Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    Originally posted by Khalil View Post
    achi piyaaz hay aap kee ............
    bauht shukriya...
    app ka husn-e-zouq haii:)

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

      kahaa thaa kis ne ke ahad-e-vafaa karo us se
      jo yuu.N kiyaa hai to phir kyuu.N gilaa karo us se

      ye ahl-e-baz tunak hausalaa sahii phir bhii
      zaraa fasaanaa-e-dil ibtidaa karo us se

      ye kyaa ke tum hii Gam-e-hijr ke fasaane kaho
      kabhii to us ke bahaane sunaa karo us se

      nasiib phir ko_ii taqriib-e-qarb ho ke na ho
      jo dil me.n ho.n vahii baate.n kiyaa karo us se

      'Faraz' tark-e-ta'alluq to Khair kyaa hogaa
      yahii bahut hai ke kam kam milaa karo us se

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        is qadar musal_sal thii.n shiddate.n judaa_ii kii
        aaj pahalii baar mai.n ne us bevafaa_ii kii


        varanaa ab talak yuu.N thaa Khvaahisho.n kii baarish me.n
        yaa to TuuT kar royaa yaa Gazal_saraa_ii kii


        taj diyaa thaa kal jin ko ham ne terii chaahat me.n
        aaj un se majabuuran taazaa aashanaa_ii kii


        ho chalaa thaa jab mujh ko iKhtilaaf apane se
        tuune kis gha.Dii zaalim merii ham_navaa_ii kii


        tanz-o-taanaa-o-tohamat sab hunar hai.n naaseh ke
        aap se ko_ii puuchhe ham ne kyaa buraa_ii kii


        phir qafas me.n shor uTThaa qaidiyo.n kaa aur sayyaad
        dekhanaa u.Daa degaa phir Khabar rihaa_ii kii

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          Dil ke darwaaze pe khada kab se
          Shayad dastak de raha hai koi..
          Hazaaron sapne the jo toot ke bikhare
          samet kar ik-ik ,de raha hai koi

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            Originally posted by pinkrosejust4u View Post
            Dil ke darwaaze pe khada kab se
            Shayad dastak de raha hai koi..
            Hazaaron sapne the jo toot ke bikhare
            samet kar ik-ik ,de raha hai koi

            good
            khush naseeb hai woh loog..jin k dil k tukrey samaitey jatey hain...na kuch badnaseb loog aisey bhi howa kertey hain baqool shai'r;

            Hum woh siyaah naseeb hai Tariq k shehr main
            Khuley dukan-e-kafn tu loog marna chhor dain

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***


              Khamosh ho kyo.n daad-e-jafaa kyuu.N nahii.n dete
              bismil ho to qaatil ko duaa kyuu.N nahii.n dete

              vahashat kaa sabab ruuzan-e-zindaa.N to nahii.n hai
              mahar-o-maah-o-anjum ko bujhaa kyuu.N nahii.n dete

              ik ye bhii to andaaz-e-ilaaj-e-Gam-e-jaa.N hai
              ai chaaraagaro dard ba.Dhaa kyuu.N nahii.n dete

              munsif ho agar tum to kab insaaf karoge
              mujarim hai agar ham to sazaa kyuu.N nahii.n dete

              rahazan ho to haazir hai mataa-e-dil-o-jaa.N bhii
              rahabar ho to manzil kaa pataa kyuu.N nahii.n dete

              kyaa biit ga_ii ab ke 'Faraz' ahal-e-chaman par
              yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyuu.N nahii.n dete

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                phir usii raah_guzar par shaayad
                ham kabhii mil sake.n magar shaayad

                jaan pahachaan se kyaa hogaa
                phir bhi ai dost Gaur kar shaayad

                muntazir jin ke ham rahe tum ho
                mil gaye aur ham_safar shaayad

                jo bhii bichha.De hai.n kab mile hai.n 'Faraz'
                phir bhii tuu intazaar kar shaayad

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  Zindagi mein hamesha naye loge milegay
                  Kahi Zyaada toh kahi kam milenge
                  Aitbaar zara sochkar karna
                  Mumkin nahi har jagah tumhe hum milegay

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    Originally posted by aquari View Post
                    good
                    khush naseeb hai woh loog..jin k dil k tukrey samaitey jatey hain...na kuch badnaseb loog aisey bhi howa kertey hain baqool shai'r;

                    Hum woh siyaah naseeb hai Tariq k shehr main
                    Khuley dukan-e-kafn tu loog marna chhor dain
                    Baqol Shayar

                    mila jo saath tera zindagi ke bahaney miley
                    adheroon mein masroof tha mein ab mujhe ujaley miley
                    saath na chorna tu kabi mera
                    ke tera saath paa kar hi mujhe yahan channey waley miley!!

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                      Zindagi mein hamesha naye loge milegay
                      Kahi Zyaada toh kahi kam milenge
                      Aitbaar zara sochkar karna
                      Mumkin nahi har jagah tumhe hum milegay

                      Mumkin bhi nahyi kunk her insan apney app main apni nisal howa krta haii ..
                      kisi ko hum jaisey tu mil jaya krtey hain pr hum nahi milteyy kisi ko

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        Salamz!!!
                        Howz u Prof. Aunty??

                        I hope that u'll b f9 there hein na.......

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                          Salamz!!!
                          Howz u Prof. Aunty??

                          I hope that u'll b f9 there hein na.......
                          W salam

                          :alhamd: i m fine

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            if u free???
                            then call me

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              bohat khoob acquiri :) keep on sharing
                              :thmbup:

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                Originally posted by munda_sialkoty View Post
                                bohat khoob acquiri :) keep on sharing

                                Thankyou :).....

                                Comment

                                Working...
                                X