhar de
    wo jinhein taab-e garaan bary-a iyaam nahin
    un ki pulkoon peh shaub-e roz ko hulka ker de

    jin ki aankhoon ko roz-e subh ka yaara bhi nahin
    un ki raatoon mein koi shuma munawar ker de
    jin ke kadumoon ko kisi reh ka sahara bhi nahin
    un nazroon peh koi raah ujagar ker de

    jin ka deeN pariw-e kizb-o riya hai un ko
    himet-e kufr mile, jurat-e tehqiq mile
    jin ke sir muntazar-e tegh-e jafa hein un ko
    dust-e qatil ko jatuk deenay ki taufiq mile

    ishq ka sir-e nihaaN jaan tapaaN hai jis se
    aaj iqrar karein aur tapish mit jaa'e
    hurf-e haq dil mein khatakta hai jo kante ki turhaaN
    aaj izhar karein aur khalish mit jaa'e


    3rd Entry

    mera haal poochh ke hamnasheen mere soze dil ko hawa na de
    bas yahi duaa karoon hoon ke ye gham kisee ko khuda na de

    ye jo zakhme dil ko pakaae ham liye phir rahe hai chhupaae hue
    koi nashanaase mijaaze gham kaheen haath usko laga na de

    tu jahan se aaj hai nukta cheen kabhee muddaton main raha waheen
    main gadaa-e- rah guzar nahi mujhe door se hi sada na de

    woh to shaaeri ka sab huaa woh maamla bhee ajab huaa
    main ghazal sunaaoon hoon isliye ke zamaana usko bhulana


    4th Entry

    Jis ne Merey Sapney Loot liye
    Meri aankhein Jis ne Cheeni Hain
    Uss Shakhs ki Zahreeli baatein
    Amrat hi Samajh kar Peeni Hain
    Zakhmoo'n ki to koi Baat Nahi
    Jazboo'n ki Qubaayein Seeni hain
    Ehsaas yeh Rakhna hai Har dam
    Koi Dukh na karey Nashaad Ussey
    Allah Rakhey Aabaad Ussey
    Ik Doosrey ke Dukh Sukh ke Amee'n
    Ham jab Tak Achhey Meet Rahey
    Dharti ke Mehaktey Hontoo'n Par
    Chahat ke Suhaaney ke Geet Rahey
    Jisey Yaad Karein Sab Dil Waley
    Ham Aisi Anokhi Reet rahey
    Ab Apney Haal pe Kya Royein
    Jaise bhi Hain Yeh Din Beet Rahey
    Par Uss ke liye Apni hai Dua
    Har Gaam pe Us ki Jeet Rahey
    Hasil ho Qad-e-Shamshhaad Ussey
    Allah Rakhey Abaad Ussey
    Uss ne to Mujhey Radd kar hi Diya
    Tha Haqq-e-Istardaad Ussey
    par Marey Jigar se Nikli hui
    Pohancha de Koi Faryaad Ussey
    Koi Aur Ussey Majnoo Chahey
    Koi Aur Miley Farhaad Ussey
    Phir Aaye gi Meri Yaad Ussey
    Allah Rakhey Aabaad Ussey !


    Dil-e-Viran

    Ist Entry


    meray khuwabon k gulshan main khizain raqs karti hain
    meray honton ki larzish main wafain raqs karti hain

    mujhe wo lakh tarpaaye magar us shaks ki khatir
    meray dil k andheron main duain raqs karti hain

    2nd Entry

    Ye hamari zindagi hay aap say
    zindagi ki her khushi hay aap say

    aap bas bethay rahen , likhta rahon
    mera zoq e aagahi hay aap say

    Yaad rakhta hoon dua main her gharri
    ye bhi meri bandagi hay aap say

    manzil e hasti ka deti hay patta
    ghar main ye jo roshni hay aap say

    3rd Entry


    " For Sum 1 "

    main janti hoon
    hamaray muqaddar main
    wasal ki gharyaan nahi
    hijar he hijar hay
    aur shab e hijraan
    apnay parr pheylaaye
    hamari janib barh rahi hay

    aur main aankhen band kiye
    dono hath utthaye

    apnay parwardigar k samnay
    sar ba sajod hon

    apnay rab say mang rahi hoon

    A meray parwardigaar ...
    hamaray hathon ki lakeren badal day
    hamaray muqaddar main
    hijar he nahi

    wasal ki ghariyan likh day ...


    4th Entry


    qadam qadam pay milay ik naaii khushi tum ko
    andheri raah main mil jaye roshni tum ko
    meri dua hay khuda say keh kaash lag jaye
    meri hayat k lamhon ki zindagi tum ko


    Crying Eyes

    DUAA !!!!

    Meri duaien bohat pechida hain!!


    Shaam ka waqt hai

    Duaon ki maanzoori ka waqt hai

    Main kaisi duaon ko yaad karoon

    Meri duaien pechida bohat hain!!

    Mere DIL main bohat be-asar duaien hain

    Bohat duaon k bajaaye mere dil main

    Ek DUA hoti tu kinta acha tha.

    MUNIR NIAZI

    Sameer 110


    aye kash mere dushman ko mout na aye
    warna mere marney ki dua kon karey ga...!!!

    Mani16

    roseDua behar ki Maangi tu itne phool khile
    Keheen jaga na mili mere AASHIAANE korose

    Mr.Khan
    Ist Entry



    2nd Entry



    3rd Entry



    4th Entry



    5th Entry



    Musaddaq

    Ist Entry

    Meri zindagi kay kisi bab say kabhi roshni ka guzar na ho
    koi khusbooun ka safar na ho..
    chahay khiza ho k bahar ho
    mere dil ko na hi karar ho
    mujay roshni ka aser na ho..
    par ay Khuda!!!..ay mere Khuda!!
    meri hai ek ilteja..
    wo jo kabhi tuj se dua karay..
    wo jo mera dost hai..ajeeb sa
    tu To itna usse ata karay
    phir na mangnay ko dua rahay
    kay khushiyan itni naseeb hoon..
    kabhi ghum na us k qareeb ho
    phir jism-o-jan kay chiragh ko
    Tu chandni ka uoon noor de..kay
    us kay hootoon ki hansi..
    us ki ankhoon ki chamak
    us ki chori ki kahnak
    aur wo bhi jo buhut kam nazar ati hai..
    us ki bali ki jhalak
    chahay main dekhnay ko rahoon ya na rahoon
    sub salamat rahay
    ta qayamat rahay

    2nd Entry



    3rd Entry



    4th Entry



    5th Entry

    Mera Lafz Lafz Dua Dua, Mere Aansuon Se Dhula Hua
    Tujhay Zindagi Ke Wo Sehar Miley, Tujhay Muhabaton Ka Safar Miley
    Tujhay Dard-O-Gam Na Kabhi Choo Sakay
    Ye Dua Hai Koi Gila Nahe
    Tujhay Zindagi Main Wo Sakoon Milay
    Jo Kisi Ko Kabhi Mila Nahe !!!!!!!


    Wish U All The Best :rose
    11
    Auqari
    0.00%
    0
    Dil-e-Veraan
    0.00%
    0
    Crying Eyes
    0.00%
    0
    Sameer110
    0.00%
    0
    Mani16
    0.00%
    0
    Mr.Khan
    45.45%
    5
    Musaddaq
    54.55%
    6
    Zindagi Thak Gaye ..!!

  • #2
    Re: Ashar Related To the Topic Nov 2007

    voted :)
    sigpic

    Comment

    Working...
    X