Zikr-e-Shab- e-Firaaq Se Wehshat Usay Bhi Thi
Meri Tarha Kisi Se Mohabbat Usay Bhi Thi
Mujhko Bhi Shoq Tha Naye Chehron Ki Deed Ka
Raasta Badal K Chalne Ki Aadat Usay Bhi Thi
Us Raat Bohat Dair Tak Woh Raha Mehav-e-Guftugoo
Masroof Main Bhi Kam Tha Faraagat Usay Bhi Thi
Sunata Tha Woh Bhi Sabse Purani Kahaniyan
Taaza Rafaqaton Ki Zarurat Usay Bhi Thi
Mujhse Bichar K Shehar Main Ghul Mil Gaya Woh Shakhs
Halankey Shehar Bhar Se Raqabat Usay Bhi Thi
Woh Mujhse Barh K Zabt Ka Aadi Tha Jee Gaya
Werna Har Aik Saans Qayamat Usay Bhi Thi !

Comment