Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

    JANU KI HAAD SY GUZAR KAR KAROON MOHABAT BHI
    MAIN KIA KAROON K MUJHY EEKHTIYAR HI KAM HAI
    ABHI SY DARTY HO TUM MYRY SABAR-O-ZABT SY KIYUN
    ABHI TO SABAR MYRA SOGWAAR HI KAM HAI
    SUNA HAI TOTY DILOON PAR WOH MEHARBAA HAI BOHAT
    MYRA TO DAMAN-E-DIL TAR TAR HI KAM HAI
    MAIN KIS TARAHA SY CHALOON SATH DAIR TAK TYRY
    MYRI HEYAAT KI YE RAH-GUZAR HI KAM HAI
    LAHO BHI ROYE GA IK DIN YE MYRA DEEDA-E-TAAR
    ABHI TO AANKH MYRI BYKARAR HI KAM HAI
    WOH SUN NA PAYA AGAR JO KIA GILA US SY
    MYRI NAZAR SY OOTHI YE POKAR HI KAM HAI
    BECHAR K JENY KA WADA MAIN KIA TYRY SY KAROON
    MAIN KIA KAROON K MUJHY AITEBAR HI KAM HAI
    WOH IK LAGAN JO MUJHY ZAAT MAIN AAMAR KAR DY
    MYRY LAHO MAIN ABHI WOH SHARAR HI KAM HAI
    WOH KHAL-O-KHAD JO LIKHON TO MADHOOSH KAR DAIN GY
    MAIRY LABOON PAY ABHI YE KHUMAR HI KAM HAI
    YE ZINDAGI KA DIYA THA DUA K HATHOON MAIN
    JO BUJH RAHA TO LAGA YE HESAAR HI KAM HAI
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • #17
      Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

      shaam k ujalon main
      apnay naram hathon say
      koi baat achi si
      koi khwaab sacha sa
      koi bail ki khushboo
      koi seep sa lamha
      jab bhi likhna chahogay
      soch k dareechon say
      yaad k hawalaoon say
      mera naam chup chup k
      tum ko yaad ayega
      haath kaanp jayengay
      shaan teer jayegi
      sardion k mausum main
      jan december ayega
      mera naam chup chup k
      tum ko yaad aay ga
      hath kapm jaen gay
      sham teher jay gee
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • #18
        Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

        zindagi ki rahoon main
        log mil he jatay hain
        arzo k daman main
        phool khil he jatay hain
        miltay hain rafoo gar bhi
        chaak sil he jatay hain
        lehja jan gudaz magar
        tum sa dilnawaz magar
        hum ko yan nahi milta
        jiss ki naram baton main
        iss qadar halawat ho
        jiss k phool lehjay main
        jhankti sakhawat ho
        jiss k naam atay he
        koi khushboo dheeray say
        khal-o-khad me ghul jayay
        koi phool tehni pay
        be wajah khil jayay
        jiss k zikar kartay huay
        zofishan sitaray hon
        jiss nay rang-o-ahan k
        roop tak sanwaray hoon
        aoo sub say pehla kaam
        aj hum yeh kartay hian
        shiddaton ki gehrayi
        yeh khayal aur ranayi
        USS K NAAM KARTAY HAIN
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • #19
          Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

          MOHABAT ROG HAI JAANA


          Mohabat rog hai jaana
          Ajaab sanjoog hai jaana
          Ye kaisa jog hai jaana

          Baray borhay batatay thay
          kaee qisaay sunatay thay
          Magar hum mantay kab thay
          Ye sab kuch jantay kab thay
          Ye batain zikar k qabil
          bhala gardantay kab thay

          ana k takht pay bethay
          Humain maloom hi kab tha
          Anaa k takht say oper
          Bohat saree bulandi par
          Kahin pariyon k jhurmut mein
          Teray pairoon ki payaal mein
          Teray chotay say gaoon mein
          taree zulfoon ki chaoon mein
          sitary chand suraj
          waalay hana raqs kartay hain

          hamain maloom he kab tha
          taray qadmon ke aahat per
          gulabi muskarahat per
          teray hontoon ke jumbish per
          teray sir kay ishray per
          sada-e-dolbarana per
          negaha-e-qatilana per
          jafa-e-mehrmana per
          ada-e-qatalana per
          chaaman kay phool saray
          is tarhan say dhayan daytay hain
          zara say wasl kay jhansay main
          apni jaan daytay hain

          hamian kab ilm tha jana
          teray paykar say dhul kar
          chaandani har so bikhrtee hai
          shab-e-mehtab ke doshezgi
          kaisay nikhrtee hai
          tere awaz weranay main
          kya jadu jagatee hai
          taray nagmay fiza main
          kis tarha jaltarang bajatay hain
          bohat pukhta iraday
          kis tarhaa say toot jatay hain

          hamain idraak he kab tha
          hamain kamil bharosa tha
          hamaray sath kisi surat
          bhee aisa nahi ho ga
          dil-e-nadan kabhi
          qaboo say bayqaboo nahi ho ga
          yeh dunya-daar
          dunya-daar say saadhuu nahi ho ga

          Magar.............

