Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    Ashk aj phir mery ankhoon say beh nikly
    dua karo mery ishq ka janaza kabhy is tarah na nikly


    jo bhrosa mainy tum par kia tha
    woh bhrosa khuda kary qaim rahy

    tum agar gheroon ke hogye to
    main bhe na jee paonga apnoo main

    main to aya tha us ke liye
    jis nay boht pehly ansoon say alwida kia tha mujhy
    magar aj tujh main boht farq pata hoon main

    kia ye shehir jo mohbatoon ka ameen hay
    jahan kabhy shahoon ke mohabat parwan chadhy the

    kia mery mohbat ko kha gaya
    kia us nay mery sanam ko badal dala

    khuda kary mera khayal ghalat ho
    mily mujhy mera sanam dua karo

    jis tarah samander ke lehreen milty hain sameer
    hoker be qarar kinary say lipat jaty hain....!

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***


      wo jo kisi shair nay khoob kaha hay
      pora shair nahi yaad
      .....................................
      mat paro ishq k azabon main
      umar kat'ti hay un ki kaanto'n pay
      phool rakhtay hain jo kitaabon main
      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        Originally posted by Dil_E_Veran View Post
        wo jo kisi shair nay khoob kaha hay
        pora shair nahi yaad
        .....................................
        mat paro ishq k azabon main
        umar kat'ti hay un ki kaanto'n pay
        phool rakhtay hain jo kitaabon main
        jan boojh kr kon woh diya jalata hia k jis sey ashiyana jal jayee..
        pr ghum naa hoo tu jeney ka maza bhi kyaa
        wiasey..ghum-e-rozgar sey ishq hi azab dey raha haii :)

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          Originally posted by aquari View Post
          Ashk aj phir mery ankhoon say beh nikly
          dua karo mery ishq ka janaza kabhy is tarah na nikly


          jo bhrosa mainy tum par kia tha
          woh bhrosa khuda kary qaim rahy

          tum agar gheroon ke hogye to
          main bhe na jee paonga apnoo main

          main to aya tha us ke liye
          jis nay boht pehly ansoon say alwida kia tha mujhy
          magar aj tujh main boht farq pata hoon main

          kia ye shehir jo mohbatoon ka ameen hay
          jahan kabhy shahoon ke mohabat parwan chadhy the

          kia mery mohbat ko kha gaya
          kia us nay mery sanam ko badal dala

          khuda kary mera khayal ghalat ho
          mily mujhy mera sanam dua karo

          jis tarah samander ke lehreen milty hain sameer
          hoker be qarar kinary say lipat jaty hain....!
          Very Nice Choice:)

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            Originally posted by meiji View Post
            Very Nice Choice:)

            thankyou

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

              [COLOR="DarkRed"]Pathar bana dia muje rone nahin diya
              damaan bhi tere gham ne bighone nahin diya

              tanhaiyan tumhara pata poochhti rahe
              shaab bhar tumhari yaad ne sone nahin diya

              ankhon me aakar beth gayi annsoon ki lehar
              palkon pe koi khwaab pe rone nahin diya

              dil ko tumhare naam ke ansoo aziz the
              duniya ka dard dil me samone nahin diya

              Yaaro yoon uski yaad chali haath thaam ke
              mele mein is jahan ke khone nahin diya..[/
              COLOR]

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                Chahte hue bhi jo baat lab par na aye
                Shair ka naam de kar hum keh jate hain,
                Yeh kitne ajeeb hain hum ahl-e-wafa log
                Hanste hue har zulm-o-sitm seh jate hain!

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  dard kii had se guzaranaa to abhii baaqii hai
                  TuuT kar meraa bikharanaa to abhii baaqii hai
                  paas aake meraa dukh-dard banTaanevaale
                  mujhase kataraa ke guzaranaa to abhii baaqii hai
                  chandd sheron mein kahaaN Dhalatii hai ehasaas kii aag
                  Gamm kaa ye rang nikharanaa to abhii baaqii hai
                  rang-e-rusvaa_ii sahii shahar kii diivaaron par
                  naam us kaa ubharanaa to abhii baaqii hai

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    :salam:
                    Attached Files

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      :rose
                      Attached Files

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        Nice collection u have & also nice taste :rose

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          Originally posted by Mr.Khan View Post
                          Nice collection u have & also nice taste :rose

                          thankyou

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            nice choice hameysha ki trah
                            Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                              nice choice hameysha ki trah
                              shukriya..

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                aseer-e-dasht-e-bala ka na majra kehna
                                tamaam pochhnay walooN ko bas dua kehna

                                ye kehna raat guzarti hay ab bhi aaNkhhooN maiN
                                tumhari yaad ka qaaim hay silsila kehna

                                ye kehna chaand utarta hay baam par ab bhi
                                magar nahi wo shab-e-maah ka maza kehna

                                ye kehna masnd-e-shakh-e- namoo pe tha jo kabhi
                                wo phool sorat-e-khushboo bikhhar gaya kehna

                                ye kehna qarya-e-jaaN maiN haiN dam bakhud sab log
                                tamaam sheher hua maqtal nawa kehna

                                ye kehna hasrat-e-tameer ab bhi hay dil maiN
                                banaliya hay makaN to makaN numa kehna

                                ye kehna ham nay hi tofaaN maiN daal di kashti
                                qusoor apna tha darya ko kiya bura kehna

                                ye kehna ho gaey ham itnay maslehat andesh
                                chalay jo loo to usay bhi khunak hawa kehna

                                ye kehna haar na mani kabhi andherooN say
                                bujhay chiraagh to dil ko jala liya kehna

                                ye kehna tum say bichhaR kar bikhhar gaya tishna
                                ke jesay haath say gir jaey aaina kehna

                                Comment

                                Working...
                                X