Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

** Shaheen Ki Pasand **

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ** Shaheen Ki Pasand **

    *~*FARQ*~*
    *Farq Sirf Itna Sa Hy*
    Teri Doli Uthay gi Meri Mayeeyat Uthy Gi.
    Phool Tuj Pay bi Houn Gay Phool Muj Pay bi Houn Gay.
    *Farq Sirf Itna Sa Hy*
    Tu Saaj kay Gai Mujy Sajaya gaya.
    Tu bi Ghar ko Chali main bi Ghar ko Chala.
    Tera Ghar Tha Bara mera Ghar tha Choota.
    *Farq Sirf Itna Sa Hy*
    Tu Uth kay gai Mujy Uthaya gaya.
    Saheliyan Teri bi thi Dost Meray bi thi.
    Mehfil Wahan bi lagi Loog yahan bi thy.
    *Farq Sirf Itna Sa Hy*
    Un ka Hansna Wahan Tumhari Taraf orr rona yahan Meri taraf.
    Qazi Udher bi Tha Molvi Idher bi tha.
    Do Bool teray parhy Do Bool meray parhy.
    *Farq Sirf Itna Sa Hy*
    Tera Nikah Parhaya gaya mera Janaza Garhaya gaya.
    Tujy Apnaya gaya mujy Dafnaya gaya.
    *Farq Sirf Itna Sa Hy*

    Sorry Urdu rasmul khat mai na likh saka jis kaliy mazrat khwah hon :salam:


  • #2
    Re: *~*farq*~*

    nice janab nice
    boaht khub
    keep it up

    Comment


    • #3
      Re: *~*farq*~*

      Originally posted by phototech81 View Post
      nice janab nice
      boaht khub
      keep it up
      shukriya janab

      Comment


      • #4
        ** Shaheen Ki Pasand **

        dil hee to hai na sang-o-KHisht dard se bhar na aaye kyoN ?
        royeNge ham hazaar baar, koee hameiN sataaye kyoN ?


        dair naheeN, haram naheeN, dar naheeN, aastaaN naheeN
        baiTHe haiN rehguzar pe ham, GHair hameiN uTHaaye kyoN ?


        jab woh jamaal-e-dil_faroz, soorat-e-meher-e-neem_roz
        aap hee ho nazzaara_soz, parde meiN muNh chupaaye kyoN ?


        dashna-e-GHamza jaaN_sitaaN, naawak-e-naaz be_panaah
        tera hee aks-e-ruKH sahee, saamne tere aaye kyoN ?


        qaid-e-hayaat-o-band-e-GHam asl meiN dono ek haiN
        maut se pehle aadmee GHam se nijaat paaye kyoN ?


        husn aur uspe husn_zan rah gayee bulhawas ki sharm
        apne pe 'eitmaad hai, GHair ko aazmaaye kyoN ?


        waaN wo GHuroor-e-iz'z-o-naaz yaaN yeh hijaab-e-paas-e-waz'a
        raah meiN ham mile kahaaN, bazm meiN wo bulaaye kyoN ?


        haaN wo naheeN KHuda_parast, jaao wo be_wafa sahee
        jisko ho deen-o-dil 'azeez, uskee galee meiN jaaye kyoN ?


        'GHalib'-e-KHasta ke baGHair kaun se kaam band haiN ?
        roiye zaar-zaar kya, keejiye haay-haay kyoN ?


        Comment


        • #5
          Ehsass Bohat Hoga Jab Chalay Jaengay

          Ehsass bohat hoga jab chalay jaengay
          Rooengay bohat ansoo nahin aaengay
          Jab koi awaz na day tau awaz humay daina,
          asaman par bhi hongay tau loot aaengay.



          Dunya mai ghamoo k saath khushiya bhi naseeb hoti hain,
          Jaha bajti hain shahnaeya waha matam bhi hotay hain.




          Jo koi pochta hai k surak kuon hain ankhaien aaj,
          Tau aankh mal kar kehti hoon raat soo na saki,
          Lakh chahongi par ye keh na sakongi khabi
          Raat ronay ki khoish thi par roo na saki.



          koi saadma tau zarori nahin hai
          yunhi roonay ko bhi jee chata hai
          muradoo se jinhain paya ho unse
          juda honay ko bhi jee chata hai


          mehndi rang daiti hai suk janay k baad
          koi yaad karta hai mar janay k baad

          Tau sooraj hai tujay kya maloom raat k dukh
          Tau kisi roz shaam k baad meray ghar utrnaa


          Wo bhoolta nahin jahan jaoon
          Hye mein kya karaoon kaha jaoon.

          Comment


          • #6
            Re: Ehsass Bohat Hoga Jab Chalay Jaengay

            Mashallah buhat khoob

            Comment


            • #7
              Bachpan K Dukh Kitnay Achey Hotey Thay.

              BACHPAN K DUKH........


              Bachpan k dukh kitnay achay hotey they
              Tab to sirf khilonay toota kartey they
              Woh kushiyan bhi kaisey kushiyan they??
              Titley k par noch k uchla kartey they
              Paoun mar k khud barish k pani may
              Apney naoo aap dooboya kartey they
              Chotey they to makar-o-fareeb bhi chotey they
              Dana daal k chirya pakra karteythey
              Apney jal janey ka ehsas bhi na tah
              Jlatey hue sholoo ko cheera kartey thay
              Ab to aik ansoo bhi ruswa karta hai
              BACHPAN MAY GEE BHAR KAY ROYA KARTEY THAY.

              Comment


              • #8
                Woh Pani ki Lehroon pay Kya Likhrahi thi........

                Woh Pani Ki Lehron Pe kia likh rahi thi,
                Khuda janey harf_e_dua likh rahi thi.

                likha jis nay nawal wafa ka adhora,
                Wohi payar ki inteha likh rahi thi .


                Bhala kartay kartay guzri jawani,
                Mager phir bhi khud ko bura likh rahi thi.


                Muhabaat mein nafrat mili thi usay bhi,
                jo har shaks ko bewafa likh rahi thi .

                Zara us ki aankhon say aanso na niklay,
                Wo jis waqt lafz_e_ saza likh rahi thi.


                Namaz_e_muhabaat mein wo saray apney ,
                Hoay thay jo sajday Qaza likh rahi thi.......

                Comment


                • #9
                  Re: dil hee to hai na

                  nice janab nice kea baat hai kee it up

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ehsass Bohat Hoga Jab Chalay Jaengay

                    Jo koi pochta hai k surak kuon hain ankhaien aaj,
                    Tau aankh mal kar kehti hoon raat soo na saki,
                    Lakh chahongi par ye keh na sakongi khabi
                    Raat ronay ki khoish thi par roo na saki.


                    buhat khobSurat....................:)

                    Comment


                    • #11
                      Re: dil hee to hai na

                      good

                      Comment


                      • #12
                        Re: dil hee to hai na

                        Thanks pasand karna ka

                        Comment


                        • #13
                          *~ friends forever ~*

                          :salam:
                          Click image for larger version

Name:	birthdayCakeMichele.jpg
Views:	1
Size:	33.9 KB
ID:	2371280

                          ab batain kon kon mera pecha ana kaliy tayar hia ?:zuban:

                          Comment


                          • #14
                            Re: Woh Pani ki Lehroon pay Kya Likhrahi thi........

                            nice sharing
                            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                            Comment


                            • #15
                              Re: Woh Pani ki Lehroon pay Kya Likhrahi thi........

                              Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                              nice sharing
                              Thanks :rose

                              Comment

                              Working...
                              X