Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Sahil Haider >> Ki Pasand

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Sahil Haider >> Ki Pasand




    Hum Jo Toote To Is Tarah Toote
    Jaise Hathon Se Girr K Pathar Pe
    Koi Shafaaf Aaiina Toote
    Jaise Palkon Se Toot Tha Aansoo
    Jaise Seene Main Ik Kamaan Toote
    Jaise Umeed Ki Nazuk Daali
    Barg Mosam Main Na Gahaan Toote
    Jaise Aankhon Main Khwab Ki Doori
    Waqt E Takmeel Se Ulajh Jaye
    Jaise Pairon Tale Zameeen Nikle
    Jaise Sar Par Yeh Aasmaan Toote
    Jaise Ik Shaakh Pe Bharosa Kia
    Is Pe Jitne Thay Aashiyaan Toote
    Jaise Wehshat Se Hosh Aa Jaye
    Jaise Ta Dair Main Dheyaan Toote
    Ab Jo Raiza Howay To Sochte Hain
    Kis Nay Dekha Tha Tootna Apna
    Hum Jo Toote To Raayegaan Toote

  • #2
    Re: Meri Pasand

    very nice

    Comment


    • #3
      Re: Meri Pasand

      beautiful but very touchy

      Comment


      • #4
        Re: Meri Pasand

        Bohatt Bohatt Shukriaa Janaab Pasand Karnay Ka,

        Comment


        • #5
          Re: Meri Pasand



          Ye Raakh Raakh Ruttein, Apni Raat Ki Qismat
          Tum Apni Neend Bujhaa,o, Tum Apnay Khuaab Chuno
          Bikherti Doobti Nabzoon Pe Dhiyaan Kiya Dena
          Tum Apnay Dil Main Dharaktay Hovay Haroof Suno
          Tumharay Shehar Ki GaliyooN Main Sail-E-Rang Bakhair
          Tumharay Naqsh-E-Qadam Phool Phool Khiltay Rahien
          Woh Rahguzar Jahan Tum Lamha Bhar Thehar Kay Chalo
          Wahan Pe Abar Jhukein, Aasmaan Miltey Rahien
          NahiN Zaroori Kay Har Ajnabi Ki Baat Suno
          Har Aik Sadaa Pe Dharakna Bhi Dil Ka Farz Nahin
          Sukoot-E-Hulqa-E-Zanjeer-E-Darr Bhi KiyoN Tootay
          Sabaa Ka Saath Nibhaana Junoon Ka Qarz Nahin
          Hum Aisay Log Bohat HaiN Jo Sochtay Hi Nahin
          Kay Umer Kaisey Kati, Kis Kay Saath Beet Gayee
          Hamari Tushna-Labi Ka Mizaaj Kiya Jaanay
          Kay Fasal-E-Bakhshish-E- Moj-E-Furaat Beet Gayee
          Ye Aik Pal Tha Jissay Tu Nay Nooch Dala Hay
          Woh Aik Sadii Thee Jo Bay-Iltifaat Beet Gayee
          Hamari Aankh Lahoo Hay, Tumhein Khaber Hogi
          Chiraagh Khud Se Bujha Hay Kay Raat Beet Gayee

          Comment


          • #6
            Re: Meri Pasand

            Buhat Khoob Janab

            Comment


            • #7
              Re: Meri Pasand

              bohat khoob :rose )

