Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

"Muzafarmohsin" Ka Intikhaab

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • "Muzafarmohsin" Ka Intikhaab

    BAARISH KE AANE SE MEN BHEEGH JAATA HON.
    SARDEE LAGTI HA MEN THAR THARRATA HON..

    Baarish Jab Aai Teri Yaad Bhi Laaee
    Kuch kuch Hone lagee Kam Ye Tanhaee.

    Mujhey Bheegh Jaane Ka Afsos Na Koi Gham
    Mere Thar Tharrane Pa Ankhen Bhi Hui Naa Nam.

    Teri Yaad aa Jane Se Ankhon Se Bahe ANSOO
    Teri Yaad Rahi Jab Tak,ANKHON Men Rahe Ansoo.

    ----===Hafiz Muzaffar Mohsin===----

  • #2
    Re: Baarish Aur Aansoo.

    great.
    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

    Comment


    • #3
      Re: Baarish Aur Aansoo.

      Thanks a lot Brother

      Comment


      • #4
        "Muzafarmohsin" Ka Intikhaab

        SAAZ Bajane Waala Ik Mazdoor tha Woh.
        RAAT Ke Pichley Pehar Usey thakawat ne.
        Roka,Aur woh SAAZ Bajaana Chor Gia .
        Yaani SAAZ Se apna Rishta Tor Gia??
        Neend Aai To Neend Ne kia Usey bebas.
        Us Ki Bebas Surkhi Maayal Ankhon Se?
        Lagta Tha Ke Khoon Behne Lag Jaaey ga!
        Aur Bechaara kABHI BHI dEKH NA pAAEY GA?
        Mera GEET To Yaaro Phir Bhi Jaari Tha!
        Aik Anokha Rang Sa Mujh Pa taari Tha?
        Kaun Ke Mera GEET tha Ik Dil ki Aawaz.
        Woh AAWAZ NA Jis Par Kaaboo hota ha?!
        GAATA NAHI FANKAAR ASAL MEN ROTTA HA??!!
        ----===Hafiz Muzaffar Mohsin====---

        Comment


        • #5
          Bay Bas Chaand...???!!!

          CHAAND NE APNI ZAMEEN KA AADHA HISSA...
          DARTEY DARTEY...CHUPKEY CHUPKEY...!
          HAN....YEH KEHTEY HUEY....
          KAL SHAAM KE BAAD...
          BAYCH DAALLA HA SOORAJ KO..
          YEH AOWNEY POWNEY...???!!!
          "KAL KO AMMRICCA NE IRAAN KE BAAD..
          MUJH PAY BHI QABBZA JAMMANEY KI SAAEE
          KARNEE HA"...?!
          "MUJH SEY BAY BASS KO KHUDDAYA RAKHNA MEHFOOZ."??!!

          -------===Hafiz Muzaffar Mohsin===-----

          Comment


          • #6
            Re: "Muzafarmohsin" Ka Intikhaab

            U arte well come and great neew ones.
            YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

            Comment


            • #7
              Re: "Muzafarmohsin" Ka Intikhaab

              Thanks a lot

              Comment


              • #8
                Re: "Muzafarmohsin" Ka Intikhaab

                Dear Men Yahaan Yeh Waazeh Kar dena Chahta hoon ke Yeh Meri Apni Poetry ha Aur yeh teenon Nazmen Taza qalaam Ha.

                Comment


                • #9
                  Dil Na Dukhaoo

                  Nai Nazm Pegham Ke Liey.
                  -----------------------------
                  Khusk Patton Ko jab Massla.
                  Woh Dard Keh Maarey Cheekhey..
                  Men Ne Samjha Sard Hawa ha ..!
                  Aur ha Shaur Machaatti..
                  Maut Zadda Bhi Chaut Lage Tau..
                  DARD Se Chillatte hen..
                  Ghaur kia Tau samajh Men aaya.
                  Jo Cheesen Beh Jaan Lagen.
                  Tum Kabhi Unhen Mat kuchloo..
                  ALLAH Ki Makhlooq Ha Saari..
                  PAUDDE<INSAAN<JIN<PRIND..
                  Haan In Men Insaan Ha Afzal..
                  Us Ka DIL na Dukhaoo..
                  Doosron Ko bhi Insaan samjhoo.
                  Khud Insaan Ban jaaoo.

