Aur mohabbat bhool gaye
Dunya ko jahan daag nazar aate hain dil mein
iss dil mein kae zakham tumhare bhi mile hain
un ki dunya mein to aise hazaron hain ajnabi
tum hi pagal the jo un ko pa ker itrane lage
abb khushi ki koi baat na soche dunya mein
abb yeh alam hai ke kuch gham bhi maza dete hain
dunya ne be-shumar ali ko diye hain ranj
aae dost tu bhi chiz koi yaad-gar de de
dunya ki uljhanon se faraghat ager mili
roen ge hum lipat ke tere parhan ke saath
humein dunya jo de gi wahi lutaein ge iss ko
yaad rakha dunya dari ko aur mohabbat bhool gaye