Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

    MAIN DANISTA NAHIN BICHRA


    sitam dekho
    abhi poori tarah sambhle nahin thay aur
    abhi se jism-o-jaan ka qarz
    na-karda gunahon ki sazaa ban ker
    badan aur khawaab ke dar-pe hua hai
    tum yaqeen jano
    main danista nahin bichra
    main apni zindagi ke jurm ki padaash mein
    wehshat-zada din raat le ker
    apnay hi haathon mein
    khud apnay hi khali haath le ker
    jaan
    khud ko bechnay nikla hoon aur
    najanay kab, kahan, aur kis qadar
    qeemat lagay

    qeemat lagay bhi ya........
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

      Jalne lagi lahoo mein judaaii to ro diye
      Tanhaiyon ne khaak uraii to ro diye

      Chehre ne tera roug chupaya to hans diye
      Aankhon ne teri yaad manaii to ro diye

      Khushbo ne koi yaad dilaya, tarap uthay
      Phoolon ne daastan sunaii to ro diye

      Guzra hai ham pe khud yehi aalam isi liye
      Hansne lagi kisi pe Khudaii to ro diye

      Raas aa chuki thi teergi-e-shab kuch is qadar
      Gar shamma bhi kisi ne jalaii to ro diye
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

        Din Bhi Na Beeta Raat Na Beeti
        Teri Aik Bhi Baat Na Beeti

        Tehar Gai Aa Kar Ankhoon Main
        Teray Bin Barsaat Na Beeti

        Ansoo Rukay Na Ein Nenoon Say
        Taron Ki Barat Na Beeti

        Jum Si Gai Ehsas Kay Ander
        Jeevan Beeta Maat Na Beeti

        Beet Gay Aanginat Zamanay
        Eik Tumhari Zaat Na Beeti
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

          Yeh Jo Fiza Noord Hai Ankhon Kay Paar Chand
          Bhichray Howaon Ka Dard Hai, Ankhon Kay Paar Chand

          Utra Tha Ik Ajeeb Sa Khadsha Milan Ki Raaat
          Ab Tak Kahin Pay Zard Hai, Ankhon Kay Paar Chand

          Andhi Koi Thehar Si Gai Hai Fizaon Main
          Shab Phir Say Gard Gard Hai, Ankhon Kay Paar Chand

          Shaid Who Phir Udass Raha Hai Tamam Shabb
          Daikho To Kitna Sard Hai, Ankhon Kay Paar Chand

          Phaili Hai Yoon Tumhari Muhabbat Kay Ab Hamain
          Har Soo Har Aik Fard Hai, Ankhon Kay Paar Chand
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

            La Makanoon Ki Zarorat Kia Hai

            Aasmanoon Ki Zarorat Kia Hai



            Jab Hamin Chaoon Nahi Milni TU

            Saybanon Ki Zarorat KIa Hai



            Gar Kisi Reham -o- Karam Par Hain Tu

            Badbanon Ki Zarorat Kia Hai



            Laash Mehfooz Nahi Reh Sakti

            Sard Khanoon Ki Zarorat Kia hai



            Yeh Tu Reh Jain KAy Aisay hi Paray

            Inn Khazanon Ki Zarorat Kia Hai



            Eik Din TUm HI Kaho GAy Muj Ko

            Bey Zabanoon ki Zarorat Kia Hai



            Woh Meri Kabar Par Akehta Hai

            Aastanon Ki Zarorat Kia hai



            Jin Ko TUm Chor Gay ho Khali

            Inn Jahanon Ki Zarorat Kia Hai
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

              Meray Hawas Main Aakar Mujhe Samjai Dey

              Main Samnay Hoon Tu Tu Bhi Kahin Dekhai Dey



              Tamam Hussan-e-khudai Ka Mil Kay Bolay Tu

              Kahin Kahin Tera Lehza Mujhe Sunai Dey



              Yeh Kia MAzaq Hai Meri Duwaon Say Tera

              Wisal Mangnay Ata Hon Tu Judai Dey



              Tu Narsa Hai MAgar Sath Sath Tu Hai Sahi

              Koi Tu na Ho Kay Tu Jis Ko Bhi Rasai Dey



              Main Teray Anay Na Anay Kay Shak MAin Rehta Hon

              Mujhe Azab Na Dey Qaid Say Rehai Dey
              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

