Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Moon*Corona* Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: *Moon*Corona* Ki Choice

    Socho'n to wo sath chal rah hai
    dekho'n to nazar badal raha hai

    Kyon Baat zuban say keh kar khoye
    Dil aaj bhi hath mal raha hai

    Raato'n kay safar main wahem sa tha
    yeh main hoon kay chand jal chal raha hai

    hum bhi teray baad jee rahay hian
    aur tu bhi kahi bahel raha hai

    Samjha kay abhi gaye hian sakhiyan
    aur dil hai kay phir machal raha hai

    hum bhi burey ho gay ..... kay tera
    Maiyar-e-wafa badal raha hai

    pehli se Roshni nahin ab
    kya dard ka cahnd dhal raha hai

    Comment

    • #17
      Re: *Moon*Corona* Ki Choice

      Comment

      • #18
        Re: *Moon*Corona* Ki Choice

        Zabardast tumhara intikhaab main bohat pehley ka janta hoon aur hamesha bohat achha hota hai - keep it up ... kuchh kalaam to dil ko chhu jata hai..
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        • #19
          Re: *Moon*Corona* Ki Choice

          ~*~*~*~*~~*~*~*~*~
          jab yunhi kabhi bethey bethey kuch yaad achanak aa jaye
          har baat say dil beyzaar sa ho
          har cheez se dil ghabra jaye
          karna bhi mujhe kuch aur hi ho
          kuch aur hi mujhse ho jaye
          kuch aur hi soochon main dil mein
          kuch aur hi hontoon per aaye
          aisay hi kisi aik lamhay mein
          chupke se kabhi khamoshi mein
          kuch phool achanak khil jayien
          kuch beetay lamhay yaad aien
          us waqt teri yaad aati hai
          jab chandni dil ke aangan mein
          kuch kehne mujhse aa jaye
          ik khwabeda se choot koi
          ehsaas pe mere chaa jaye
          jab zulf pareshaan chehre per
          kuch aur pareshaan ho jaye
          kuch dard bhi dil mein honey lage
          aur saans bhi bojhal ho jaye
          aisay he kisee aik lamhay mein
          chupke se kabhi khamoshi mein
          kuch phool achanak khil jayien
          us waqt teri yaad aati hai
          jab shaam dhalay chalte chalte
          manzil ka na koi naam miley
          hansta hua ik aaghaz miley
          rota hua ik anjaam miley
          palkoon kay laraztay ashkoon se
          is dil ko koi pegham miley
          aur sari wafaoon kay badley
          mujh ko hi koi ilzaam miley
          aisay hi kisi aik lamhay mein
          chupke se kabhi khamoshi mein
          kuch phool achanak khil jayien
          kuch beetay lamhay yaad aayien.
          ~*~*~*~*~~*~*~*~*~

          Comment

          • #20
            Re: *Moon*Corona* Ki Choice

            kab ka jantay hain :mm:

            Originally posted by Masood View Post
            Zabardast tumhara intikhaab main bohat pehley ka janta hoon aur hamesha bohat achha hota hai - keep it up ... kuchh kalaam to dil ko chhu jata hai..

            Comment

            • #21
              Re: *Moon*Corona* Ki Choice

              Originally posted by *Moon*Corona* View Post
              kab ka jantay hain :mm:
              hmmm do forums pehley ka :p
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #22
                Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                2 forums main say
                [kisi doosrey forum ka naam nahin likh saktey - sorry] :mm:

                Qiun Qiun Qiun :embarasse

                Originally posted by Masood View Post
                hmmm do forums pehley ka :p
                Last edited by Masood; 5 January 2007, 13:10.

                Comment

                • #23
                  Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                  is tarah jo bichro gay,ik umr bhatko gay
                  barishe'n jalae'n gi,chandni mein sulgo gay

                  sahilo'n pe khojo gay,be-sabat lafzoo'n ko
                  leher leher pani mein,koi aqs dhondo gay

                  hum bicher ke bhi apne,aasma'n basae'n gay
                  mein kahin pe chamkoo'n ga,tum kahin pe mehko gay

                  roshni hassaro'n mein,qaid ho nahi sakti
                  yu'n lou-o'n ko roko gay,ungliya'n jala lo gay

                  dard ki sifarat ke silsilay wohi qayum
                  dasht se jo niklo gay,dal-dalo'n mein uljho gay

                  Comment

                  • #24
                    Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                    Originally posted by *Moon*Corona* View Post
                    2 forums main say
                    [kisi doosrey forum ka naam nahin likh saktey - sorry] :mm:
                    haan ji unhi dono per miley they...
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment

                    • #25
                      Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                      meri shayed sb say pasandeedaaaaa tareenn gazal hay ye

                      main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi
                      main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi

                      har aik maslay ka hal nikal rakhti thi
                      zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi

                      main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha
                      woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi

                      bas aik woh thi jisay ghaow main dikhata tha
                      bas aik woh thi keh jo andmal rakhti thi

                      woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say
                      woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi

                      woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main
                      mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi

                      duain us ki balaon ko rook laiti thin
                      woh mairay chaar soo hathon ki dhaal rakhti thi

                      ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni
                      woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi

                      usay nadamatain mairi kahan gawara thin
                      woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi

                      bichar kay uss say main dunya ki thokaron main hon
                      woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi

                      sahar tha naam , ujalay ghulam thay us kay
                      woh zindagi kay andhairay ujaal rakhti thi

                      woh muntazir mera rehti thi dhoop main shaid
                      main laut-ta tha to chaon nikal rakhti thi

                      Comment

                      • #26

                        Bohat zabardast - bohat hi umdah dear - aur agar aap inhein Inpage per likhti to kya achha hota :)
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #27
                          Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                          inpage aap kar den :-p

                          Comment

                          • #28
                            Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                            meray inbox say kia dushmani hay aap ki :( kiun mera PM band kartay hain bar bar :(

                            Comment

                            • #29
                              Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                              Comment

                              • #30
                                Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                                Originally posted by *Moon*Corona* View Post
                                inpage aap kar den :-p
                                .. to tumhein bhi inpage per na likhney ki beemari hai :p

                                Originally posted by *Moon*Corona* View Post
                                meray inbox say kia dushmani hay aap ki :( kiun mera PM band kartay hain bar bar :(
                                kab kiya hai tumhara inbox band :( kya chal nahin raha?
                                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                                Comment

                                Working...
                                X