Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Birjinder ka Intikhab..!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Birjinder ka Intikhab..!!

    Abhi hai bahut raat jwaN
    Abhi bahut hai subh-o-shub ke faaslay
    Abhi neeNd kahaN abhi chain kahaN
    Abhi to chalyN haiN yaadoN ke kafelay

    Abhi kuch keh to leN kuch sun to leiN
    Kuch dard ki kaliyaN chun to leiN
    Abhi dil zara behak to ley
    Abhi shub zara mehak to ley
    Abhi meye kaisailee lagti hai
    Abhi chandni mailee lagti hai
    Abhi mahOl-i-sukhan bun to ley
    Anjuman zara jum to ley
    Abhi shub kahaN abhi shaam hai
    Abhi khud ka hameiN ilhaam hai

    Abhi sukhan meiN vo nashaa nahiN
    Koi she'r peer-e-mugaN nahiN
    Abhi dard ne ki hai ibtada
    Abhi "Sagar" ne kuch kahaa nahiN

    Abhi na jao meri jaaN
    Abhi hai bahut raat jawaaN

  • #2
    Re: Abhi Na Jao meri JaaN

    Bohat KHoooooooooob :)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Abhi Na Jao meri JaaN

      Originally posted by Brijinder
      Abhi hai bahut raat jwaN
      Abhi bahut hai subh-o-shub ke faaslay
      Abhi neeNd kahaN abhi chain kahaN
      Abhi to chalyN haiN yaadoN ke kafelay

      Abhi kuch keh to leN kuch sun to leiN
      Kuch dard ki kaliyaN chun to leiN
      Abhi dil zara behak to ley
      Abhi shub zara mehak to ley
      Abhi meye kaisailee lagti hai
      Abhi chandni mailee lagti hai
      Abhi mahOl-i-sukhan bun to ley
      Anjuman zara jum to ley
      Abhi shub kahaN abhi shaam hai
      Abhi khud ka hameiN ilhaam hai

      Abhi sukhan meiN vo nashaa nahiN
      Koi she'r peer-e-mugaN nahiN
      Abhi dard ne ki hai ibtada
      Abhi "Sagar" ne kuch kahaa nahiN

      Abhi na jao meri jaaN
      Abhi hai bahut raat jawaaN
      Brilliant - bohat umdah nazam hai, I really liked it :) Khush rahein
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Abhi Na Jao meri JaaN

        BUhat achay


        thanx for Sharing :rose


        khush rahyeah :rose
        Zindagi Thak Gaye ..!!

        Comment


        • #5
          Re: Abhi Na Jao meri JaaN

          Nazm pasand aayee,yehi iska haasil hai.Sukriya,meharbaani
          Brijinder"Sagar"

          Comment


          • #6
            Khyaal Se Qalm Tak

            KHYAAL SE QALM TAK

            Yeh geet bus khabar bhar haiN
            Meray zehan main uthtay gubaaroN ki
            Khwaab main jinpay apnay sajaataa huiN

            Alfaaz mahaz wo keelaiN hain deewaaroN ki
            Ik koshish hai haasil ko byaaN karnay ki
            Ik diwaangi khalaa ko bhrnay ki
            Shaayri sirf souq nahi ab zaroorat hai bani

            Khyaal say qalam tak kay safar main
            Muqammal ka koi da_awa to nahi
            Yeh afqaar meray hain magar
            Meray dil ka aainaa to nahi

            Magar kuch to hai jissay ho ayaaN
            Meri duniyaa kay khwaab
            Meri tanhaai meray ahad meray ahsaas
            Aur yehi bahut hai mujhko fan-e-sukhan ka haasil
            Aur isliyay hi bus main likhta rahuNga

            ----------- Brijinder "Sagar"
            Auckland,New Zealand

            Comment


            • #7
              Re: Khyaal Se Qalm Tak

              Very nice bhai aap qwaed-0-Zawabat bhi parh lein aik baar
              Allah

              Comment


              • #8
                Re: Birjinder ka Intikhab..!!

