Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

......HurtedSoul Ka Intikhaab.......

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • ......HurtedSoul Ka Intikhaab.......

    yaad nahin kya kya dekha tha saray manzar bhool gaye
    us ki galiyoon say jab lautay apna bhi ghar bhool gaye

    Khoob gaye pardes kay apnay divaar-o-dar bhool gaye
    shish-mahal nay aisa ghera mittii kay ghar bhool gaye

    tujh ko bhi jab apni qasmain apnay waday yaad nahin
    ham bhi apnay Khuwaab teri aankhoon mein rakh kar bhool gaye

    mujh ko jinhoonay qatl kiya hai koi unhain batlaye "Nazeer"
    meri laash kay pahlu main woh apna Khanjar bhool gaye

  • #2
    Re: yaad..............

    :welcome: ...
    and nice sharing..
    khush rahiye..
    wasalam..:)

    Comment


    • #3
      Itni muddat bad mile...........

      Itni muddat bad mile ho,kin sochoon mein guum phirte ho
      itne khaaef kion rehte ho, har aahat say darr jate ho
      tez hawa nay poocha mujh say, rait pay kiya likhti rehti ho
      kaash koi hum say yeh bhi poochay, raat bhar tak kion jagti ho

      Kaisay kahoon main akaili hun tujh bin aay dost meray
      saaya ban kar sath meray, har pal tum to rehtay ho.

      Main dariyaa say darrti hun, tum dariyaa say bhi gehray ho
      koun se baat hai tum mein aisi, itnay achay kion lagtay ho.

      Meray jazboon say kabhi, kabhi meray khiyalon say ulajhtay ho
      kehnay ko rehtay ho dil mein, phir bhi kitney doore rehtay ho.

      Dharrakta hai dil mera bas abb teray hi naam par
      JAAN MERI! tum meray dil mein dharrkan ban kar rehtay ho.

      Hum say na poocho hijar kay qissay, apni kaho tum kaisay ho
      tum ziddi bahot ho, jaisay ho, phir bhi achay lagtay ho

      Comment


      • #4
        **Hurted Soul Ka Intikhaab**

        khushboo huye gulab se aagay nikal gay
        tum se milley to khawab se aagay nikal gay
        chaltey they neend mein bhi jo mehtab ki taraf
        jagay to mehtab se aagay nikal gay
        manga jawab us ne jab apne sawal ka
        chup reh ke hum jawab se aagay nikal gay
        phir yeh hua ke shab dhaley barish ke shoor mein
        badal had-e-sahab se aagay nikal gay
        paband ker saka koi pehra na mouj ko
        darya kinara-e-aab se aagay nikal gay
        ruhi hum aap apne  muqabil huye to phir
        khud apni hi kitaab se aagay nikal gay...

        Comment


        • #5
          Re: Aik Ghazal

          :welcome: on pegham.....
          bohot ache ghazal share ke hai...keep sharing..:)
          sigpic


          Comment


          • #6
            Re: Aik Ghazal

            very nice

            Comment


            • #7
              Re: Aik Ghazal

              manga jawab us ne jab apne sawal ka
              chup reh ke hum jawab se aagay nikal gay
              bauht khoob

              Comment


              • #8
                Re: Aik Ghazal

                Originally posted by HurtedSoul View Post
                khushboo huye gulab se aagay nikal gay
                tum se milley to khawab se aagay nikal gay
                chaltey they neend mein bhi jo mehtab ki taraf
                jagay to mehtab se aagay nikal gay
                manga jawab us ne jab apne sawal ka
                chup reh ke hum jawab se aagay nikal gay
                phir yeh hua ke shab dhaley barish ke shoor mein
                badal had-e-sahab se aagay nikal gay
                paband ker saka koi pehra na mouj ko
                darya kinara-e-aab se aagay nikal gay
                ruhi hum aap apne  muqabil huye to phir
                khud apni hi kitaab se aagay nikal gay...


                BOHAT HI KHOOOOOOB SORA TGHAZAL HAI

                Comment


                • #9
                  Re: Aik Ghazal

                  hmmm nice sharing

                  Comment


                  • #10
                    Re: Aik Ghazal

                    ruhi hum aap apne  muqabil huye to phir
                    khud apni hi kitaab se aagay nikal gay...
                    waisay ghazal achi hay laikin is line ka kia matlab hay bhai
                    Ya Allah Hamari Madad Kar

                    Comment


                    • #11
                      Re: Aik Ghazal

                      bohoot pyaari Gazal hai

                      .

                      Comment


                      • #12
                        Re: Aik Ghazal

                        v. nice
                        Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                        Comment

                        Working...
                        X