Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aisa kabi na karna

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aisa kabi na karna

    Tum rooth jao muj se aisa kabi na karna
    main ik nazar ko tarsoon aisa kabi na karna
    main pooch pooch haroon so so sawal kar k
    tum jawab na do aisa kabi na karna
    muj se ha mil k hansna muj se ha mil k rona
    muj se bichar kar jee lo aisa kabi na karna
    tum chand ban k rehna main dekhta rahun ga
    kisi roz tum na niklo aisa kabi na karna
    tum chaley jao jab b to dekhoon tumhara rasta
    tum LOT k na aao aisa kabi na karna
    ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

  • #2
    Re: aisa kabi na karna

    nice.............
    kash ky "log" waqai aisa na kiya kerin
    :D
    Zaid Hammid on Sawat War..
    A must Watch..

    Comment


    • #3
      Re: aisa kabi na karna

      Chalo eik kaam karte hain
      tumhe hum bhool jaatay hain

      tumharay saath jo gurzray they
      tumharay paas jo guzray they
      woh saray pal hamaray they
      tumharay baad saharay they
      unhe ab yaad karne se
      ab un ku baat karne se
      nahi kuch bhi nahi hasil
      karay kiyun yaad un ko dil
      unhe hum bhool jaatay hain
      tumhe hum bhool jaatay hain

      kia tha hum ne eik wada
      woh wada yaad hai tum ko?
      kaha tha door reh kar bhi
      rahen ge paas hum dono
      woh wada yaad karne se
      ab os ki baat karne se
      nahi kuch bhi nahi hasil
      karay kiyun yaad os ko dil
      osay hum bhool jaatay hain
      tumhe hum bhool jatay hain

      mujhe khud par yaqeen hai ye
      tumhe main bhool jaon ga
      agar tum phir bulao gi
      to main na pass aaon ga
      magar ye bhi haqiqat hai
      ye mere dil ki halat hai
      jo tum ko yaad karta hai
      tumhare naam se ab bhi dharakta hai
      osay kab tak chupaon ga
      tumhe na bhool paon ga
      tumhe na bhool paon ga. . . . . .
      Zaid Hammid on Sawat War..
      A must Watch..

      Comment


      • #4
        Re: aisa kabi na karna

        nice..

        Comment


        • #5
          Re: aisa kabi na karna

          nic3 1

          Comment


          • #6
            Re: aisa kabi na karna

            thanx
            ya Allah sab ko apney hifz-o-amaan main rakh

            Comment


            • #7
              Re: aisa kabi na karna

              sehr shoen :thmbup:
              :rose Refreshing_breeze :rose

              Comment


              • #8
                Re: aisa kabi na karna

                nice @ Day Bhai
                Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                Sadly, common sense is not very common..!!

                Comment

                Working...
                X