Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mehrbaan Larkiyo

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mehrbaan Larkiyo

    :)
    Attached Files
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Re: Mehrbaan Larkiyo

    wah Masood bhai toote hoe dil se to yahi sada nikalti hay .....:)
    Allah

    Comment

    • #3
      Re: Mehrbaan Larkiyo

      aslaam_u_alikam

      aap lerkiyun sey itnaa kiyun khafaa hain:(
      sabhi lerkiyaaN aik jesii nahin hotien:eye:

      Comment

      • #4
        Re: Mehrbaan Larkiyo

        Hmmmmm .....likha huwa to acha hai magar sacha nahi

        Lerkian aisa nahi kerti, yeh sab jhoot hai mana ke kuch lerkian aisi hain jo aisa kerti hain, magar oun ke is attitude ko pyar samajhna aur phir bewafayi ak gila kerna bewaqoogi hai kiu ke aisi lerkian to pyar ka matlab janti hi nahi, oun ke liyeh yeh sab TP hota hai. Aur akser aisa hota hai ke jo pyar ko samajhti to hain magar nibha nahi pati kiu wo kamzor aur bebas hoti hain magar bewaaf nahi, khudh bewafayi ker ke ilzam dosron ko nahi deti.

        In janab ne pata nahi kiu yeh sab likha , ab mei kuch kehna nahi chahti in ko ..
        sigpic

        Comment

        • #5
          Re: Mehrbaan Larkiyo

          Originally posted by Saima Shaheen

          Saima aap ki baat ko main samajh sakta hoon keh aap kahan per hain, magar haqaeeq iskey bar-aks bhi hain. Larkiyaan bewafaee bhi karti hai jaisa keh shair kehta hai:

          "muslehat ki rida taan kar"

          Jab larkiyaan apni wafa nibhaa nahin saktin to woh muslehat ki rida taan leti hain. Larkiyaan hi muhabbat mein jazbati hoti hai aur muhabbat mein haqeeqat ko nahin maanti, magar jab un per haqeeqat khulti hai to unhein bohat sey muslehatein yaad aa jati hain. Kaheen waldein, kaheen samajh, kaheen sharm-o-hayya aur kaheen kuchh. Dar-asl unki muhabbat maand parr jati hai aur haqeeqat aaskhar honey lagti hai to woh apna rukh badal leti hain. I KNOW you are not agree - you don't have to be. But kuchh batein haqeeqat hoti hain. Yaad rakhein:

          Chahat mein kya duniyadari ishq mein kaisi majboori
          logon ka kiya samjhaney do unki apni majboori
          jab tak hansta gata mausam apna hai sab apney hain
          waqt parrey to yaad aa jati hai majboori hi majboori
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Mehrbaan Larkiyo

            Originally posted by Fatimah
            aslaam_u_alikam

            aap lerkiyun sey itnaa kiyun khafaa hain:(
            sabhi lerkiyaaN aik jesii nahin hotien:eye:
            Nahin fatimah main ney kab kaha keh sab larkiyaan aik si hoti hain, nahin hoti - magar karti aik sa hai :eye: :eye:
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: Mehrbaan Larkiyo

              Originally posted by Masood
              Saima aap ki baat ko main samajh sakta hoon keh aap kahan per hain, magar haqaeeq iskey bar-aks bhi hain. Larkiyaan bewafaee bhi karti hai jaisa keh shair kehta hai:

              "muslehat ki rida taan kar"

              Jab larkiyaan apni wafa nibhaa nahin saktin to woh muslehat ki rida taan leti hain. Larkiyaan hi muhabbat mein jazbati hoti hai aur muhabbat mein haqeeqat ko nahin maanti, magar jab un per haqeeqat khulti hai to unhein bohat sey muslehatein yaad aa jati hain. Kaheen waldein, kaheen samajh, kaheen sharm-o-hayya aur kaheen kuchh. Dar-asl unki muhabbat maand parr jati hai aur haqeeqat aaskhar honey lagti hai to woh apna rukh badal leti hain. I KNOW you are not agree - you don't have to be. But kuchh batein haqeeqat hoti hain. Yaad rakhein:

              Chahat mein kya duniyadari ishq mein kaisi majboori
              logon ka kiya samjhaney do unki apni majboori
              jab tak hansta gata mausam apna hai sab apney hain
              waqt parrey to yaad aa jati hai majboori hi majboori

