Marne ki duaayen kyoon mangoon, jeene ki tamanna kaun kare?
Yeh dunia ho ya woh dunia, ab khwahish-e-dunia kaun kare?
Jab kashti saabit-o-saalim thi, sahil ki tamanna kisko thi
Ab aisi shikasta kashti par sahil ki tamanna kaun kare?
Jo aag lagayi thi tumne us ko to bujhaya ashko se
Jo ashko ne bhadkaai hain us aag ko thanda kaun kare?
Duniya ne hame choda jazbi ,hum kyun na chode duniya ko
Duniya ko samajh kar baithe hain ab duniya duniya kaun kare ?

Comment