          Magar phi ryoun hoa jana
          na janay kyun hoa jana
          bara afsoon hoa jana
          jigar ka khoon hoa jana

          teray abroo ke ik jumbish
          say ghayal ho ga'ay hum bhee
          baray bay multafit phirtay thay
          maayal ho ga'ay hum bhe
          sakahwat karnay aay'ay thay
          aur sayal ho ga'ay hum bhee
          baray bhooron ke in baaton kay
          qayal ho ga'ay hum bhee
          K............
          Mohabat Rog Hai Jana
          Ajab Sanjog Hai Jana

          Yeh Kaisa Jog Hai Jana
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • #20
            Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

            naa'ey gham ki khushi maiN khwab-e-rafta kho dee'ya hum ne
            mila wo chaand tu aapna sitaraa khoo dee'yaa hum ne

            kahaiN kis se k hum ne b tumhaRay khawab dekhay they
            huwa phir yuuN k sapnooN ka aasa'saa khoo dee'ya hum ne

            makaa'N taareek tha tu khaal-o-khud maiN be tawazaN tha
            nazar maiN chandni utri tu chehra khoo dee'ya hum ne

            bhala pehchaaN kesay ho jahaN itni sadaayeN hooN
            namoo k shooq maiN resham sa lahja khoo deeya hum ne

            ghaana taareek jungal hai aur aahoN k tuuaqaab maiN
            ab itni door Aa niqlay k rastaa khoo deeya hum ne...
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • #21
              Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

              koo-ba-koo phail gaee baat shanaasaaee kee
              us ne Khushbuu kee tarah meri paziraai kee

              kaise kah doon kay mujhe chhor diyaa hai us ne
              baat to sach hai magar baat hai ruswaae kee

              woh kahin bhee gayaa lautaa to mere paas aayaa
              bas yehee baat hai achchhi mere harajaai kee

              teraa pahalu tere dil kee tarah abad rahe
              tujh pe guzare na qayaamat shab-e-tanhaai kee

              us ne jalati hui peshaani pe jo haath rakhaa
              ruh tak aa gai taasir masihaai kee
              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

              Comment


              • #22
                Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                Dard se dosti ho gayi hai doston,
                Zindagi bedard ho gayi hai doston,
                Kya hua jo jal gaya aashiyana humara,
                Magar door tak roshni ho gayi hai doston

                kisi ko mohabbat ki sachai mar gayi..
                kisi ko mohabbat ki gehraai mar gayi...
                is ishq se naa bacha koi..
                jo bache unhe Tanhaai mar gayee.....
                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • #23
                  Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                  choice achi hay per thori see mayoosi hay

                  Comment


                  • #24
                    Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                    un ki beruKhi meiN bhi, iltefaat shaamil hai
                    aaj kal meri haalat, deikhney ke qaabil hai

                    qatl ho to meira sa, maut ho to meiri si
                    mere sogvaaroN meiN, aaj meira qaatil hai

                    muztarib haiN maujeiN kyuN, uTh rahe haiN tufaaN kyuN
                    kyaa kisi safeeney ko, aarzu -- e - sahil hai

                    sirf raahzan hii se, kyuuN Ameer shikwa ho
                    manziloN ki raahoN meiN raahbar bhi shaamil hai
                    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                    Comment


                    • #25
                      Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                      Originally posted by Khalil View Post
                      choice achi hay per thori see mayoosi hay
                      G ?
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • #26
                        Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                        takleef-e-hijr de gayee rahat kabhi kabhi
                        badla hei yun bhi rung-e-muhabbat kabhi kabhi

                        dil ne teri jafaa ko sahara samajh liya
                        guzri hei yun bhi hum pe musibat kabhi kabhi

                        duniya samajh na le tere gham ki nazaakate
                        karta hun zer-e-lab jo shikayat kabhi kabhi

                        hae jis taraf nigaah tawajjo udhar nahi
                        hoti hei berukhi bhi inayat kabhi kabhi

                        aayee shab-e-firaaq toh ghabra gaye shajeer
                        aati hei zindagi mei qayamat kabhi kabhi
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • #27
                          Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                          Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                          G ?
                          :tauba etni lambi lambi poetry ker daity hian jawab main siraf G likh dia.

                          Comment


                          • #28
                            Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                            Tumain jab kabhi milain furstain
                            meray dil sa boujh utar do
                            Main buhat dino sa udas hoonh
                            mujhyoi hsaam udhaar do
                            Mujhyapnay roap ki dhoop do
                            k chamak sakain meray khdokhal
                            Mujhy apnay rung main rung do
                            meray saray zang utar do
                            Meri wahshton ko barha diya ha
                            teri judiyon ka azab na
                            Meray dil pa hath rakho zara
                            meri dhraknon ko qrar do
                            tumain subah kasi lagi kaho
                            meri khawhison ka diyar ki
                            jo bhali lagay to yahin raho
                            usay chaton sa nikhar do
                            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                            Comment


                            • #29
                              Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                              Originally posted by Khalil View Post
                              :tauba etni lambi lambi poetry ker daity hian jawab main siraf G likh dia.
                              poetry too likh kar rakhi thi
                              jawab likh kar koi rakha tha
                              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                              Comment


                              • #30
                                Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                                Koi Mujhko Mera Bharpuur Saraapa La De
                                Meray Baazu Meri Aankhein Mera Chera La De
                                Aaisa Darya Jo Kisi Aur Samandar Mein Giray
                                Iss Se Behtar Hai Keh Mujhko Mera Sehra La De
                                Naya Mosam Meri Beenaai Ko Tasleem Nahi
                                Meri Aankhon Ko Wohi Khwaab Puraana La De
                                Kuch Nahi Chahiye Tujh Se Meri Umar e Rawaan
                                Mera Bachpan Mere Jugnu Meri Guriya La De
                                Kashti e Jaan To Bhanwar Mein Hai Kai Barsoon Se
                                Ay KHUDA Ab To Duboo De Ya Kinaara La De
                                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                                Comment

                                Working...
                                X