Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Z.'s Choice

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • re: Z.'s Choice

    nice:rose

    Comment


    • re: Z.'s Choice

      Originally posted by GumShuda View Post
      @ last one
      Bohat Khoob,
      Lekin ek baat ki samajh nahi aye Poet female hai ya male ?

      Bichar Kar Sochta Hoo'n Mein ** es mein Marad hai

      Sawal Bhi Na Kar Saki ** es mein Aurat hai

      Kia yeh mistake hai ya aisay hi hai ??

      Apne likha hai ya Kisi aur Ne , Agar Kisi Aur ne tu Poet ka Naam Kia hai ?
      its sawal bhi na ker saka ...

      aur poet ka naam mujhey nahi maloom

      thanks :thmbup:
      Originally posted by PUNJABI View Post
      nice:rose
      shurkan :rose
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • re: Z.'s Choice

        tum pucho aur main na bataun aise to halat nahin
        ek zara sa dil tuta hai aur to koi bat nahin

        kis ko khabar thi sanwale badal bin barse ur jate hain
        sawan aya lekin apni qismat mein barsat nahin

        mana jiwan mein aurat ek bar mohabbat karti hai
        lekin mujhko ye to bata de kya tu aurat zat nahin

        khatm hua mera afsana ab ye ansu ponch bhi lo
        jis mein koi tara chamke aj ki rat wo rat nahin

        mere gham-geen hone par ahbab hain yon hairan "Qateel"
        jaise main patthar hun mere sine mein jazbat nahin
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • re: Z.'s Choice

          Originally posted by Xenya View Post
          Yun tanha jeene ki mujhe aadat si ho gayi hai

          Anjaan raahoo pe chalne ki aadat si ho gayi hai

          Wo meri mohabbat se rahein be-khabar taa qayamat
          Mujhe Yeh dua maangne ki aadat si ho gayi hai

          Kab tak jhutlaoge un se mohabbat apni
          Tumhari ankhon ko such bolne ki aadat si ho gayi hai

          Na jane kyon shaam dhalte hi yeh aankhein bheegh jaati hain
          mujhe is chehre ko ashqon mein chupane ki aadat si ho gayi hai

          Aasmaa mein chamakta har sitara yeh gawaahi dega
          Mujhe tumhari yaadon mein neendein gawane ki aadat si ho gayi hai

          Iss dunia mein shayad meri mohabbat ko koi na samajh sake
          Logo ko mujhe na samajhne ki aadat si ho gayi hai

          Mehfil mein har shakhs yeh gila karta hai

          Mujhe tanhaiyon mein doobne ki aadat si ho gayi hai.
          Originally posted by Xenya View Post
          ...
          Originally posted by Xenya View Post
          ....
          yeh teenoooooooo tou bohut he zabardast hain:rose
          khush rahiye apnay kharchay pay:D:

          Comment


          • re: Z.'s Choice

            Originally posted by Xenya View Post
            its sawal bhi na ker saka ...

            aur poet ka naam mujhey nahi maloom

            thanks :thmbup:
            u r welcome , mujhe bi laga tha ghalti ho gai likhnay mein. Pata rakhna chahiye kah kis ki shairi hai.

            @last one
            Bohat achi sharing hai , Qateel Shafaii sahab ki tu kia hi baat hai mashAllah.
            Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
            Sadly, common sense is not very common..!!

            Comment


            • re: Z.'s Choice

              Suno !!
              Tum azm walay ho
              Bala ka zabt rekhtey ho
              Tumhain khuch bhi nahi hoga
              Magar Dekho
              Jisey tum chorey jatey ho
              Usay to theek sey shayed
              Bicharna bhi nahi ata
              Suno...!!
              Tum azm walay ho
              Usey mat chor kay jao...!!
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • re: Z.'s Choice

                Meyra dard naghma-e-besada
                Meri zaat zarra-e-bay nishaan
                Merey dard ko jo zubaan miley
                Mujhey apana naam-o-nishaan miley
                Meri zaat ko jo nishaan miley
                Mujhye raaz-e-nazm-e-jahaan miley
                Jo mujhey ye raaz-e-nihaan miley
                Meri khaamoshi ko bayaan miley
                Mujhe kaayanaat ki saravarii
                Mujhe daulat-e-do-jahaan miley

                Faiz Ahmed Faiz


                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment


                • re: Z.'s Choice

                  Originally posted by Xenya View Post
                  Suno !!

