Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

    Puraani kitaab mein rakhi tasveer se baatain
    Aaj barsoon ke baad dekha hai
    Ab bhi aankhoon ka rang ghehra hai
    Aur maathay ki saanwli si lakeer
    Dil mein kitne deeye jalaati hai
    Teri qaamat ke saaye ki khushboo
    Guftugoo mein bahaar ka mausam
    Be-sabab aitbaar ka mausam
    Kyon mujhe saaray dhang yaad rahay
    Kitni hairaan hogaee khud per
    Mein tujhe aaj tak nahee bhuli
    Pichle mausam ki yaad baaqi hai ...

    Noshi Gilani
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!


  • #2
    Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .


    zakham yeh wasl kay marham say bhi shayed na bharey
    hijr main esi mili ab kay musaafat hum ko
    daag-e-assia'an to kisi torr naa chuptey Amjad
    dhaanp leti naa agar chadar-e-rehmat hum ko...
    Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

    Comment


    • #3
      Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

      Lamhay
      Kuch bhi tu nahee mere paas
      Teri yaadoon ke siwa
      Teri pyaar bhari baatoon ke siwa
      Mujhe yaad hai sab kuch
      Tera woh kehna ke
      kitni khobsurat hain aankhain tumhari
      Kitne rung hain in main
      Yeh kitna muskuraati hain
      Yeh kitni baatain karti hain
      Main thori door hojaoon tau
      Mujhe waapis bulaati hain
      Yeh mujh ko aazmaati hain
      Magar
      Ab kuch bhi tu nahee bacha in mein
      Tere khwaaboon ke siwa
      Teri yaadoon ke siwa...
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • #4
        Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

        Ajeeb terha se utri hai ab k tanhai
        Dewar-o-dar se baras nay lagi hai tanhai

        ye merey ghar ki udasi se dar gai shayad
        lipat k mujh se galay ro rahi hai tanhai

        chalo k sham hui ab to lautna hai mujhey
        k merey ghar pay meri muntazir hai tanhai

        main ja k us ko sonata hon hal-e-dil apna
        phir apna haal sonati hai mujh ko tanhai

        woh rasta ho k manzil ho ya k mehfil ho
        meri rafeeq -------meri razdar --------tanhai

        bari talash se us ko mila hai ghar mera
        phiri hai merey lia dar badar ye tanhai

        kabhi yahan bhi to qadmo ki aahatain aain
        mujhi se kehnay lagi hai ye meri tanhai
        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

        Comment


        • #5
          Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

          AAJAB APNA HAAL HOTA,JO WESAAL-E-YAAR HOTA
          KABHI JAAN SADKY HOTI,KABHI DIL NESAAR HOTA

          JO TUMHARI TARHA TUM SY KOEE JHOOTY WADY KARTY
          TUMHI MUNSAFI SY KEH DO,TUMHAIN AITEBAR HOTA

          YE MAZA THA DIL LAGI KA K BARABAR AAG LAGTI
          NA TUJHY KARAR HOTA,NA MUJHY KARAR HOTA

          NA MAZA HAI DUSHMANI MAIN,NA HAI LUTAF DOSATI MAIN
          KOEE GAIR GAIR HOTA,KOEE YAAR YAAR HOTA

          TYRY WADY PAY SETAMGAR ABHI AUR SABAR KARTY
          AGAR APNI ZINDAGI KA HAMAIN AITEBAR HOTA
          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

          Comment


          • #6
            Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

            pyar ka meetha Ahsaas dilaney laga hai tu
            ab to mujh se mujhi ko churaney laga hai tu

            teri chahatoon ka chaya hai saroor is qadar
            har pal har jagah nazar aney laga hai tu

            veeran thi yeh zindagi tere aaney se pehley
            khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney laga hai tu

            har pal mujhey hota hai bus tera hi Ahsaas
            is qadar meri sanson main samaney laga hai tu

            ek pal ki bhi doori seh nahi pata hoon main
            hoke juda kyun mujhey aazmaney laga hai tu

            rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan
            ke ban saya sath mere aaney laga hai tu

            naam koi bhi loon to naam aaye tera labon pe
            ban ke jadu meri rooh main samaney laga hai tu

            teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera
            ghul ke sath lahoo ke nas nas main samaney laga hai tu

            janey kaun si dor hai teri aur khinch le jati hai
            mujh ko apni dewani bananey laga hai tu

            tasavoor main aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
            chod ke duniya meri bahon main samaney laga hai tu

            yeh to bata ke kya naam doo is dewangi ko
            bechen ker ke har lamha mujhey tadpaney laga hai tu

            terey khayalon se mehakney lagti hai zindgi meri
            mere zahen-o-dil pe is qadar chaney laga hai tu

            yeh masumiyat yeh bholapan yeh sadgi teri
            mujh ko har ada se ab sataney laga hai tu

            zist ke rahon main dhoop thi har taraf
            apney pyar ki barish ko barsaney laga hai tu

            shayed kya is baat ka tujhey hai Ahsaas
            merey har sher main har Ghazal main aaney laga hai tu
            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

