Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

*Moon*Corona* Ki Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • *Moon*Corona* Ki Choice

    Dil ke sanaton mein rahney waaley, tanha tum hi nahin
    Tanhai se batein karney waaley, tanha tum hi nahin

    Is ishq ne barbaad kiya hai har shaks ko yahan
    Is ishq mein bikharney waaley tanha tum hi nahin

    Kehne ko toh faqat ek dil hi toota hai
    apna sabb kuch lutanaey waaley, tanha tum hi nahin

    Hastey hoey chehrey hain yahan sabb key,
    Dard yun chupaney waley, Tanha tum hi nahin

    Shab-e-tanhai ki dastan ek se hai sabb ki,
    Andheron mein roney walay, tanha tum hi nahin

    Aesa lagta hai hai ek saza ho zindage mere,
    Is qaid mein rahney waley, tanha tum hi nahin

    Is shehar mein or bhi deewaney hain Umer
    Darr darr bhatakney walay, tanha tum hi nahin...

  • #2
    Re: taNha _tuM _hi _NahiN

    Wow great sharing and bohat achi ghazal hay aur plzzzzzzz Bazm-e-Shairi ke rules read kar lein aur us ke tahat ache ache threads qaem karein :)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: taNha _tuM _hi _NahiN

      Assalaam o alekum ,


      waaah bahooot khooob bahoot umdeh sharing shurkiya share kernien kaa khush rahien

      Is ishq ne barbaad kiya hai har shaks ko yahan
      Is ishq mein bikharney waaley tanha tum hi nahin
      :tang: RISK IS MY BUSINESS

      DANGER IS MY GAME

      DONT PLAY WITH ME
      BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

      Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

      Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

      Comment


      • #4
        Re: taNha _tuM _hi _NahiN

        buhat khoob :rose
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • #5
          Re: taNha _tuM _hi _NahiN

          Buhut zabardast kalam share kiya dear :thmbup:


          Khush raho :)
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: taNha _tuM _hi _NahiN

            bohat hi khoob bohat hi alllaaaa

            bohat hi shandaar

            Comment


            • #7
              Re: taNha _tuM _hi _NahiN

              zaberdast

              Comment


              • #8
                mujhe apna nahi kehna !!!

                Agar kuchh naam daina ho
                Mujhay insaan matt kehna
                Judaa chehray, judaa bay-shak sabhi k naam hotay hai'n
                Magar insaaniyat k abb yaha'n per daam hotay hai'n
                Mere tum daam matt dainaa
                Mujhay ye naam matt dainaa!

                Agarr kuchh naam dainaa ho
                Mujhay Ehsaas keh dainaa
                Magarr Thehro!
                Mujhay Ehsaas matt kehnaa
                Mera buss naam reh jaay
                Mujhay aisay nahi'n rehnaa
                Mujhay Ehsaas matt kehnaa!

                Agarr kuch naam dainaa ho
                Mujhay Saawan hee keh daina
                Magarr thehro!
                Mujhay Saawan nahi'n kehna
                Barastaa hai magar
                Rut kay badaltay, beet jaata hai
                Mujhay Saawan nahi'n kehna!

                Agar kuchh naam dainaa ho
                Mujhay Aansoo hee keh daina
                Janam laina kisi ki ki aankh mai'n
                Rukhsaar per mernaa
                Yehi jis ki haqeeqat hai
                Chalo aansso hee keh dainaa
                Magarr daikho!
                kisi ki aankh mai'n mujh ko kabhi
                Aanay nahi'n dainaa
                K qeemat aansoo'n ki abb adaa tum se nahi'n ho gee!

                Nahi'n tum yu'n nahi'n kehnaa
                Mujhay aansoo nahi'n kehnaa
                Mujhay aankho'n main'n bastaa ik hasee'n sapna he keh daina
                Haqeeqat kuchh nahi'n jis ki
                Chalo sapnaa hee keh daina
                Ke sapnay aankh mai'n taaro'n ki tarhaa jhilmilaatay hai'n
                Magarr thehro!
                Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
                Ke sapnay toot jaatay hai'n
                Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
                Ke Apnay Rooth jaatay hai'n!