              Is ka jawab U ko kal a ker doon gi :fuming: :hathora
              sigpic

              Comment

              • #8
                Re: Mehrbaan Larkiyo

                Originally posted by Saima Shaheen
                Is ka jawab U ko kal a ker doon gi :fuming: :hathora
                Allah Khair :eye: main kal beemari ki chhuti per hoon :lol
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Re: Mehrbaan Larkiyo

                  Assalaam o alekum,

                  waaah waah bahooot khoob masood bhai zabardast shaayer nien bahooot khoob likhaa hai aur uss bewafaa ko duaayien bhi di bahooot dileraa shaayer hain bhai shukriyaa humse share kernien kaa khush rahien:)

                  aur haan saima shayer nien her larki ke liye nahin kahaa hai ho saktaa hai shaayer ke saath usski mehboobaa nien aisa kiyaa ho aise hi to shaayer hoote hain kabhi dil se aah nikalti hai to kabhi dil se aise kalaam ke loog jhoom uthte hain hope u ll understand khush raho apnien kherche per :tang: :)
                  :tang: RISK IS MY BUSINESS

                  DANGER IS MY GAME

                  DONT PLAY WITH ME
                  BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                  Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                  Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mehrbaan Larkiyo

                    nice ghazal Masood bhai :)

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mehrbaan Larkiyo

                      Originally posted by Masood
                      Allah Khair :eye: main kal beemari ki chhuti per hoon :lol
                      U ki sari bemarion ka ilaj hai mere pass :hathora

                      Originally posted by Masood
                      Jab larkiyaan apni wafa nibhaa nahin saktin to woh muslehat ki rida taan leti hain. Larkiyaan hi muhabbat mein jazbati hoti hai aur muhabbat mein haqeeqat ko nahin maanti, magar jab un per haqeeqat khulti hai to unhein bohat sey muslehatein yaad aa jati hain. Kaheen waldein, kaheen samajh, kaheen sharm-o-hayya aur kaheen kuchh. Dar-asl unki muhabbat maand parr jati hai aur haqeeqat aaskhar honey lagti hai to woh apna rukh badal leti hain. I KNOW you are not agree - you don't have to be. But kuchh batein haqeeqat hoti hain. Yaad rakhein:

                      Chahat mein kya duniyadari ishq mein kaisi majboori
                      logon ka kiya samjhaney do unki apni majboori
                      jab tak hansta gata mausam apna hai sab apney hain
                      waqt parrey to yaad aa jati hai majboori hi majboori

                      Lerkion ki majboorian hoti hain, aur yeh oun ke bass mei nahi hota , lerkian kabhi apni zindagi ke faislon mei mukamal torr per khudmukhtar nahi hoti, Waldein ki marzi oun per lagoo hoti hai, unlike boys ..lerkey maan baap ke khilaf ja ker bhi apni her khwahish aur khushi poori kertey hain, lerkian aisa nahi kerti. Rahi baat Sharm-o-haya ki to haan yeh bhi lerki mei honi chahiyeh, aap ka kya matlab hai ek lerki bas mohabbat ke naam per apni sari hadein parr ker dai apney mehboob ke liyeh, aur baad mei ager wo ous lerki ko apnaney yaan sahara dene se inkar ker dai to........ ek taraf yeh aur dosri taraf ager koi lerki sharm ki hado'n ko paar ker bhi lai tab bhi aap log hi ouse ilzam detey ho ke is ka kirdar dagh-daar hai .... kisi ek baat per to aap log bhi thehro na :fuming: :hathora

                      Rahi baat lerkio ke rukh badalney ki to akser yahi dekha gaya hai ke lerkey mohabbat mei jazbati ho ker barey barey waday to ker letey hai magar jab nibhaney ka waqt aata hai to her roz ek naya bahana ker ke tal'tey hain is doran ager lerki naumeed ho ker haqeeqat ka idrak ker ke apna rukh badal leti hai to mei ousey bewafa yaan galat nahi sensable kahoon gi ...lerkion ko i lzam dene se pehley khudh samjho wafa kya hoti hai :zuban: :tomato: :hathora
                      sigpic

