Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sagar ke choice.....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sagar ke choice.....

    Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
    Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
    Chaar so goonjti ruswai kisay kehtay hain
    Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
    Koi lamha ho tere yaad mai kho jatay hain
    Ab toh khud ko bhe muyassar nahi Aaa patay hain
    Raat ho din ho tairay pyar mai hum behtay hain
    Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
    Ab jo bichray hain to ehsaas hua hai hum ko
    Woh jo ghum Aye usay dil pay saha kertay thay
    aik saith hum mil ker raha kertay thay
    Ab akelay he zamanay ke sitam sehtay hain
    Dard kya hotah hai tanhai kisay kehtay hain
    Ab Jo bichray to ehsaas hua hai hum ko
    Hum Nay khud apni rahon mai bichaye kantay
    Gher mai phoolon ke jagah la ker sajaye kantay
    Zakham iss dil mai basaye howe khud rehtay hain
    Yun toh duniya ki har cheez haseen hoti hai
    Pyar say maghar kuch bhe nahi hoti hai
    Rastah rok kay har aik say yehi kehtay hain
    Ab jo bichray hain toh ehsaas hua hai hum ko
    Dard kya hota hai tanhai kisay kehtay hain
    Chaar so gunjti ruswai kisay kehtay hain
    Ab jo bichray to ehsaas hua hai hum ko

  • #2
    Re: sagar ke choice.....

    Suno tum lout aao na

    tumahri yaad aati hai


    koi benaam sa ik durd

    in aankhon ko rulaye to
    ye dil jab bhi dharakta hai

    tumhara naam leta hai


    Sunoo ... tumm lout aao na

    Muhabbat ka koi Naghma

    hawain jab bhi gaati hain

    tumhain waaps bulati hain

    ye dhalti shaam apne sung

    udaasi gher laye to

    muhabbt ka fasoon or tumhari yad ka mousam

    mujhe bohat rulati hain


    suno wapis palat aao

    tumhain itna batana hai

    tumhari yaad aati hai


    Sunnooo tum lout aao na ,,,,,,,,,,,

    Comment


    • #3
      Re: sagar ke choice.....

      Guftugo Ke Lamhon Main
      Dekh He Nahi Paatay
      Ham Tumharay Chehray Ko
      Tum Hamari Aankhon Ko
      Aaj Aisa Kartay Hain
      Chasm-o-lab Ko Parhtay Hain
      Baat Chor Datay Hain

      Jaane Kiya Lamha Hoga
      Jab Ye Hath Hathon Say
      Gar Kabhi Juda Hoga
      Aaj Aisa Kartay Hain
      Zabt-e-Jaan Parakhtay Hain
      Hath Chor Datay Hain

      Kash Koi Samjha Day
      Loag Kis Tarah Dil Ki
      Manzilain Alag Kar Kay
      Saath Chor Datay Hain
      Aaj Aisa Kartay Hain
      Bey-sabab Bikhartay Hain
      Zaat Taur Datay Hain...
      Kash Koi Samjha Deta..

      Comment


      • #4
        Re: sagar ke choice.....

        خداوندا تری مرضی
        تو جو بھی امتحاں لے لے
        نہیں ہم جانتے جن کو
        انھی کا ہمسفر کردے
        جو اس جیون سے پیارے ہوں
        انھیں ہم سے جدا کر دے
        تری مرضی خداوندا!
        تو چاہے آگ پانی ہو
        تو چاہے برف جلتی ہو
        تو چاہے پھول چبھتے ہوں
        تو چاہے خار خوشبو دیں
        جسے چاہے بتا دے تو
        محبت کس کو کہتے ہیں
        جسے چاہے سکھا دے تو
        عبادت کس کو کہتے ہیں
        جسے چاہے ملا دے تو
        جسے چاہے جدا کر دے
        وہ جس نے غم نہ دیکھے ہوں
        اسے غم آشنا کر دے
        تری مرضی تو بن مانگے
        سبھی کچھ ہی عطا کر دے
        تری مرضی خداوندا
        تو چاہے سب فنا کر دے
        خداوندا تری مرضی
        تو جو بھی امتحاں لے لے
        ہمیں جس حال میں رکھے
        فقط اتنی گذارش ہے
        توجو بھی امتحاں لینا
        ہمیں بس سرخرو کرنا

        Comment


        • #5
          Re: sagar ke choice.....

