Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mere Hum-safar

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mere Hum-safar

    Mere Humsafar
    mere Hum Nasheen


    Maine Rub se manga to kuch nahi
    Maine jab bhi mangi koi Dua
    Nahi manga Kuch b "Tere Siwa"
    Ye talab kiya k mere KHUDA

    sabhi Raahatein
    Tujhe Bakht De
    Tujhe Taaj de
    Tujhe Takht de

    Mere Humsafar
    Mere Chara-gar

    Ye hai doi ka kathin safar
    Mere saath chalna zara soch ker
    Zara dekh to mera honsla
    Mere paas jo bhi wo hai tera
    Nahi aur kuch bhi teresiwa

    Meri Dosti, Meri Zindagi
    Meri Khamoshi, Meri Be-basi
    Mera Ilm bhi, Mera Naam bhi
    Kay meri subha, Meri shaam bhi
    ay jo mil sakain mere DAAM bhi
    Wo sabhi kuch Tujhe ata karey

    Mere Humsafar
    Mere chara-gar

  • #2
    Re: Mere Hum-safar

    itnay us say ALLAH JE KO MANGTAY TO SHED MILL JATAY

    Comment


    • #3
      Ab kiya likhein hum kagaz per

      Ab kiya likhein hum kagaz per
      Ab likhne ko kiya baki hai
      Ik dil tha su wo tuth giya
      Ab lutne ko kiya baki hai

      Ik shaks ko hum ne caha tha
      Ik reet pe naqsh banaya tha
      In reet ke zarun ko hum ne
      Phir apne dil main sajaya tha
      Wo reet tu kab ki bikhar gay
      Wo naqsh kahan ab baki hai
      Ab kiya likhein hum kagaz per
      Ab likne ko kiya baki hai

      Hum jin ko apni nazmoon ka
      Unwan banaya karte the
      Lafzun ka bana kar taj mehal
      Kagaz par sajaya karte the
      Wo hum ko akela choor gay
      Sab rishtoon se mun murr gay
      Ab rishte sare sune hain
      Wo piyar kahan ab baki hai
      Ab kiya likhein hum kagaz per
      Ab likne ko kiya baki hai

      Comment


      • #4
        Re: Ab kiya likhein hum kagaz per

        Sagar Aap ki Sharing Buhat Khoobsurat hai


        maghar Post kartay waqat Dehaan kia kijye kay Aap kahan Thread Laga rahay hain :)




        Khush rahiye :rose
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • #5
          Saray Sapnay kahin kho gay
          haay hum kia say kiya ho gaay
          Saray Sapnay kahin kho gay
          haay hum kia say kiya ho gaay

          dil say tanhai ka durd jeeta
          humsay sara jahan bhi hay rootha
          ab to na zoor dil pe chalay
          haay hum kia say kiya ho gaay

          koi shikwa na koi gila hay
          tumsay kab ghum yay humko mila hay
          koi shikwa na koi gila hay
          tumsay kab ghum yay humko mila hay
          haan naseeb apnay hee so gay
          haay hum kia say kiya ho gaay

          Saray Sapnay kahin kho gay
          haay hum kia say kiya ho gaay

          Comment


          • #6
            koi

            کوئی دُھندلہ سا ایک چہرہ میری آنکھوں میں رہتا ہے
            کوئی بھٹکتا سا ایک جُگنو میرے خوابوں میں رہتا ہے
            ایک مانُوس سی آواز مجھے سونے نہیں دیتی ۔۔۔
            کوئی اُلجھا سا ایک جُملہ میری یادوں میں رہتا ہے
            مجھے خود پر نہیں قابو ، نہ میں کچھ کہہ سکتا ہوں
            اثر یہ کس کے لفظوں کا میری باتوں میں رہتا ہے
            دسمبر کی خُنک راتیں مجھے بہت بے چین رکھتی ہیں
            لمس ایک ہاتھ کا اب تک میری سوچوں میں رہتا ہے
            ہے دل بھی مضطرب ، احساس بھی ، سوچوں کی اُلجھن بھی
            یہ کس کی آنکھ کا آنسو میری آنکھوں میں رہتا ہے

            Comment


            • #7
              ab so jao...........

              Kyun raat ki raet pey bikharay huey
              taroun key kankar chunti ho?
              kyun sanatey ki silwat mey
              lipti awazain sunti ho?
              kyun apni pyasi palkoun ki jhalar mey
              khuwab paroti ho?
              kyun roti ho?

              abb kon tumhari ankhoun mey
              sadiyun ki neendh undeley ga?
              abb kon tumhari chahat ki
              haryali mey khul kheley ga?
              abb kon tumhari tanhaee ka
              un dekha dukh jhelay ga?

              abb aisaa hai________?

              yeh raat musalat hai jab tak
              yeh shamaian jab tak jalti hain
              yeh zagham jahan tak chubtey hain
              yeh sansain jab tak chalti hain

              tum apni soch key jungle mey rah bhatkoo aur phir kkhoo jaoo_____!!
              abb soo jaoo______!!

              Comment


              • #8
                Re: ab so jao...........

                zaberdast:clap:
                yeh app ka apna kalam hia?

                Comment


                • #9
                  Re: ab so jao...........

                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • #10
                    Hmmm Khooob ...
                    Zindagi Thak Gaye ..!!

                    Comment


                    • #11
                      uss ko.............

                      uss ko dil main bassa bhi na paye

                      or sai tera se bhola bhi na paye

                      woh shaaks jo ban giye tha zindagi mari

                      hum uss ko haalay dil souna bhi na paye

                      woh chala giye ye shair choor key

                      or hum chaah kar bhi uss ko rukh na paye.........

                      Comment


                      • #12
                        Re: uss ko.............

                        Manzilen Bhi Uss Ki Theen,
                        Rasta Bhi Ussk Tha,
                        Ek Mein Akela Tha, Qafla Bhi Uss Ka Tha,
                        Sath Sath Chalne Ke Soch Bhi Uss Ke The,
                        Phir Rasta Badlne Ka Fasila Bhi Uss Ka Tha,
                        Aaj Mein Kiun Akela, Dil Sawal Karta Hai,
                        Log To Ussi k They, Kia Khuda Bhi Uss Ka Tha....!!!!!!!!

                        Comment


                        • #13
                          yeh kaisi doori hai hamare beech

                          Ye kaisi doori he hamare beech,
                          anchahi majboori he hamare beech,
                          lak koshicho ke bad bhi na asake kareeb,
                          kaisi lakho mil ki doori he hamare beech,
                          sat samundar ka fasla hai hamare milan me,
                          kiun waqt ki kami he hamare beech,
                          peyar beshumar hai hamare dilo me,
                          phir kaisi lachari he hamare beech,
                          do dilo me doori ka door tak koi nisha nahi,
                          phir kiu hoti he ansun ki barsat hamare beech,
                          ye kaisi doori he hamare beech,
                          anchahi majboori he hamare beech..........

                          Comment


                          • #14
                            Re: Mere Hum-safar

                            bauht khoob :em:

                            Comment


                            • #15
                              Re: uss ko.............

                              kia khuda bhius ka thaa
                              one of my most fav..:em:

                              Comment

                              Working...
                              X