kabhi zindagi ki bheer sey alag ho key
kabhi apney kamrey main tanha ro key
kabhi batoon hi batoon main
kabhi yun beydihaani main
kabhi ek beyqarari sey
kabhi kisi dil nasheen lehjey k saher main
kabhi kisi sooraj ko dobtey dekh k
kabhi akheley fursat main
kabhi bey intiha masroofiyat main
kabhi kisi khatt ko parh k
kabhi kisi se bitchar k
kabhi aainey main sanwar k
kabhi chandni ratoon main
kabhi beegtey howay barsatoon main
kabhi dostoon se miltey huhey
kabhi sahil pe chaltey huhey
kya tumne yeh soocha
k kyun tum se wabasta her yaad ko main aisey sanhbhalti hoon
jaisey koi apni sab se qeemati cheez ko zamaney se chupa k rakhey
ta k dil ko kabhi in yadoon se gafil na honey dey
kabhi kabhi tum soochtay hogay k kitni pagal larki hai
jo mere likhey her lafz ko ratoon ko uth uth kar parhti hai
jo mujh se suni har baat aik muqaddus nishani ki tarah mehfooz rakhti hai
jo har us din ka hisaab rakhti hai jab woh meri awaz sunti hai
jo har us lamhey ko zingadi maanti hai jab main us k pass hota hoon
jis k saarey raastey meri hi manzil ki taraf khatam hotey hai
jis k liye zindagi mere hi naam main pehwast ho k reh gahi hai
jo mari pasand ko aisey apnati hai jaisay us ne hamesha se wahi cheez chahi ho
jis ka wajood har lamha dua go rehta hai meri kushi k liye
lekin in sab batoon k bawajood
main tum se kuch bhi nahi mangti
na meri wafahoon ka sila
na mere likhey kisi katt ka jawab
na meri mohabbat pe yaqeen
na mere kisi pal ka hisaab
bus chaho to itna karna
meri tarah kabhi bahut hi beqarar ho k
mujhey apney dil k woh saarey ehsasaat likh dena
jo tum mere liye mehsoos kartay ho
jo sirf mere liye hai
mere liye
sirf mere liye....

Comment