Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

***Aquari ki Biyaaz***

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

    Luta hai karwan-muhabbat manzil pey kuch aisey
    Na pooch mujh sey main gher ku nahi jataa

    .................................................. ...

    Barhaa k hosla sub ka guzartey rehtey hain
    Muhabbatoo k musaffir tu martey rehtey hain
    Bichartey waqt sey ab tak humara hal hai yeh
    Hum apni zaat k under bikhrtey rehtey hain

    Comment


    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

      Main ba'zahir mutma'in hoo tu sub apni jaga
      Haa mager ek naam per hai be'kali apni jaga
      Lakh chaha k ussey bhool jao per Qateel
      Hosley apni jaga hain bebasi apni jaga

      Comment


      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

        Assalaam-0-Alaikom:rose

        buht umdah collection hai dear sis...:hug:
        For New Designers
        وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

        Comment


        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

          Originally posted by Rida View Post
          Assalaam-0-Alaikom:rose

          buht umdah collection hai dear sis...:hug:
          W salam
          Thank you soo much Rida

          Comment


          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

            Teri Socho Mai ..
            ""

            Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
            Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai


            Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
            Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai


            Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
            Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai


            Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
            ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai


            Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
            Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai


            Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
            Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai


            Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
            Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai


            Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
            Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai


            Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
            Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai


            To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
            Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai

            Comment


            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

              Kash Nadeem khuda ko koi yaad dilayee
              Barsoo pehley main ney ek tamana ki thi

              ******************************
              Shab utarti haii tu yaadain bhi utar ati hain
              Jis tarhaa chir'iya kahi dur sey gher ati hain
              Rooz leyjati hai ek khuwab hawa'ein or phir
              Ek hi shaks ki dehleez pr dhar ati hain

              Comment


              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                Jo dard k sehra main akela bhi bauht hai
                Us k liya dewar ka saa'ya bhi bauht hai

                Dekhaa nahi tanhai main tum ney kabhi us koo
                Bichrey howey loogo ko woh rooya bhi bauht hai

                Kuch tujh ko mohabbat pey yaqeen thaa na wafa per
                Kuch dukh meri taqdeer main likhaa bhi bauht hai

                Bina'yii andheroo sey bhala kaiseyy bachata
                Ek shaks terey hijr main jaga bhi bauht hai

                Woh or hain jo tujhey choo k dekhnaa chahain
                Mujh ko tu merey khuwab ki duniaa bhi bauht hai

                Kirdar sey mahroom thaa yeh sheher soo us ney
                Hum ko dar-o-dewar pey likhaa bhi bauht hai

                Comment


                • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                  very nice collection Aquari Dear

                  Comment


                  • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                    thank you sumera

                    Comment


                    • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                      Originally posted by aquari View Post
                      Jo dard k sehra main akela bhi bauht hai
                      Us k liya dewar ka saa'ya bhi bauht hai

                      Dekhaa nahi tanhai main tum ney kabhi us koo
                      Bichrey howey loogo ko woh rooya bhi bauht hai

                      Kuch tujh ko mohabbat pey yaqeen thaa na wafa per
                      Kuch dukh meri taqdeer main likhaa bhi bauht hai

                      Bina'yii andheroo sey bhala kaiseyy bachata
                      Ek shaks terey hijr main jaga bhi bauht hai

                      Woh or hain jo tujhey choo k dekhnaa chahain
                      Mujh ko tu merey khuwab ki duniaa bhi bauht hai

                      Kirdar sey mahroom thaa yeh sheher soo us ney
                      Hum ko dar-o-dewar pey likhaa bhi bauht hai
                      :clap: :clap: :clap: :clap: :clap: :clap:
                      Aao uss ~*Ajnabi*~Ko Yaad Karen.!!

                      Comment


                      • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                        Originally posted by Dil_E_Veran View Post
                        :clap: :clap: :clap: :clap: :clap: :clap:
                        thx dear

                        Comment


                        • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                          :)
                          Attached Files

                          Comment


                          • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                            Na sahi kuch mager itna tu kya kertey they
                            Woh mujhey dekh k pehchaan lya kertey they

                            Akhir kar howey teri raza k paband
                            hum k her baat pey israr kya kertey they

                            Khak hai abb teri galiyoo ki abb woh izzat waleyy
                            JO terey sheher ka pani na pyaa kertey they

                            Abb tu insan ki azmat bhi koi cheez nahi
                            loog pathar ko khuda man lya kertey they

                            Zulm kerrtey hoo mager uff nahi kerney detey
                            Tum sey achey k tarapney tu diyaa kertey they

                            Hum jo dastak kabhi detey theyy saba ki manind
                            App darwaza-e-dil khul diyaa kertey theyy

                            Abb tu shehzad sitaro pey lagi hai nazrain
                            Kabhi hum loog bhi mitti main jiyaa kertey theyy

                            Comment


                            • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                              Woh mujh sey meri udasiyoo ki waja poochta hai
                              kitna pagal hai raat k sanatey ki waja poochta hai

                              Woh mujh sey merey ansoun ki waja poochta hai
                              kitna pagal hia barish k barasney ki waja poochta haii

                              Woh mujh sey meri pasand k barey main poochta haii
                              Kitna pagal hia khud apney barey main poochta haii

                              Woh mujh sey meri wafa ki inteha ki waja poochta haii
                              Kitna pagal haii sahil pe khara samandar ki gehrai ki waja poochta hai
                              ********************************************

                              Comment


                              • Re: ***Aquari ki Biyaaz***

                                Yeh duwa hai atisheen-e-ishq main,Tu bhi meri tarha jala karain
                                Na naseeb hoo tujheybethna ,terey dard dil main utha karain

                                Tujhey meri hi khalish rahey,tujhey mujh si hi tapish raheyy
                                Jaisey tu ney mera dil jalaya ,waisey tera bhi jala kareyy

                                Rahey na murad raqeeb bhi ,na dikhaye tujh ko khuda khushi
                                Na naseeb sharbat-e-visl hoo sada zehr-e-ghum tu piya karey

                                Khair khiar sey aye phir woh din,tujhey chain na aye zafar bin
                                Main galey sey tujh ko na lagaoo,phir tu meri minatain kya kareyy

                                Comment

                                Working...
                                X