                Comment


                • #9
                  Re: mujhe apna nahi kehna !!!

                  aik acha inteykhaab :thmbup:

                  Mujhay sapnaa nahi'n kehnaa
                  Ke sapnay toot jaatay hai'n
                  Mujhay Apnaa Nahi'n Kehnaa
                  Ke Apnay Rooth jaatay hai'n!
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: mujhe apna nahi kehna !!!

                    mashallah............
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • #11
                      Re: Dil_Ke_chain's Choice

                      تیرا ہجر تیرا وصال بھی
                      تیرے خواب تیرے خیال
                      میری تشنگی نہ بجھا سکے
                      تیری یاد کو نہ مٹا سکے
                      میں یہ سوچتا ہوں کبھی کبھی
                      تیرے ہجر میں میری زندگی
                      نہ ہی رنگ ہے ،نہ ہی روپ ہے
                      نہ یہ چھاوں ہے، نہ ہی دھوپ ہے
                      نہ خوشی ہے نہ ہی ملال ہے
                      یہ بس اک تشنہ سوال ہے
                      وہ رفاقتوں کے سفر سبھی
                      میری گفتگو کے ہنر سبھی
                      تیرے ہجر کے جو نذر ہوئے
                      سبھی خواب گردِسفر ہوئے
                      وہ جو خواب تھے وہ گزر گئے
                      جو ملا ہے یہی نصیب ہے
                      تیرا ساتھ تو کہیں کھو گیا
                      تیرا ہجر میرے قریب ہے
                      تیرے ہجر کا یہ ہر اک پل
                      میری عمر بھر کا حصول ہے
                      میری بے بسی کا تو غم نہ کر
                      تیرا ہجر مجھ کو قبول ہے

                      Comment


                      • #12
                        Re: Dil_Ke_chain's Choice

                        kittne din ho gaee hai tum se rothee howe


                        kuch yaad bi nahi


                        abb hum se rotha nahi jatta


                        aik tum ho k tum se manaya nahi jatta


                        sach kaheein thora dheere se sunooo


                        hum khafa to huwee nahi


                        hum to abb bi tumharee hai


                        anna parast hoo tum bohat


                        ye tasleem magar!


                        anna ki baat na karo to achha hai


                        ye to azzal se muhabbat ki dushman hai


                        aik baar iss diwar ko toro to sahi


                        aa kar aik baar hum ko manaoo to sahii


                        phir dekhna hum rothna chor dayee ge!!!!!!!!!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                          meri sabz rutooN ki jheel maiN
                          teri zaat he ik phool thii
                          gulaab thii ik shabab thii
                          merii khawaishoN ki ameen thii
                          meiN ne daaN ki sabhi hasrataiN
                          ye hijaR nahi azaab hai
                          jo janam janam pe mo'heet hai ye safar nahi talash hai
                          meri ulfatoN ko bhula dee'ya meri nafratoon ka hisaab hai
                          meray ruutjago`N ki waja ho tum
                          meray rutjago`N ka hisaab do
                          meri chahato`N ki chandni
                          bina chaand k udaas hai
                          meri baat ko na yuuN tool do
                          meri chahatoN ka jawab do
                          maiN ne zindagi tay'aag de
                          meri zindagi ka hisaab do

                          Comment


                          • #14
                            Re: *Moon*Corona* Ki Choice

                            jab din guzer rahay thay
                            hum tum say kah rahay thay
                            mushkil ha abh bicherna
                            abh tum say door rahna
                            tum sun k hans diya thay
                            ore hum say kah rahay thay
                            hum tum ko bhul jaya
                            tum ko na yad aya,,
                            sun ker tumhari batain
                            hum chup say ho gay thay
                            tum say bicher ker hum b
                            her lamha gin rahay thay
                            mosam badal rahay thay
                            ore hum thay k jal rahay thay
                            barish ka pahla katra jab b gira
                            zameen per hum ko uh laga
                            jangal pighal raha tha
                            her sans thi k sakat
                            khushbu b ore hi thi
                            tha asman b weeran
                            manzar badal gaya tha
                            hum ho gay thay adi
                            abh phir say ayn milay ho
                            abh hum say kah rahay ho
                            mushkil ha abh bicherna
                            ab tum say door rahna

                            Comment


                            • #15
                              Ujla Kangan Belay Ka .



                              Us nay meray hath main bandha
                              Ujla kangan belay ka
                              Pehlay pyar say thami kalaai
                              Bad us k holay holay pehnaya..
                              Gehna pholon ka
                              Phir jhuk kar hath ko choom lia
                              Phol to aakhir phol he thay
                              Murjha he gaye
                              Lekin . . meri raaten un ki khushbo say ab tak roshan hain
                              Banhon per wo lams abhi tak tazah hay
                              Phol ka gehna
                              Prem ka kangan
                              Pyar ka bandhan
                              Ab tak meri yaad k hath say lipta hoa hay !

                              Comment

                              Working...
                              X