          Ye Pyara sa jo RISHTA hai,
          Kuch mera hai, Kuch tera hai,
          Kahin Likha nahi,
          Kahin Parha nahi,
          Kahin Dekha nahi,
          Kahin Suna nahi,
          Phir bhi jana pehchana hai,
          Kuch tera hai, Kuch tera hai,
          Kuch mausam sa,
          Kuch ulbela sa,
          Kuch apna sa,
          Kuch begana sa,
          Kuch mera hai, Kuch tera hai,
          Kuch chanchal sa,
          Kuch sharmila sa,
          Kuch shokh sa,
          Kuch sanjeeda sa,
          Kuch mera hai, Kuch tera hai,
          Kuch uljha howa,
          Kuch suljha suljha,
          Kuch masti bhara,
          Kuch khafa khafa,
          Kabhi maan dya, Kabhi aitabaar kya,
          Sub kuch is per vaar dya,
          Kuch mera hai, Kuch tera hai,
          Ye Pyara sa jo RISHTA hai,

          Comment


          • #6
            Re: sagar ke choice.....

            اپنے بستر پہ میں بہت دیر سے نیم دراز
            سوچتی تھی کہ وہ اس وقت کہاں پر ہوگا
            میں یہاں ہوں مگر اُس کوچہء رنگ و بو میں
            روز کی طرح سے وہ آج بھی آیا ہوگا
            اور جب اُس نے وہاں مجھ کو نہ پایا ہوگا ؟

            آپ کو علم ہے ، وہ آج نہیں آئی ہیں ؟
            میری ہر دوست سے اُس نے یہی پوچھا ہوگا
            کیوں نہیں آئی وہ کیا بات ہوئی ہے آخر
            خود سے اس بات پہ سو بار وہ اُلجھا ہوگا
            کل وہ آئے گی تو میں اُس سے نہیں بولوں گا
            آپ ہی آپ کئی بار وہ روٹھا ہوگا
            وہ نہیں ہے تو بلندی کا سفر کتنا کٹھن
            سیڑھیاں چڑھتے ہوئے اُس نے یہ سوچا ہوگا
            راہداری میں ،ہرے لان میں ، پھولوں کے قریب
            اُس نے ہر سمت مجھے ڈھونڈا ہوگا
            نام بھولے سے جو میرا کہیں آیا ہوگا
            غیر محسوس طریقے سے وہ چونکا ہوگا
            ایک جملے کو کئی بار سُنایا ہوگا
            بات کرت ہوئے سو بار وہ بھولا ہوگا
            یہ جو لڑکی نئی آئی ہے ، کہیں وہ تو نہیں
            اُس نے ہر چہرہ یہی سوچ کے دیکھا ہوگا
            جانِ محفل ہے ، مگر آج فقط میرے بغیر
            ہائے کس درجہ بھری بزم میں تنہا ہوگا
            کبھی سنّاٹوں سے وحشت جو ہوئی ہوگی اُسے
            اُس نے بے ساختہ پھر مجھ کو پکارا ہوگا
            چلتے چلتے کوئی مانوس سی آہٹ پا کر
            دوستوں کو بھی کسی عذّر سے روکا ہوگا
            یاد کر کے مجھے ، نم ہوگئی ہوں گی پلکیں
            آنکھ میں پڑ گیا کچھ کہہ کہ یہ ٹالا ہوگا
            اور گھبرا کے کتابوں میں جو لی ہوگی بناہ
            ہر سطر میں میرا چہرہ اُبھر آیا ہوگا
            جب ملی ہوگی اُسے میری علالت کی خبر
            اُس نے آہستہ سے دیوار کو تھاما ہوگا
            سوچ کر یہ کہ بہل جائے پریشانیء دل
            یونہی بے وجہ کسی شخص کو روکا ہوگا
            اتفاقاً مجھے اُس شام میری دوست ملی
            میں نے پوچھا کہ سنو آئے تھے وہ ؟ کیسے تھے ؟
            مجھ کو پوچھا تھا ؟ مجھے ڈھونڈا تھا چاروں جانب
            اُس نے اِک لمحے کو دیکھا مجھے اور پھر ہنس دی
            اُس ہنسی میں تو وہ تلخی تھی کہ اُس سے آگے
            کیا کہا اُس نے مجھے یاد نہیں ہے ! لیکن ۔۔۔۔۔
            اتنا معلوم ہے ، خوابوں کا بھرم ٹوٹ گیا !
            (پروین شاکر)