                Bhai Yaarum,
                I am sorry that i can not read persian script.So can you plz let me know what is in that so that I take care of it?
                Regards
                Brijinder"Sagar"

                Comment


                • #9
                  Re: Birjinder ka Intikhab..!!

                  no it is not persian it is urdu
                  Allah

                  Comment


                  • #10
                    Re: Abhi Na Jao meri JaaN

                    Originally posted by Brijinder
                    Abhi hai bahut raat jwaN
                    Abhi bahut hai subh-o-shub ke faaslay
                    Abhi neeNd kahaN abhi chain kahaN
                    Abhi to chalyN haiN yaadoN ke kafelay

                    Abhi kuch keh to leN kuch sun to leiN
                    Kuch dard ki kaliyaN chun to leiN
                    Abhi dil zara behak to ley
                    Abhi shub zara mehak to ley
                    Abhi meye kaisailee lagti hai
                    Abhi chandni mailee lagti hai
                    Abhi mahOl-i-sukhan bun to ley
                    Anjuman zara jum to ley
                    Abhi shub kahaN abhi shaam hai
                    Abhi khud ka hameiN ilhaam hai

                    Abhi sukhan meiN vo nashaa nahiN
                    Koi she'r peer-e-mugaN nahiN
                    Abhi dard ne ki hai ibtada
                    Abhi "Sagar" ne kuch kahaa nahiN

                    Abhi na jao meri jaaN
                    Abhi hai bahut raat jawaaN

                    Buhut khoob Brijinder jee :rose ,


                    kya yeh aap ki apnilikhi huwi hai.... :cc:
                    sigpic

                    Comment


                    • #11
                      Re: Khyaal Se Qalm Tak

                      Originally posted by Brijinder
                      KHYAAL SE QALM TAK


                      Magar kuch to hai jissay ho ayaaN
                      Meri duniyaa kay khwaab
                      Meri tanhaai meray ahad meray ahsaas
                      Aur yehi bahut hai mujhko fan-e-sukhan ka haasil
                      Aur isliyay hi bus main likhta rahuNga

                      Buhut achey Brijinder jee :rose


                      share kerne ke liyeh shukriya :)
                      sigpic

                      Comment


                      • #12
                        Re: Birjinder ka Intikhab..!!

                        Thanx a lot for the warm words of appreciation from all of you.Yes! it is written by me.But there are few so-called sentries of culture/litrature elsewhere who are after my blood as they don't consider it as a poetry.Hopefully I will not receive the same reception here.
                        Yaaraan bhai,I think the urdu is written in persian script as hindi is written in devnagri.Correct me if i am wrong,please.
                        The introduction of my work by Mr Khushwant Singh,historian,novelist n top most journalist of India can be viewed at ebazm.com/sagar
                        Brijinder"Sagar"

                        Comment


                        • #13
                          Re: Birjinder ka Intikhab..!!

                          Well Brijinder jee, mei drust samjhi thi k yeh kalam aap ka apna hai. To Birinder is section mei hum apna intikhab' apni pasand post kertey hain. Jo log khudh itna acha likhtey hain aap ki tarah ous ko share kerne ke liyeh ek dosra section hai aur woh hai "Mei Shair To Nahi". Aainda aap apna zati kalam waha share kiya kijiyeh ga, ta key zada log ousey parh aur appreciate ker sakein :)


                          Khush rahiyeh :rose
                          sigpic

                          Comment


                          • #14
                            Re: Birjinder ka Intikhab..!!

                            Thanx Salma.I never claim that I am a good poet as I will always be learing .But i will definately post my works in section u suggested as I think it is for new poets.
                            Thanx once again
                            Brijinder"Sagar"

                            Comment


                            • #15
                              Re: Birjinder ka Intikhab..!!

                              Always Welcome :rose
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X