Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    Shehr mohabbat ,hijr ka mausam ,ahd-e-wafa or main
    Tu tu is basti sey khush khush chala gaya or main?

    Tu jo na hoo tu jaisey sub ko chup lag jati haii
    Apas main kya baatain kertey raat,diya or main

    Sa'ir-e-chaman adati thi pehley abb majboori
    Teri talash main chalpartey hain bad-e-saba or main

    Jis ko dekhoo teri hawa main pagal phirta haii
    Werna hum mashrab tu nahi they khalq-e-khuda or main

    Ek tu woh humraz mera haii,phir tera mada'ah
    BUs tera hi zikr kya kertey hain zia'a or main

    Ek zamaney bad faraz yeh shair kahey mainney
    Ek mudat sey miley nahi hai yaar mera or main

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

      Originally posted by aquari View Post
      :)
      baandh lien haath peh seenay peh saja lien tum ko
      jee mien aata hay keh taweez bana lien tum ko......
      ........
      ......
      Lovely yaar:blush: :rose
      boht khoobsoorat ghazal hay
      Last edited by *Duaa*; 13 April 2007, 02:14.

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        Originally posted by aquari View Post
        Woh mujh sey meri udasiyoo ki waja poochta hai

        kitna pagal hai raat k sanatey ki waja poochta hai

        Woh mujh sey merey ansoun ki waja poochta hai
        kitna pagal hia barish k barasney ki waja poochta haii

        Woh mujh sey meri pasand k barey main poochta haii
        Kitna pagal hia khud apney barey main poochta haii

        Woh mujh sey meri wafa ki inteha ki waja poochta haii
        Kitna pagal haii sahil pe khara samandar ki gehrai ki waja poochta hai

        ********************************************
        boht khoobsoorat....:thmbup:

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          apki saari collection he kaafi umda hay

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            Originally posted by sumera View Post
            baandh lien haath peh seenay peh saja lien tum ko
            jee mien aata hay keh taweez bana lien tum ko......
            ........
            ......
            Lovely yaar:blush: :rose
            boht khoobsoorat ghazal hay
            kabhi dil ki khuwahishain howa kerti thi is tarha ki.....:eye:
            hmm..merey intekhab ko pasand kerney k liyaa shukriyaa :phool:

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

              Originally posted by sumera View Post
              apki saari collection he kaafi umda hay

              app ka husn-zaouq hai...

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                Originally posted by sumera View Post
                boht khoobsoorat....:thmbup:
                thx dear :)

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  aashiqii be-dilii se mushkil hai
                  phir muhabbat usii se mushkil hai

                  ishq aaGaaz hii se mushkil hai
                  sabr karanaa abhii se mushkil hai

                  ham ?? aasaa.N hai.n aur hamaare liye
                  dushmanii dostii se mushkil hai

                  jis ko sab be-vafaa samajhate ho.n
                  bevafaa_ii usii se mushkil hai

                  ek do duusare se sahel na jaan
                  har ko_ii har kisii se mushkil hai

                  tuu baa-zid hai to jaa 'Faraz' magar
                  vaapasii us galii se mushkil hai

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    beniyaaz-e-Gam-e-paimaan-e-vafaa ho jaanaa
                    tum bhii auro.n kii tarah mujh se judaa ho jaanaa

                    mai.n bhii palako.n pe sajaa luu.Ngaa lahuu kii buu.Nde.n
                    tum bhii paabastaa-e-zanjiir-e-hiinaa ho jaanaa

                    Khalq kii sang_zanii merii Khataao.n kaa silaa
                    tum to maasuum ho tum duur zaraa ho jaanaa

                    ab mere vaaste tariyaq hai ilhaad kaa zahar
                    tum kisii aur pujaarii ke Khudaa ho jaanaa

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      dost ban kar bhii nahii.n saath nibhaanevaalaa
                      vahii andaaz hai zaalim kaa zamaanevaalaa

                      ab ise log samajhate hai.n giraftaar meraa
                      saKht nadiim hai mujhe daam me.n laanevaalaa

                      kyaa kahe.n kitane maraasim the hamaare is se
                      vo jo ik shaKhs hai muu.Nh pher ke jaanevaalaa

                      tere hote hue aa jaatii thii saarii duniyaa
                      aaj tanhaa huu.N to ko_ii nahii.n aanevaalaa

                      muntazir kis kaa huu.N TuuTii hu_ii dahaliiz pe mai.n
                      kaun aayegaa yahaa.N kaun hai aanevaalaa

                      mai.n ne dekhaa hai bahaaro.n me.n chaman ko jalate
                      hai ko_ii Khvaab kii taabiir bataanevaalaa

                      kyaa Khabar thii jo merii jaan me.n ghulaa hai itanaa
                      hai vahii mujh ko sar-e-daar bhii laane vaalaa

                      tum taqalluf ko bhii iKhalaas samajhate ho 'Faraz'
                      dost hotaa nahii.n har haath milaanevaalaa

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        dost hota nhi har haath milaanay waala

                        khoobsoorat intikhaab :)

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          Salamz!!!

                          I dont like ur poetry :(
                          Itni Sad poetry ...........
                          Dear mayoosi Qufar hai aur app ho k mayoos ho rhy ho

                          Aise toh nhy thi app???

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            Originally posted by pinkrosejust4u View Post
                            Salamz!!!

                            I dont like ur poetry :(
                            Itni Sad poetry ...........
                            Dear mayoosi Qufar hai aur app ho k mayoos ho rhy ho

                            Aise toh nhy thi app???
                            koi baat nahi ager app ko pasand nahi aai
                            zaroori nahi jo mostly logo ko acha lagey
                            woh sub ko acha lageyy

                            Mayoosi qufr hai pr kisi na kisi soorat main hum main majoud haii...:)

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              Originally posted by sumera View Post
                              dost hota nhi har haath milaanay waala

                              khoobsoorat intikhaab :)
                              thx dear

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                achi piyaaz hay aap kee ............

                                Comment

                                Working...
                                X