              Comment


              • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                jalti bhujti dhoop maiN saRad hawa maiN rahna seekh lee'a
                us se bichaR k hijaR ka aika ik mosam sehna seekh lee'a

                sahil sahil takra k jab chooR huweY tu hum ne bhe
                dar'ya ki kahRooN maiN lahRaiN bun k bahna seekh lee'a

                apna dukh bus apna he dukh hota hia ye jaaN lee'a
                apnaY ap se apni saRi bataiN kahna seekh lee'a

                naye navaili tanha'ee ki bahaiN daal k baahooN maiN
                raat gaa'ye taak nahaR kinaRay bethaY rahna seekh lee'a
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                  Dil E Musafir

                  udas maat ho
                  dile musafir udas maat ho
                  hawa agerche phuwar daman mein bher ke layee haibey kali ki
                  faza agerche kisee khamoshi se muzmahel hai
                  nigah mein koee raah hade nigah taak bey panah khali hai
                  din sawali hai . raat kaali hai
                  sham roti hai
                  man bhigoti hai
                  aas bhi gerche bas khayali hai' bas khayali hai......
                  udas mat ho

                  magar tu phr bhi udas maat ho
                  udas maat ho
                  agerche lamhon ki sard puron pe hijr likha hua hai berson
                  agerche wakti khushi ke seene pe mustakil dard mal gaya hai dua ki sarson
                  agerche ehsas ki ragon mein
                  koee andhera sa jam gaya hai-khayal mein wakt tham gaya hai
                  aabhi koee intezar ankhon se kam gaya hai
                  sitam gaya hai na koee ranj o alam gaya hai(na sabr ke ser ka kham gaya hai)
                  yeh saab tumhare hi pairahan hain
                  abhi se yun belibas maat ho
                  dile musafir
                  udas maat ho

                  aabhi to ankhon mein ansoon ki buhat jaga hai
                  abhi to raton ke jangalon mein masafaton ki buhat jaga hai
                  abhi to ahon k kafle mein buhat nami hai
                  abhi to har shay ki zindagee mein buhat kami hai
                  aabhi se yun khud shanas maat ho
                  udas maat ho
                  dile musafir
                  udas maat ho
                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                    dar gaye sitam saham gaye
                    app key zikr sey ghum saham gaye

                    hum samander ki tarah chup chup hain
                    wo smajhta hai key saham gaye

                    aj kia zulm main kudrat hai bohat
                    aj kia tarey karam saham gaye

                    hum ney is dil sey pukara moula!
                    runj gabhraye ilm saham gaye

                    hi yeh arsa paiman hayat
                    hosley sambhley to dam saham gaye
                    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                    Comment


                    • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                      Main Na Roya Tu Pukaray Ansoo
                      Kon Zakmoon Main Utaray Ansoo

                      Meri Kismat Main Sitaray Ansoo
                      Bujh Gay ,Ankh Kinaray Ansoo

                      Abb Main Maehzoor Nahin Hoon Farhat
                      Ankh Lathi Hai , Saharay Ansoo

                      Woh Jo Jaal Jatay Rahay Khuwab Meray
                      Ban Gay Hongay Sharary Ansoo

                      Jab Talak Ro Na Paron Khul Kar
                      Kartay Rahtey Hain Isharay Ansoo

                      Eik Bhi Hum Nay Bacha Rakha Nahin
                      Dey Deay Apko Saray Ansoo

                      Ho Gay Pelay Na Janay Kaisay
                      Surk Kitnay Thay Hamaray Ansoo

                      Itnay Arzaan Hain Kay Buss Kuch Na Kaho
                      Yeh Meray Dard Kay Maray Ansoo

                      Khoon Ho Jana Tha Bhari Farhat
                      Kuon Waridon Say Guzaray Ansoo
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                        Bey Basi Akhri Hadoon Par Hai

