Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ashaar Related to the Topic October 2007

Collapse
This topic is closed.
X
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

    walekum asslam

    meray pas to bas aik he shair hy


    pichlay baras k ieid ka chaand acha tha

    chaand ko dekh k us ka chehra dekha tha ...
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • #17
      Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

      Originally posted by Dil_E_Veran View Post
      walekum asslam

      meray pas to bas aik he shair hy


      pichlay baras k ieid ka chaand acha tha

      chaand ko dekh k us ka chehra dekha tha ...
      Ek hay par nehayet Umda shair hay.
      Meray pas bhe eik he hay


      sau chand bhi chamakenge to kya baat banegi
      tum aaye tu is raat ki auqaat banegi
      [Jan Nissar Akhtar]
      ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

      Comment


      • #18
        Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

        MUTFANIN or Dil_E_Veran
        1 haii pr zaberdast haii :em:

        Comment


        • #19
          Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

          Thnx Aquari,par ap ki Ghazlein phir baze lay gaein.:salam::thmbup:
          ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

          Comment


          • #20
            Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

            eid ke chaaNd ko dekh ker
            mere lab kap-kapaaye
            per yeH duaa
            is saal bhi
            mere honToN se azaad na hui
            ke
            ai kHuda!!!
            ab ke mujhe chaaNd maiN us ka chehra
            dikhaai na de....






            har roz-e-eid tumhare muradoN ke
            hasieN phuloN ke gHunche khila ke laaya ho
            tumhari maaNg main afshaaN saje sitaaroN ki
            tumhare saath kisi ba-wafa ka saya ho....






            hum ne is saal bhi paayi na tere gHam se nijaat
            hum ne is saal bhi na dekha eid ka chaaNd

            na jaane kyuN mere rukHsaar mahak uTh-te haiN
            jab kabhi kaan maiN woH chupke se kahe "eid ka chaaNd"



            kHud chaand unheeN ki deed ki chaah meiN haazir-e-kHidmat hota hai
            Woh chaand ki nazroN meiN aa'aiN ,eik rashk kaa aalam hota hai
            kiyaa tum ko bataaiN ham yaro kiyaa zeest ka aalam hota hai
            jab uTh-te haiN un ke hinaaee hath aur adab se sar kHam hotaa hai

            Comment


            • #21
              Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

              MUJH KO AIK KHUWABAY PARESHAN SA LAGA EID KA CHAND
              MERI NAZRON MAIN ZARA BHI NA JACHA EID KA CHAND
              ANKH NUM KARGAYA BICHRAY HUWE LOGO KA KHAYAL
              DARDAY DIL DE KAY HUMAIN DOOB GAYA EID KA CHAND

              Comment


              • #22
                Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                MUJH KO AIK KHUWABAY PARESHAN SA LAGA EID KA CHAND

                MERI NAZRON MAIN ZARA BHI NA JACHA EID KA CHAND
                ANKH NUM KARGAYA BICHRAY HUWE LOGO KA KHAYAL
                DARDAY DIL DE KAY HUMAIN DOOB GAYA EID KA CHAND
                Nice.

                Comment


                • #23
                  Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                  aane wali rutoN k aaNchal maiN
                  koi saaet-e-sayed kia ho gi
                  gul na ho ga to jashn-e-kHushbu kaisa
                  tum na ho ge toh eid kia ho gi

                  Comment


                  • #24
                    Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                    ik lamhe ko maiN ne tujhe dekha tha
                    phir umar bhar meri nazar meiN na jacha eid ka chaaNd


                    Eid ke roz bhi majboor the taqdeer se ham
                    ro paRhe mil ke gale aap ki tasveer se ham

                    Comment


                    • #25
                      Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                      Bin Dhaikhay usay "YA RABB", ye Eid na guzray
                      Ker paida koi aisa sabab, ye Eid na guzray
                      Duniya ko dikhaya haI, ik chand jo too nay
                      Mujh ko bhi dikha day abb yeh Eid na guzray

                      Comment


                      • #26
                        Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                        lol
                        nice
                        ussay milna saleebon ke gali mein/ ussay kehna wo sach keyon bolta tha

                        Comment


                        • #27
                          Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                          Originally posted by MUTFANIN View Post
                          lol
                          nice
                          Thanks for your comments.

                          Comment


                          • #28
                            Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                            Originally posted by MUTFANIN View Post
                            Thnx Aquari,par ap ki Ghazlein phir baze lay gaein.:salam::thmbup:
                            ahan..:blush:
                            hum sey barey barey ba'zouq mojoud hain yahan...abhi tu poora month hai mazeed dekhyeaa ga kitni achi achi entries hongii

                            Comment


                            • #29
                              Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                              Wow
                              sab he nay bohat zabardast sharing kere hain :em:

                              Comment


                              • #30
                                Re: Ashaar Related to the Topic October 2007

                                Mujhy to kahe mil he nahe ra tha CHAND RAAT py koe bhe gazal , nazm ya shair
                                To mai ny socha khude sy kuch tuk bandi kerte hon :khi:
                                Ek gazal likhny ki koshish kere hai :blush:
                                Attached Files

                                Comment

                                Working...
                                X