bhalay dinoun ki baat hai, bhali si aik shakal thee
na yeh kay husn-e-taam ho, na dekhnay main aam si
na yeh ke woh chalay to kahakshan si rahguzar lagay
magar woh saath ho tau phir bhala bhala safar lagay
koi bhi rut ho uss ki chub faza ka rang roop thee
woh garmioun ki chhaoun thee, woh sardioun ki dhoop thee
na aisi khush libaasian ke saadgi gila karay
na itni be-takalufi ke aayena haya karay
na aashqi junoon ki, kay zindagi azaab ho
na iss qadar kathor pun, kay zindagi kharaab ho
so aik roz kia hoa, wafa ki behas chhirr gai
main ishq ko amar kahoon, woh meri zid se chirr gai
main ishq ka aseer tha, woh ishq ko qafas kahay
kay umar bhar kay saath ko woh bad tar az hawis kahay
na uss ko mujh pay maan thaa, na mujh ko uss pe zaum hi
jab ehad bhi koi na ho to kia gham-e-shikastagi
sau apna apna raasta hansi khushi badal liya
woh apni raah chal parri main apni raah chal diya
bhali si uss ki shakal thee, bhali si uss ki dosti
ab uss ki yaad raat din nahin magar kabhi kabhi