            Comment


            • #7
              Re: sagar ke choice.....

              'Agur Tum Kuch Kaho To''
              ""Agur Tum Kuch Kaho To"
              Is neelay aasman ko !
              Chonay ka guman keroon
              To kaysa hai.........!
              Sehra k zeroon ko
              Motiyaoon ka naam doon
              To kaysa hai.........!
              Zindagee k tumam bersoon may
              Bahar k honay ke dua keroon
              To kaysa hai.........!
              Jisko sirf daykha hai
              Agur us say kalam keroon
              To kaysa hai.........!
              Dil k musam ko
              Musam-e-Jahan kahoon
              To kaysa hai.........!
              Zamana jo kuhay so kuhay
              Agur tum kuch kaho
              To kaysa hai.........!!!

              Comment


              • #8
                Re: sagar ke choice.....

                Jo Mera Aur Tumara Waqt Guzra Hansne Rone Mein
                Usay Puri tarah se Tum* bhulado phir chale jana
                ye sare perh podhe tum bin ek rut jage hue
                tum aake ek baar inko sulado phir chale jana
                kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
                jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana
                wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
                bus in alfaz-o-maane ko mitado phir chale jana

                jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
                meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana
                mere in roz-o-shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
                mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!

                Comment


                • #9
                  Re: sagar ke choice.....

                  Humain muddat hui bichrey
                  tumhain arsa hua bhooley
                  magar baarish k mausam main
                  hawa jub gungunaati hay
                  main apney ghar ki chath par say
                  chamaktey chaand ko chuptey
                  ghataa ki Oat main daikhoon
                  mujhey tum yaad aaty ho !!

                  Comment


                  • #10
                    Re: sagar ke choice.....

                    Aaj Jab Barish Hoye
                    Yeah Bhee aik Kahayaal Aya
                    Kiyoon Na aik Badal Ko
                    Raaz Daar Banaoon Main
                    Jo Kuch Mujh Per Guzri Hai
                    Is Ko Saab Sunaoon Main
                    Tum Say Jo Bhee Kahaina Hai
                    Is Ko Saab Bataoon Main
                    Phir Tumharay Dil Per Wo
                    Aj Hi Baras Jaye........!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: sagar ke choice.....

                      Thak jaao agar pathreele raaston pe chalte hue
                      Kabhi soch na lena ki wahan tanha ho tum
                      Moond kar palkon ko apni jo tum dekhoge
                      Apne saath hi sada mujh ko paaoge tum


                      Har waqt bura kat jaat hai
                      yaqeen karna
                      Ankhon main kabhi tum ashk na bhar lena
                      Ghum barh jaaye, muskurahat khone lage
                      Apni duaaon main mujh ko paaoge tum


                      Thak Jaao Agar ,,


                      Comment


                      • #12
                        Re: sagar ke choice.....