                      Comment

                      • #12
                        Re: Mehrbaan Larkiyo

                        Originally posted by khurram_shaikh

                        aur haan saima shayer nien her larki ke liye nahin kahaa hai ho saktaa hai shaayer ke saath usski mehboobaa nien aisa kiyaa ho aise hi to shaayer hoote hain kabhi dil se aah nikalti hai to kabhi dil se aise kalaam ke loog jhoom uthte hain hope u ll understand khush raho apnien kherche per :tang: :)
                        bewaqoof shair .......her kisi se dil laga letey hain, phir jab chot khatey hain to yahi hota hai :zuban: :tomato:

                        apney kharchey per hi khush hoon, aaj tak mera kharcha aap ne to nahi outhaya tha
                        sigpic

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mehrbaan Larkiyo

                          Originally posted by Masood
                          Nahin fatimah main ney kab kaha keh sab larkiyaan aik si hoti hain, nahin hoti - magar karti aik sa hai :eye: :eye:
                          yeh kya baat hui masood keh sab aik sa karti hain :donno: yeh to koi baat na hui na.. jaise har larki aik jaisi nahin hoti waise hi aik jaisa karti bhi nahin. :)
                          Aur kya kasoor hamesha larkiyoon ka hi hota hai larkon ka nahin?
                          :rose

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mehrbaan Larkiyo

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            U ki sari bemarion ka ilaj hai mere pass :hathora

                            Lerkion ki majboorian hoti hain, aur yeh oun ke bass mei nahi hota , lerkian kabhi apni zindagi ke faislon mei mukamal torr per khudmukhtar nahi hoti, Waldein ki marzi oun per lagoo hoti hai, unlike boys ..lerkey maan baap ke khilaf ja ker bhi apni her khwahish aur khushi poori kertey hain, lerkian aisa nahi kerti. Rahi baat Sharm-o-haya ki to haan yeh bhi lerki mei honi chahiyeh, aap ka kya matlab hai ek lerki bas mohabbat ke naam per apni sari hadein parr ker dai apney mehboob ke liyeh, aur baad mei ager wo ous lerki ko apnaney yaan sahara dene se inkar ker dai to........ ek taraf yeh aur dosri taraf ager koi lerki sharm ki hado'n ko paar ker bhi lai tab bhi aap log hi ouse ilzam detey ho ke is ka kirdar dagh-daar hai .... kisi ek baat per to aap log bhi thehro na :fuming: :hathora

                            Rahi baat lerkio ke rukh badalney ki to akser yahi dekha gaya hai ke lerkey mohabbat mei jazbati ho ker barey barey waday to ker letey hai magar jab nibhaney ka waqt aata hai to her roz ek naya bahana ker ke tal'tey hain is doran ager lerki naumeed ho ker haqeeqat ka idrak ker ke apna rukh badal leti hai to mei ousey bewafa yaan galat nahi sensable kahoon gi ...lerkion ko i lzam dene se pehley khudh samjho wafa kya hoti hai :zuban: :tomato: :hathora
                            Kisi key dil key saath khailna kaisey unkey bas mein hota hai? Kisi ko bhari mehfil mein thukraa dena unkey bas mein hota hai? apna qurb dey kar us sey jaan chhurra lena unkey bas mein hota hai!!! Larkiyaan bohat kuchh kar sakti hain agar khud chahein to, haan unkey dil bhar jatey hain to majbooriyan aarey aa jati hain :). Karney wali to na-janey kya kya kar jati hain, aur yeh baat bhi darj hai keh larkey bhi apni muhabbat ki qurbani detey hain, larki jab junoon ki hadon ko pohanch jaey to ussey seedhey raastey per daaltey hain :). Jo kisi ko ilzam detey hain woh khud haqeeqat sey nazar churatey hain. Jahan muhabbat ho wahan yeh batein nahin hoti. Yahan per agar yeh kaam larkey kartey hain to larkiyaan kisi tor kam nahin hain. Larkiyaan khud kuchh nahin karti bas qismat ko ilzam dena shuru kar deti hain keh qismat peh yaqin nahin ya qismat ko manzoor nahin.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mehrbaan Larkiyo

                              Originally posted by Mehak
                              yeh kya baat hui masood keh sab aik sa karti hain :donno: yeh to koi baat na hui na.. jaise har larki aik jaisi nahin hoti waise hi aik jaisa karti bhi nahin. :)
                              Aur kya kasoor hamesha larkiyoon ka hi hota hai larkon ka nahin?
                              Drust kehti hain aap - na har larki aisi hoti hai na har larka :)

                              Working...
                              X