              Originally posted by Sahil Haider View Post


              Ye Raakh Raakh Ruttein, Apni Raat Ki Qismat
              Tum Apni Neend Bujhaa,o, Tum Apnay Khuaab Chuno
              Bikherti Doobti Nabzoon Pe Dhiyaan Kiya Dena
              Tum Apnay Dil Main Dharaktay Hovay Haroof Suno
              Tumharay Shehar Ki GaliyooN Main Sail-E-Rang Bakhair
              Tumharay Naqsh-E-Qadam Phool Phool Khiltay Rahien
              Woh Rahguzar Jahan Tum Lamha Bhar Thehar Kay Chalo
              Wahan Pe Abar Jhukein, Aasmaan Miltey Rahien
              NahiN Zaroori Kay Har Ajnabi Ki Baat Suno
              Har Aik Sadaa Pe Dharakna Bhi Dil Ka Farz Nahin
              Sukoot-E-Hulqa-E-Zanjeer-E-Darr Bhi KiyoN Tootay
              Sabaa Ka Saath Nibhaana Junoon Ka Qarz Nahin
              Hum Aisay Log Bohat HaiN Jo Sochtay Hi Nahin
              Kay Umer Kaisey Kati, Kis Kay Saath Beet Gayee
              Hamari Tushna-Labi Ka Mizaaj Kiya Jaanay
              Kay Fasal-E-Bakhshish-E- Moj-E-Furaat Beet Gayee
              Ye Aik Pal Tha Jissay Tu Nay Nooch Dala Hay
              Woh Aik Sadii Thee Jo Bay-Iltifaat Beet Gayee
              Hamari Aankh Lahoo Hay, Tumhein Khaber Hogi
              Chiraagh Khud Se Bujha Hay Kay Raat Beet Gayee

              Comment


              • #8
                Re: Meri Pasand

                hmm.... buht khubsurat pasand hai.... :rose
                u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                :pr:

                Comment


                • #9
                  Re: Meri Pasand

                  Bohatt Bohatt Shukriaa Janab,Aap Sab Ka,
                  Khush Rahiye,

                  Comment


                  • #10
                    Re: Meri Pasand




                    Kabhi Yaad Aao To Is Tarah
                    K Lahu Ki Saari Tamaaztain
                    Tumhain Dhoop Dhoop Smait Lain
                    Tumhian Rang Rang Nikhaar Dain
                    Tumhain Harf Harf Main Noch Lain
                    K Diyaar E Hijar Ki Tairagiii
                    Ko Palak Ki Nok Se Noch Lain

                    Kabhi Yaad Aao To Is Tarah

                    K Dil O Nazar Main Sama Sako
                    Kabhi Had Se Jab Yeh Junoon Badhe
                    To Hawas Ban K Bikhar Sako
                    Kabhi Khul Sako Shab E Wasl Main
                    Kabhi Khoon E Dil Main Sanwar Sako
                    Sar E Rahguzar Jo Kabhi Milo
                    Na Tehar Sako Na Guzar Sako

                    Kabhi Yaad Aao To Is Tarah

                    Mera Dard Phir Se Ghazal Bane
                    Kabhi Gungunaao To Is Tarah
                    Mere Zakhm Phir Se Gulaab Hoon
                    Kabhi Muskurao To Is Tarah
                    Meri Dhadkanain Bhi Laraz Uthain
                    Kabhi Chaut Khao To Is Tara

                    Kabhi Yaad Aao To Is Tarah

                    Na Ujad Sakain Na Sanwar Sakain
                    Kabhi Dil Dukhao To Is Tarah
                    Na Simatt Sakain Na Bikhar Sakain
                    kabhi Bhool Jao To Is Tarah
                    Kisi Taur Jaan Se Guzar Sakain

                    Kabhi Yaad Aao To Is Tarah

                    Jo Nahi To Phirr Bade Shauq Se
                    Sabhi Raabte Sabhi Zaabte
                    Kabhi Dhop Chaa,on Main Todd Do
                    Na Shikastt E Dil Ka Sitam Kaho
                    Na Suno Kisi Ka Azaab E Jaan
                    Na Kisi Se Dil Ki Khalish Kaho

                    Yoon Hii Khush Raho, Yoon Hi Khush Raho

                    Comment


                    • #11
                      Re: Meri Pasand

                      Comment


                      • #12
                        Re: Sahil Haider >> Ki Pasand

                        bht nice hain sub ki sub.i like so muchhhhhhhhhhhhhh

                        Comment


                        • #13
                          Re: Sahil Haider >> Ki Pasand

                          v nice
                          Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                          Comment


                          • #14
                            Re: Sahil Haider >> Ki Pasand

                            bohat acha ha jee

                            Comment


                            • #15
                              Re: Sahil Haider >> Ki Pasand

                              Bohatt Bohatt Shukriaa Aap Sab Ki Pasand Deedagii Ka..

                              Comment

                              Working...
                              X