            Comment


            • #7
              Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

              AGAR WOH MEHARBAAN HOTA
              TOO MYRI AANKH MAIN
              NA JHILMILATI YE NAMI HOTI
              NA MYRY DIL KI WADI MAIN
              KHEEZA KA KAFALA HOTA
              MYRI BY NOOR AANKHOON MAIN
              SETARAY KAYAAD KAR DYTA
              MYRI ZAKHMI HATHAYLI PAR
              WO KOEE PHOOL RAKH DYTA
              MYRY HATHOON KO APNY HATH MAIN LAY KAR WOH YE KEHTA
              MOHABAT ROSHANI HAI,RANG HAI,KHUSHBOO,SETARA HAI
              KASAM MUJH KO MOHABAT KI
              MUJHY TU SAB SY PEYARA HAI
              MAGAR AYSA WO TAB KEHTA
              AGAR WO MEHARBAA HOTA
              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

              Comment


              • #8
                Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                Comment


                • #9
                  Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                  Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                    First of all a very warm welcome to Pegham .... Bohat umdah collection hai aap ki bohat achhi lagi. SIraf is baat ka khiyal rakhiyey keh kisi doosri site sey images jin per unka logo ho woh aap yahan share nahin kar sakti keh is tarha copyright ka masla ho jata hai. Khush rahiyey :)
                    Masood
                    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                    Comment


                    • #11
                      Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • #12
                        Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                        Originally posted by Masood View Post
                        First of all a very warm welcome to Pegham .... Bohat umdah collection hai aap ki bohat achhi lagi. SIraf is baat ka khiyal rakhiyey keh kisi doosri site sey images jin per unka logo ho woh aap yahan share nahin kar sakti keh is tarha copyright ka masla ho jata hai. Khush rahiyey :)
                        Masood
                        okay
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment


                        • #13
                          Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                            Mainey Din Raat Apney Jisski Yaad K Naam Kiye Hain
                            Woh To ek Pal Bhi Mujhe Sochta Na Hoga

                            Jiski Tasveer Main Har Aik Shae Main Hoon Dekhti Rehti
                            ek Nazar Bhi Woh Shaks Mujhe Dekhta Na Hoga

                            Yeh Lab Jo Sada uska Naam Ley Kar Mangtey Hain Duaian
                            Mera Naam Bhi Woh To Kabhi Laita Nahin Hoga

                            usey Sadain Daita Rehta Hey Yeh Pagal Dil Mera
                            Aik Pukar Bhi Kabhi Dil uska Mujhe Daita Nahi Hoga

                            Meri Ankhain Dekhti Hain Har Pal Rasta uska
                            Woh To Youn Pal Pal Mera Intezar Karta Na Hoga

                            Jiskey Liye Mera Bawla Man Tarasta Rehta Hey
                            Shabb-e-Tanhai Main Meri Terah Woh Tarapta Nahin Hoga

                            Haathon Ki Lakeeron Main usko Dekha Hey Mainey
                            Kabhi Bhi Mujhe Woh Shaks Aisey Talaash Karta Na Hoga

                            uska ahsas Beh Raha Hey Mujh Main Laho Ki Manid
                            Mujhe Woh Apney Ansoun Main Bhi Pata Nahin Hoga

                            Apney Naam Ko Main uske Naam Se Jor Daiti Hon
                            Merey Aur uske Rishtey Ka usey Kheyal Bhi Ata Nahi Hoga

                            Jisko Mana Hey Mainey Sabab Mussarat-e-Zindagi
                            Woh To Mujhe Apna Dukh Bhi Maanta Nahin Hoga

                            Ban Chuka Hey Woh Meri Manzil Meri Taqdeer
                            Kabhi Bhi Juda Rastoon Ko Meri Terah Woh Aik Karta Nahi Hoga

                            Itni Door Hey Mujhse Phir Bhi Merey Kitney Kareeb Hey
                            us Ne To Kabhi Mujhe Mehsoos Hi Kia Nahi Hoga

                            Tumne To Aafi Apney Wajood Ko Rang Dia Hey uski Chah Main
                            Kabhi Socha Hey Tumne Woh Shaks Tumse Pyar Karta Bhi Hoga?
                            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                            Comment


                            • #15
                              Re: Dil_E_Veeran Ki Diary Sai Intekhaab .

                              Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                              Comment

                              Working...
                              X