                  ---===Hafiz Muzaffar Mohsin===---

                  Comment


                  • #10
                    Re: &quot;Muzafarmohsin&quot; Ka Intikhaab

                    GREAt..
                    YOUR SIGNATURE HAS BEEN DELETED BY THE ADMIN.

                    Comment


                    • #11
                      Re: &quot;Muzafarmohsin&quot; Ka Intikhaab

                      thanks

                      Comment


                      • #12
                        Achha Lagta Ha..?

                        Kabhi Gar Aankh Khul Jaaey
                        Tujhey Us Pur Sakoon
                        Aaraam Deh Maahol Men Ghi.
                        Yaad Aaoon ga
                        Men Aksar Yaad aaoon ga..
                        Tum Aisey Men
                        Tarapna Mat...Aur Mat Ronna..
                        Keh Aankhen Bheegh Jaaney Se..
                        Terey Chhrey Pay Raunaq..
                        ROSHNEE..Kuch Aur Bharthe Ha..
                        Mujhey Jo Tang Kartee Ha..
                        Yeh.. sach Ha..
                        Tere Haathon Tang Honna..
                        ACHHA LAGHTA HA..?!

                        ===---Hafiz Muzaffar Mohsin===---

                        Comment


                        • #13
                          Re: &quot;Muzafarmohsin&quot; Ka Intikhaab

                          Sir I Would Like To Explain Here that All These Poems are My Own Creations Not Intikhaab.A New Poem Is Also Here For you.
                          "DEEWAANEY KI MAUT"

                          Tere Peeche bhagaa Men
                          Aur rassta Bhool Gia..?
                          Gard Se att Gaey Baal Mere
                          Dhool Pari Aankhon Men
                          Thak Haar KE Jabh Men Betha
                          Aise Men too aaee..!
                          Tera Aanaa ...Rasm Nibhana.
                          Waapis Laut Ke Jaana...
                          Jaan Pay Khail Ke Milne waali.
                          Daulat Jab chin Jaaey..?
                          Kaisey Koi Bach Paaey...
                          Aansoo Bahaey...Rotta Jaaey..!
                          Jab Naa Kuch Ban Paaey...
                          Kaun Na Bechaara DEEWAANE..
                          MAUT KO GAALEY LAGAEY....????
                          ---===Hafiz Muzaffar Mohsin===---

                          Comment


                          • #14
                            Ready Made &quot;raanjha&quot;..?

                            Hen TALAAB Un Machlion Ke wastey Zinda Hen jo..
                            Hen GHULAAB Un Aashikon Ke wastey Dilgeer Hen..

                            Har Ghari tayyar hen jo RANJHA Bananey Ke Liey..
                            "Chahey Maren Jutian Sab"Phir Bhi un ki Heer hen..?
                            ---===Hafiz Muzaffar Mohsin===---

                            Comment


                            • #15
                              Ansoo Nasha Hen..??

                              Ansoo Nasha Ha...?
                              MUHABBAT Keh Benaam Jazbon Ki Khaatir..?

                              Jo Behtey Huey Bhool Jatte Hen..
                              Kab Se Woh Yun Bhe Rahey Hen..?

                              Kai Lambbi Tanhaion Se Woh Labrez Raatten..
                              Jo In Aansoon Ka Sahaara Liey...?

                              Cat Rahi Hen...
                              Kab Tak Naa Jaane Yeh Aansoo Yun Hi..??

                              Sath Dette Rahen Ge..?
                              Yeh Aansoo Yeh Mushkil Kab Tak Sahen Ge..?

                              ---===Hafiz Muzaffar Mohsin===---

                              Comment

                              Working...
                              X