Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    ham ko kiske Gam ne maaraa ye kahaanii phir sahii
    kisne tora dil hamaaraa ye kahaanii phir sahii


    dil ke lutane kaa sabab puuchho na sab ke saamne
    naam aayegaa tumhaaraa ye kahaanii phir sahii


    nafaratoon ke tiir khaa kar dostoon ke shahar main
    ham ne kis kis ko pukaaraa ye kahaanii phir sahii


    kyaa bataaye.n pyaar kii baazii wafaa kii raah main
    kaun jiitaa kaun haaraa ye kahaanii phir sahii

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

      Originally posted by aquari View Post
      Haan, Zindagi say Darta hoon
      Zindagi Jo tum bhee ho, Zindagi Jo hum bheee hain
      hum or tum say wabasta khawab na bikhar jaain
      khwab kay bikharnay say, aah kay nikalnay say
      zindagi kay aangan main khamshi kay chanay say
      khamashi say wabasta, Her Ghari say darta hoon


      Ankahi say darta hoon
      Jo abhi nahin aayi , ussi ghari say darta hoon
      uss ghari ki aamad say, phool jo bikhar jayain, bagh jo ujar jayain
      Bagh kay ujarnay say, phool kay bikharnay say
      Uss ghari ki aamad ki aagahi main posheeda
      bay basi say darta hoon

      Aadmi say darta hoon,
      aadmi jo tum bhi ho, aadmi jo hum bhee hain
      aadmi zuban bhi hay, aadmi bayaan bhi hay,
      iss zuban ki talkhi si, iss bayan ki shiddat say, aah jo nikalti hay
      aah say main darta hoon, chah say main darta hoon
      Chah ki tamanna main, zindagi say larnay say
      Zindagi kay hotay bhi, aadmi kay marnay say
      zindagi say darta hoon, aadmi say darta hoon

      Haan, abhi say darta hoon
      Woh abhi jo tum bhi ho, woh abhi jo hum bhi hain
      Hijr kay andheray main, aas kay ujalay hain
      wasl kay ujalay main, aas ki judai say
      Baykhudi say payvasta, Khud ki khudai say
      Main abhi say darta hoon. Khud khudi say darta hoon


      Bhot khoobsoorat Sharing hai aap ki...aaap urdu main kiun nahein compose kertien is say perhne main aur maza aata hai roman main kuch alfaz samjh nahien aate
      sigpic

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        Originally posted by sccorpion81 View Post
        Bhot khoobsoorat Sharing hai aap ki...aaap urdu main kiun nahein compose kertien is say perhne main aur maza aata hai roman main kuch alfaz samjh nahien aate

        thankyou...
        hmm office PC hai inpage download nahi kr saktii

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          bohat hi zabardast janab dil ko cho gaya hai yhe toh

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            Originally posted by i see u View Post
            bohat hi zabardast janab dil ko cho gaya hai yhe toh

            bauht shukriyaa..

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

              Originally posted by aquari View Post
              mai rooth jaun to woh manane nahi aate
              Ulfat ke takajon ko nibhane nahi aate
              Jaalim hai ye woh karam ki koi ummeed nahi hai
              Jo aag lagate hai woh bujhane nahi aate
              Dab kar koi us bheed mein dum tod raha hai
              Masroof hain sab log koi bachane nahi aate
              Nafrat ke andheron mein bhatakte hi rahenge
              Chaahat ke diye jinko jalane nahi aate
              really nice janab
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                larki..:rose hum janaaab aay hien
                yeh bataanay k:D :D
                boht achha intikhaab hay aaaaaap ka:)
                khush raho:)
                and keeeeeeeeep sharing:)

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  Originally posted by sarfraz_qamar View Post
                  really nice janab
                  shukriyaa

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    Originally posted by *Duaa* View Post
                    larki..:rose hum janaaab aay hien
                    yeh bataanay k:D :D
                    boht achha intikhaab hay aaaaaap ka:)
                    khush raho:)
                    and keeeeeeeeep sharing:)

                    ayea ayea...khushamdeed
                    zah-e-naseeb
                    app ki hi kamii thi is mehfil main:phool:
                    app ney aker meri biyazz ki shaan barhaa dii :eye:
                    bauht shukriya...
                    or sharing krney ki koshish last 1week sey kr rahihoo
                    pr yeh zalim waqt

