Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

>> Dastane Zindagi <<

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • >> Dastane Zindagi <<

    Zubaan khamosh aankho mai nami hogi,
    Ye bus ek dastane zindagi hogi,
    Bharne ko to har zakhm bhar jaye ga,
    Kese bharay gi wo jaga jahan teri kami hogi...
    Last edited by empty00; 11 April 2007, 16:38. Reason: font editing

  • #2
    &gt;&gt; Zindagi Mai Pyar Kisne Paya Hai&lt;&lt;

    Har taraf khamoshi ka saya hai,
    Zindagi mai pyar kisne paya hai,
    Hum yaadon mai jhoomtay hain uski,
    Jo abhi tak humko samjhta paraya hai...

    Comment


    • #3
      &gt;&gt; Hum b Muntazir Thay &lt;&lt;

      Hum b muntazir thay koi bula he leta pyar se,
      Kya karain hathon ki lakirain jati na theen kuch iss taraf,
      Is se agay ab kya karun mai beyan k,
      Ankhain band theen, thi nazar phir b unki taraf...

      Comment


      • #4
        &gt;&gt; Laut aa kisi bahanany se &lt;&lt;

        Bohat udaas hai koi shaks tere janay se,
        Ho sakay to laut aa kisi bahanay se,
        Tu lakh door sahi magar ek baar to dekh,
        Koi toot sa gaya hai tere door janay se...

        Comment


        • #5
          &gt;&gt; Sham hone se pehle laut aana &lt;&lt;

          Shaam hone se pehle laut aana,
          Kisi k naam hone se pehle laut aana,
          Hum tere intezar mai hain kab se,
          Anjaan hone se pehle laut aana.

          Subho shaam rehti hai tere didaar ki umeed,
          Din ka ikhtitam hone se pehle laut aana,
          Agar na laut pao to bus itna to karna karam,
          Meri akhri saans se pehle laut aana...

          Comment


          • #6
            Re: &gt;&gt; Dastane Zindagi &lt;&lt;

            Sooraj dhaltay huay koi PEGHAM de gaya,
            Bujhtay huay ghamo ki koi shaam de gaya,
            Ek mithaas c mere honto mai bass gayi,
            Ye kon mere lab pe tera naam de gaya...

            Comment


            • #7
              Re: &gt;&gt; Dastane Zindagi &lt;&lt;

              :welcome: n nice sharing
              That's Enough...!!

              Comment


              • #8
                Muqaddar ka ghareeb par dil ka ameer tha,
                Phir mil kar bicharna mera naseeb tha,
                Chah kar bi kuch kar na sakay hum,
                Ghar jalta raha aur samandar qareeb tha...

                Comment


                • #9
                  Wo chaand chup gaya mujhe raat sonp kar,
                  Aankho ko intezar k lamhaat sonp kar,
                  Aik shaks tha jo muj se bichar gaya,
                  Meri aankhon ko mosam-e-barsaat sonp kar...

                  Comment


                  • #10
                    Re: Scorpio

                    Thnx Scorpio!!


                    :salam: achha dosto baqi kal!

                    Comment


                    • #11
                      Re: &gt;&gt; Dastane Zindagi &lt;&lt;

                      Good
                      Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
                      Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

                      Comment

                      Working...
                      X