                        Zindagi Akhri Hadoon Par Hai



                        Janay Ab Dil Ka Kia Banay Yaroon

                        Bey Kali Akhri Hadoon Par Hai



                        Sang Honay Main Koi Deer Nahi

                        Bey Hisi Akhri Hadoon Par Hai



                        Roshni Lotnay WAli Hai

                        Teragi Akhri Hadoon Par Hai



                        Iss Say Bar Kar Karay Kia Farhat

                        Maut Bhi Akhri Hadoon Par Hai
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                          Jeenay Nahi Deti

                          Jeenay Nahi Deti,Hamin Marnay Nahi Deti

                          Yeh Chah Kisi Ghaat Utharnay Nahi Deti



                          Har Baar Nai Chooat Laga Jati Hai Duniya

                          Zakham Dil-e-Weran Ko Bharnay Nahi Deti



                          Yeh Shehar Halakat Hi Sahi Thik Hai Likin

                          Sachai Mujhe Shehar say Darnay nahi Deti



                          Yeh Laut kay Ghar Janay Ki MajBoori Mujhe Thi

                          Ghul Kar Teray Rastoon Pay Bikarnay Nahi Deti



                          Kuon Zeest Mujhe Rakthi Hai Mabein Hamesha

                          Kuon Thik Hai Kuch Bhi Mujhe Karnay Nahi Deti
                          Last edited by _Dard_Aashna_; 15 June 2007, 10:40.
                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment


                          • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                            chaand muskaraya hay
                            chaandni nahayee hay
                            khushbo'un ne mausam main
                            aag see lagayee hay
                            ishq ne mohabbat kee
                            ankh choomna chahi
                            aur hawa keh halqay main
                            aik shokh see nazakat say
                            shaakh kasmasaaiyee hay
                            raat ka samander hay
                            raat bhee mohabbat kee
                            baat ka ujala hay
                            naam garam khamoshi
                            sehaj sehaj sargoshi
                            chor chor darwazay
                            kon chup keh aaya hay
                            kuch na kuch chupaya hay
                            aasmaan kee khirrkee main
                            sukh bharee shararat se
                            chaand muskaraya hay
                            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                            Comment


                            • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                              kahin per sham boley gi
                              kahin per sham boley gi kahin per raat boley gi
                              bala ki baraf main garme halat boley gi

                              abhi main khch nahi boloon ga lakin raat boley gi
                              jaisey din rok daita hai wo ik ik baat boley gi

                              ager ansoon kahin per hain to rasta dhoond hi lain gey
                              samander chup rahey ga to bhari parsaat boley gi

                              suna hai shaher ki khamooshioon per kaher tooty ga
                              kisi ka jims boley ga kisi ki zaat boley gi

                              tumhain maloom hai kuch bolna kitna zaroori hai
                              ager khamoosh ho jao to phir maat boley gi
                              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                              Comment


                              • Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                                Meri Ankhoon Kay SAmandar
                                Meri Ankhoon Kay SAmandar main Jalan kaisi Hai
                                Ajj Phir Dil Ko Tarapnay Ki LaGan Kaisi Hai
                                Ab Kisi Chaat Pay Chiragon Ki Qatarin Bhi Nahi
                                Ab Teray Shehar Ki Galioyon Main Guthan Kaisi Hai
                                Baraf Kay Roop Main dhaal Jain Gay Saray Rishtay
                                Mujh say Pocho Kay Muhabbat Main Agan kaisi Hai
                                Main Teray Wisal Ki Khuwahish Ko na Marnay Doon Ga
                                Mausam-e-Hijar Kay lehjay Main Takan Kaisi Hai
                                Raigzaron Main Jo Banti Rahi Kantoon Ki RiDa
                                Uss Ki Majboor Sii Ankhoon Main Kiran Kaisi hai
                                Mujhe Masoom is Pagal Larki Pay Taras ata hai
                                ussay Dekho Tu Muhabbat Main Magan Kaisi Hai
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X