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      :thmbup: Bohat hi Umda:phool:
                      Always be Smile.Amin.:rose
                      :rose :alhamd: :rose
                      Yeh Dunya hay yehan ik doosray kay kaam Ajao
                      yehan kay baad to bas apna apna bojh uthana hay
                      :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose :rose

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        Originally posted by Shiza422 View Post
                        :thmbup: Bohat hi Umda:phool:
                        Always be Smile.Amin.:rose
                        thankyou

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          Hamesha Haar Jaata Hoon...

                          Kisi Sai Piyaar Karta Hoo To Hamesha Haar Jaata Hoon
                          Mai Jitni Baar Karta Hoo Hamesha Haar Jaata Hoon
                          Kabhi Shaam Sai Pahley
                          Kisi Jaana Ki Aankhon Sai
                          Yai Aankhein Chaar Karta Hoo Hamesha Haar Jaata Hoon
                          Kabhi Kisi Mehfil Mai
                          Wafa Ki Guftugu Par
                          Jab Takraar Karta Hoo Hamesha Haar Jaata Hoon
                          Nigaahon Mai To Doosron Sai Baazi Jeet Jaata Hoon
                          To Jab Izhaar Karta Hoo Hamesha Haar Jaata Hoon
                          Kai Shaeed..
                          Iss Defa Koi Mujhe Apna Bana Lai
                          Hamesha Piyaar Karta Hoo Hamesha Haar Jaata Hoon

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            kuch ishq tha kuch majbori thi soo main ne jeewan waar dia
                            main kaisa zinda admi tha ik shakhs ne mujh ko mar dia

                            woh ishq bohat mushkil tha per aasan na tha youn jeena bhi
                            uss ishq ne zinda rehne ka mujhe zarf dia pindaar dia

                            ik sabz shakh gulab ki thi ik duniya apne khwab ki thi
                            woh aik bahar ju ayi hi nahi uss kay liye sub kuch waar dia

                            yeh saja sajaya gher saqi meri zaat nahi mera haal nahi
                            aye kash kabhi tum jaan sako ju iss sukh ney azaar dia

                            main kholi howi ik sachaei mujhe janney wale jante hain
                            main ney kin logon se nafrat ki our kin logon se pyaar kia

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              Hijer Ki Raat Katti Dard Kay Saye Na Gaye
                              Woh Mairay Shahr Main Ik Baar Bhi Aye Na Gaye

                              Kiss Qadar Ghaow Thay Jo Mahw Hoye Waqt Kay Saath
                              Kitnay Arman Thay Jo Dil Say Mitaye Na Gaye

                              Yeh Husseen Log Yeh Mausoom Say Komel Chehray
                              Hum Say Iss Bar Bhi Palkoon Mein Chupaye Na Gaye

                              Ishq Ki Taan Peh Goonjay Thay Hazaroon Naghmay
                              Hussn Kay Saaz Peh Dow Char Bhi Goye Na Gaye

                              Tum Mein Jo Piyar Kay Andaz Hain Neeli Chirrya
                              Woh Kissi But Kissi Aowtar Mein Paye Na Gaye

                              Dhal Chukka Ahd-e-Jawani tou Taira Piyar Milla
                              Hum Say Khundraat Mein Insaan Bussaye Na Gaye

                              Geet Hum Nay Bhi Bahut Piyar Kay Likhay Shabnam
                              Kiya Kaheen Jin Ko Sunanay Thay Sunnaye Na Gaye...

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                Bichar gaya hai tou aab us sai kuch gila bhi nahin
                                Jo such kahoon tou wo aik shakhs mera tha bhi nahin

                                Mein chahata hoon usay aur chahanay kay siwa
                                merey liye tou aur koi raasta bhi nahin

                                Tere siwa bhi kaye doost bun gaye tou khula
                                mera tou shehr mein koi tere siwa bhi nahin

                                Hum aik doosray ki taraf chal parey thay magar
                                Qadam rukay bhi nahin rasta kata bhi nahin

                                Comment

                                Working...
                                X