jaane kyun wo saanso ki dor tootne nahi deta,
bas do kadam aur chalne ka waasta dekar mujhe rukne nahi deta,
baat kehta hai wo mujhse hans hans kar jee lene ki,
ajeeb shakhs hai mujhko chain se rone nahi deta,
aaj hausla deta hai mujhe chaand sitaro ko chhu lene ka,
wo pyara sa chehra mujhe tootkar bikharne nahi deta,
shayad jaanta hai wo bhi in aankhon men aansuo ka sailaab hai,
jaane kyun fir bhi wo in aansuo ko girne nahi deta,
mujhse kehta hai, "main to mar jaunga tumhare bina",
main zinda hun ab tak ke wo mujhe merne nahi deta ,

Comment