                        Mujhay bas itna kehna hai
                        Kabhi main yaad aaoon to

                        Kabhi tanhai ki raatain
                        Tumhain ziada sataein to
                        Kabhi titli na bolay to
                        Aur jugnoo lout jaye to
                        Kabhi jab dil bhi bhar jaye
                        Koi jab sun na paye to
                        Agar sab dost sathi bhi
                        Jo tum se rooth jaaein to
                        Kabhi jab khud se lar lar kar
                        Thakan say choor ho jao
                        Kabhi chahtay huay bhi khud akelay
                        Ro na paao to
                        Apni aankhon ko band karna

                        Mujhay aawaz de dena
                        Aur phir meray tasawwur say
                        Jo chaho batain keh dena
                        Meray kaandhay pe sir rakh kar
                        Tum jitna chaho ro lena
                        Phir khud main jab loat jao to
                        Us he duniya main chalay jana
                        Magar bas itna kehna hai
                        Ke jab bhi dukh ya khushiyon main
                        Hamain dil se pukaro gay
                        Hamain tum saath pao gay...........

                        Comment


                        • #13
                          Re: sagar ke choice.....

                          Kal raat janay kia hua,
                          Kuch dair pehlay neend say
                          Kuch ashk milnay aa gai
                          Kuch khwab bhee tootay huay
                          Kuch loog bhee bhoolay huay
                          Kuch rasta bhatki hueeN
                          Kuch gerd main liptee hueeN
                          Kuch bay-tarah phaili hueeN
                          Kuch khaul main simti hueeN
                          Bairabt C soochain kai
                          Bhooli huee batain kai
                          Ik shaks kee yadain kai

                          Phir dair tak jaga raha
                          Sochoon main gum baitha raha
                          Ungli se thanday farsh per
                          Ik naam hee likhta raha

                          Kal raat bhee woh raat thee
                          Kuch dair pehlay neend say
                          Main dair tak rota raha.

                          Comment


                          • #14
                            Re: sagar ke choice.....

                            Ankhon ka rung baat ka lehja badal gia
                            Woh shakhs aik shaam main kitna badal gaya
                            Kuch din to mera aks raha aaine pe naqsh
                            Phir youn huwa ke khud mera chehra badal gaya
                            Jab apnay apnay haal pay hum tum na reh sakay
                            To kiya huwa jo hum say zamana badal gaya
                            Qadmon talay jo rait bichhi thi woh chal pari
                            Us nay chhuraya haath to sehra badal gaya
                            Koi bhi cheez apni jageh par nahin rahi
                            Jaatay hi aik shakhs kay, kiya kiya badal gaya
                            Ik sarkhushi ki moj nay kaisa kiya kamal
                            Wo bay-niaaz saara ka saara badal gaya
                            Uth kar chala gaya koi waqfay kay darmiaan
                            Parda utha to saara tamasha badal gaya
                            Hairat say saaray lafz usay dekhtay rahay
                            Baaton main apni baat ko kaisay badal gaya
                            Kehne ko ik sehan main deewar hi bani
                            Ghar ki fiza makaan ka naqsha badal gaya
                            Shayad wafa kay khel se uktaa gaya tha who
                            Manzil kay paas aake jo rusta badal gaya
                            Qayem kisi bhi haal pay dunya nahin rahi
                            Taabeer kho gayee kabhi sapna badal gaya
                            Manzar ka rang asal main saaya tha rang ka
                            Jis nay usay jidhar say bhi dekha badal gaya
                            Andar kay mosamon ki khabar us ko ho gayee
                            Us no-bahaar-e-naaz ka chehra badal gaya
                            Aankhon mein jitna ashk thay jugnoo say ban gaye
                            Woh muskuraya or meri dunya badal gaya
                            Apni gali main apna hi ghar dhoondhtay hain log
                            Amjad~ ye kon sheher ka naqsha badal gaya

                            Comment


                            • #15
                              Re: sagar ke choice.....


                              Kbhi wqt mily to ajao. . ham jaheel kinary ja bethen...

                              Comment

                              Working...
                              X