Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Apna Dard Badha Laita Hoon

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Apna Dard Badha Laita Hoon

    :welcome:
    Apna dard badha laita hoon
    Ussko pass bula laita hoon

    Ussko jab be dhoondany nikloon
    Apna aap ganwa laita hoon

    Sab say juda rehnay ki khater
    Sab ko dost bana laita hoon

    Saree batein ker k bi mein
    Usski baat chupa laita hoon

    Her kaam main jaldee ker k
    Her ek kaam badha laita hoon

    Woh to woh hai Mein akser
    Khod say dhoka kha laita hoon
    :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba

    Ussay apni farda ki fiqar thi , Woh jo mera waqif-e-hal tha
    Woh jo uss ki subah-e-arooj thi wohi mera waqt-e-zawal tha

    Meri baat kasay woh janta , Mera dukh kasay woh manta
    Woh to khod fana k safer main tha ussay rokna mahal tha

    Kahan jao ** mujhe **** ker , Mein yeh pooch pooch k thak gaee
    Woh jawab mujh ko na day saka woh to khod sirapa-e-sawal tha

    Woh jo uss k samnay aa gaya , Wohi roshni main naha gaya
    Ajab uss ki habit-e-husan thi ajab uss ka rang-e-jamal tha

    Dam-e-wapisi ussay kia howa , Na woh roshni na woh tazgi
    Woh sitara kasay bikher gaya jo aap apni masal tha

    Woh mila to sadyoon baad bhi , Meray lab pay koi gila na tha
    Mere chup nay ussay rula diya jissay guftagoo main kamal tha

    Meray saath lag k woh ro diya , Aor itna woh keh saka
    Jissay janta tha mein zindagi woh to sirf wehm-o-hayal tha

    :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba :tauba

  • #2
    Re: Apna Dard Badha Laita Hoon

    Comment


    • #3
      Re: Apna Dard Badha Laita Hoon

      Thankyou

      Durr kahin wadi main rahta hai woh!
      Har lamha khayal main rahta hai woh!
      Kaisa hai woh kis haal main hai woh!
      Dil ka har sawal main rahta hai woh!

      Comment


      • #4
        Re: Apna Dard Badha Laita Hoon

        Wah
        Zindgi iss baar mera naam na shamil krna
        Agur ye tae hai ke yahi khail rahe ga

        Comment

        Working...
        X