ankhoon ko illtabas bohat dekhne main the
kal shab ajeeb aks mere aaine main the
saare dhanak ke raang the uss ke libaas main
khushboo ke saare aang uuse soochne main the
her baat jaante howe dill manta na tha
hum jane aayitabaar ke kis merhale main the
wasl o faraq dono hain ikk jaise naguzeer
kuch lutaf uss ke qurb main kuch fasale main the
selay zamaan ki mooj ka her waar seh gaye
wo din , jo aik toote howe raabte main the
aandhi uurda ke le gai jis ko abhi abhi
manzil ke sab nishan ussi raaste main the
choo lain uuse ke door se bas dekhte rehain
taare bhi raat meri tarah , makhmase main the
jugnuu , sitare, aankh, saba , titliyaan, charagh
sab aapne appne gham ke kisi silsale main the
jitne the kaht tamam ka tha aik zaawiya
phir bhi ajeeb paich mere masaele main the
Amjad kitaab e jaan ko wo pardhta bhi kis tarah
likhne the jittne lafz abhi haafze main the

Comment