                  Tum azm walay ho
                  Bala ka zabt rekhtey ho
                  Tumhain khuch bhi nahi hoga
                  Magar Dekho
                  Jisey tum chorey jatey ho
                  Usay to theek sey shayed
                  Bicharna bhi nahi ata
                  Suno...!!
                  Tum azm walay ho

                  Usey mat chor kay jao...!!
                  deer sha ow shukali di.... :thmbup:
                  u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                  :pr:

                  Comment


                  • re: Z.'s Choice

                    Bahot khoobsurat choice hai aap ki
                    sigpic

                    Comment


                    • re: Z.'s Choice

                      Originally posted by *Hala* View Post
                      deer sha ow shukali di.... :thmbup:
                      Originally posted by WASI ANJUM View Post
                      Bahot khoobsurat choice hai aap ki
                      shukran
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment


                      • re: Z.'s Choice

                        Ik roz koi to soche ga
                        Farzanon ki is basti main
                        Ik shakhs tha pagal pagal sa
                        Par baten theek hi kehta tha
                        Barish ki tarah pur shor na tha
                        Darya ki tarah chup rehta tha
                        Jin se use pyar bala ka tha
                        Taane bhi unhi ki sehta tha
                        Ik roz koi to soche ga

                        Dunya ne use kuch bhi na diya
                        Par us ne jag ko pyar diya
                        Jaan rote rote kho betha
                        Dil hanste hanste haar diya
                        Jo nazm likhi bharpoor likhi
                        Jo sher diya shahkar diya
                        Kyoon jite ji dargor hua
                        Kis chah pe tan man har diya
                        Tha dushman kon bechare ka
                        Kis ranj ne us ko maar diya
                        Ik rooz koi to soche ga

                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment


                        • re: Z.'s Choice

                          Himmat-e-iltija nahin baqi
                          zabt ka hosla nahin baqi

                          Faiz
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment


                          • re: Z.'s Choice

                            :thmbup:
                            sigpic

                            Comment


                            • re: Z.'s Choice

                              Tum bhi khafa ho log bhi berham heiN dosto



                              kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kareiN
                              AankheiN tau dushmano ki bhi purnam heiN dosto

                              apane sivaa hamaare na hone kaa gham kisey
                              apani talaash meiN to ham hii ham haiN dosto

                              kuchh aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
                              kuchh shahar ke chiraagh bhi maddham haiN dosto

                              is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
                              ab dil kii raunaqeiN bhii koi dam haiN dosto

                              sab kuchh sahi Faraz par itanaa zaruur hai
                              duniyaa meiN aisey log bahut kam haiN dosto
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment


                              • re: Z.'s Choice

                                Originally posted by Xenja View Post
                                Tum bhi khafa ho log bhi berham heiN dosto



                                kis ko hamaare haal se nisbat hai kyaa kareiN
                                AankheiN tau dushmano ki bhi purnam heiN dosto

                                apane sivaa hamaare na hone kaa gham kisey
                                apani talaash meiN to ham hii ham haiN dosto

                                kuchh aaj shaam hi se hai dil bhi bujhaa bujhaa
                                kuchh shahar ke chiraagh bhi maddham haiN dosto

                                is shahar-e-aarazuu se bhi baahar nikal chalo
                                ab dil kii raunaqeiN bhii koi dam haiN dosto

                                sab kuchh sahi Faraz par itanaa zaruur hai
                                duniyaa meiN aisey log bahut kam haiN dosto
                                wow its really beautiful
                                sigpic

                                Comment

                                Working...
                                X